Search This Blog

Sunday 27 May 2012

Re: [Yaadein_Meri] Re: Afzal Hussain Bhai.......Ki Maafi Ka Mail

 

Aslama alekum. meri rubena bahan se guzarish he ke afzal sahib ko foran baned kar diya jaye aur is bahes ko khatam kar diya jaye. kiuoon ke afzal sahib sirf gumrahi aur jhoot pahla rahe hien.
na he koye tablighi jamat ka ameer esa kahe ga. sirf jhoot bola ja raha he
aur sath me ijtamye dua ke jaye ke afzal shaib aur in jessy akied rakhne walo ko ALLAH pak hadayt de ameen.


From: Rameez Bakbak <bakbak.rameez@yahoo.com>
To: yaadein <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>
Sent: Sunday, May 27, 2012 6:45 PM
Subject: [Yaadein_Meri] Re: Afzal Hussain Bhai.......Ki Maafi Ka Mail

 
Assalamalekum,
Sorry! topic close karne ki baat ke bawajood reply kar raha hoon...
Aap ne nahi dekha Afzal Sahab ka reply jo Imran Sahab ko diya gaya,,, aur is se pahle ke mail may bhi inhon ne kaha ke 'group may rakhen ya nikalen' inhen koi farq nahi padta... to please Rubina ji aapse meri request hai ke Afzal sahab ko group se nikal den,,, kyonke inhen group se nikalne se koi farq nahi padega,,, magar inke group may rahne se hamen zaroor farq padega!!! so please aap inki khwahesh puri kijiye 'agar mumkin ho to' inhen group se nikal dijiye...
JazakAllah Khair.
 
KHUDA KHAIR KARAY - RAMEEZ
Remember, one day you will appear before Allah and answer for your deeds.

From: Rubina Yasmeen <rubina_yas@yahoo.com>
To: yaadein_meri@yahoogroups.com
Sent: Sunday, May 27, 2012 6:23 PM
Subject: Afzal Hussain Bhai.......Ki Maafi Ka Mail
 
Assalam Alaikum WRWB
 
Rameez Mujhe Pata Hai Afzal Huaasin Bhai Kis kitab ka zikr kar rahe hain ek baar Afzal Hussain Bhai Ne Mere Mail Par Tanqeed ki Thi Aur Jamat Me Jaane Ka Zikr Bhi Kiya Tha Ussme Aur Unho ne likha tha ki woh Jamat me gaye the Unka ilm Zyada Hai Aur RUBINA JI koi ilm Nahi hai ......
 
Aur Uss Waqt Afzal Hussain bhai Ko Taalne Keliye Meien Kaha Tha Ki Haan Mein Illetrate Hoon.....................
 
Aur Ye Ek Baat ,....Ek Word illetrete..bohut saare groups me diya tha Afzal Hussain Bhai Ne....................
 
Ab Kuch Yaad Aaya Afzal Hussain Bhai Aur Rameez........shayed aap dono ko yaad aayi hogi ye baat..................
 
 Afzal Hussain bhai " Tableeghi " Jamat Ne Gaye The aur iss jamat Wale Zyadatar
Fazail-E-Amaal Aur Bahshti Zewar Padhaya Karte the aur ye SIRF 2 kitab padh padh kar thakk chuke the aur inho ne hi Ameer-E-Jmat se kaha tha ki Quran Padhaya Jaye.....
Jab Afzal Huaasin Bhai Ko QuraAN theek Se Nahi Aati thi....Aur Ameer-E-Jamat Ne Unhe Dhobi Pachadne ki Bat ki Thi..........Ye Zikr Afzal Hussain Bhai ne pichli mail me likha hai aap sabne padha hi hoga
 
Qair Afzal Hussain BHAI Ab iss topic ko close hi kijiye kyunki aapne maafi maang li baat khatam hogayi.................aur maafi maangne koi bada ya chota nahi hojata......
Allah hum sab ko Neik Toufeeq Aata Farmaye
Sahi Aur Ghalat Ki Pechaan De Aur Sirat Mustaqeem Par Chalne Ki Himmat Aur Taqat Aata farmaye
 
Qaas Kar Allah AFZAL HUSSAIN BHAI ko Neik Toufee De yahi meri dua hai
Topic Close Kijiye
 
Allah hafiz
Mrs Rubina Yasmeen
 
--- On Sun, 27/5/12, Rameez Bakbak <bakbak.rameez@yahoo.com> wrote:

From: Rameez Bakbak <bakbak.rameez@yahoo.com>
Subject: Re: [Yaadein_Meri] Re: Afzal Hussain Bhai.......Ki Maafi Ka Mail
To: "Yaadein_Meri@yahoogroups.com" <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>
Date: Sunday, 27 May, 2012, 7:26 PM

 
Assalamalaekum,,,
Bara-e-meherbaani us kitab ka naam bataden jis may sirf flan flan hi hota tha!!! - Ghalat ko ghalat kahne may kyon sharmarahe ho.
 
