Jab yaad ka album kholon to kuch log bahot yaad aate hain
Main apna bachpan sonchon to kuch log bahot yaad aate hain
Ab jaane kis nagari me jaakar soe hain muddat se
Main raat gae tak jagon to kuch log bahot yaad aate hain
Kuch baten thin pholon jaesi kuch khushbo jaese lahje the
Main sahn e chaman me tahlon to kuch log bahot yaad aate hain
Jab panchi laot ke aate hain aur shaam ki laali padti hai
Main jheel kinare baethon to kuch log bahot yaad aate hain
In ulthi sidhi rekhaon ko pahron chooma karte the
Main apni hatheli dekhon to kuch log bahot yaad aate hain
-{A Poetry A Day Keeps The Doctor Away}-
Naseem Banu
__._,_.___
Reply via web post | Reply to sender | Reply to group | Start a New Topic | Messages in this topic (1) |
.
__,_._,___
No comments:
Post a Comment