KHUDA KHAIR KARAY - RAMEEZ
Remember, one day you will appear before Allah and answer for your deeds.
From: Afzal Hussain <afzalhussain42@yahoo.com>
To: "Yaadein_Meri@yahoogroups.com" <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>
Sent: Sunday, May 27, 2012 8:58 AM
Subject: Re: [Yaadein_Meri] Re: Afzal Hussain Bhai.......Ki Maafi Ka Mail
 
Assalam Alaikum
Mera likha hua aap logoun ko ghalat lag raha hai kiyoun k aap logoun ko main ne yeh kaha k alane falane ke misaalen na den han agar misaalen den to aap SAWS ki aur Sahaba Karam ki den jo Quran aur Hadeeth se sabit ho aur kai murtaba maine likha tha laikin aap log sunte kahan se jab koi kuch thase nahi pahunchata. isi liye mujhe gussa tha aur gussa isliye tha k ye Gumrahi hai isi liye aur aap log shyed ye nahi maloom k maine Quran aur Hadeeth ka naam liya tha ye her musalmaan ke liye bahut zaruri hai. aur aap log alane falane ki misaalen he diya kartey hain aur ye sub Gumrahi hai aur kuchch nahi. aur marzi aap logoun ki.
aur janab main yeh nahi likha k sub bud aqeeda k hain aur na maine aisa likha k main akela he aqeeda wala hoon Alhamdulillah Allah Taala aap aur mujhe iilm ata kiya hai. aur aap logoun k aqeeda se mujhe kuch lena dena nahi hai. Magar guzrish yeh thee k Quraan aur Hadeeth se sabit ho woh misaalen den take insan gumrahi se bache.
Aur main Allah ko gawa rak k keh raha hoon ek dafa ka zikr hai mere kuch dost wo ahebab kuch dini taleem kiya karte the Maghrib k baad aur Isha tak aur main bhi is men shamil hota tha baghair naghe k aur mahinou saal hogaya us kitab ki taleem ka magar main us kitab naam nahi lina chahta hoon aur us main bus falan falan he hai aur faida hai aur magar Quraan aur Hadeeth sirf sirf gini chuni jagha milti thi aur main hamesha yehi sochta tha k akhir hum pardh kiya rahe hain aur ek din main un Sahab se kaha ye Kitab pardhne se behtar hai kiyoun na hum Quraan ba Tarjuma aur Sahi Ahadeeth pardhen take hame sahi deen aur sahi rasta hasil ho. maloom us Sahab ne us mehfil mujhe kiya kaha Afzal bhai agar aap yeh baat mere shahar mein ki hoti to main aap ko dhobi ki tarha kapde jaisa patak patak k marta tha. aur main wahan se fauran nikal gaya. aur main kiya ghalat kaha tha Quraan aur Hadeeth kiya ghalat hai. aap he batao aur main Quran aur Hadeeth pardhne ke liye he kaha tha na k alane falane kitaben us sahab ne sara muhalla dhunda woh kiyoun malum woh lardhne k liye nahi maafi magne k liye aur doosrey din meri un sahab se mulaqat hui to woh maafi mangne lage magar maafi mujh se nahi Allah se magiye kiyoun k Quraan aur Hadeth ki taleem kijiye kehne se aap ghussey hue the.
Kahir mera kehna ye tha k sirf aur sirf Quraan aur Hadeeth se he honi chahiye
aur woh baat alag hai neki kar darya men daal aap logoun ko mashallah mere se ziyada iilm hai aur ab tak aap logoun k Quraan aur Hadeeths k mails aye kiya main us mein koi point nikala nahi aur na he main aisa karskta. AAp logoun ki marzi chahe mujhe Group mein raksakte ya nikaal bhi sakte hain I have no objections. Magar ek aur baar keh raha hoon k Please Gumrahi jaise mails na send karen sirf aur sirf Quraan aur Hadeeth k he mails send karen.  Allah Hafedh................
Allah Khair kare
 
Afzal Hussain
From: Mian Faiz <mfaiz_chishti1@yahoo.com>
To: "Yaadein_Meri@yahoogroups.com" <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>
Sent: Saturday, May 26, 2012 4:45 PM
Subject: [Yaadein_Meri] Re: Afzal Hussain Bhai.......Ki Maafi Ka Mail
 
Afzal sb ki mail perhi lagta he unhi ki he mail approve honi chaheay baqi sab bad aqeeda loog hain yahi aik he aqeedayt wala he. Aik jaggah ferma rahay hain ghalti hogae he dosri jagah ferma rahay hain gussay main tha kisi ki ager ID block ki gae he to woh janay aor moderator apko kis nain authority de he keh sirf apki merzi chalni chaheay. Ap jitnay aqeeday walay hain sab ko patta he baherhall achay buray ka sab nain apna apna hisab daina he apko kisi aor ki jaggah hisab nahin daina. Bahen Rubina theke kaha he jo mail apko achi nahi lagti usko ignore karain bat khatam group per tamasha kernay ki kia zarorat he woh bhi aik aurat jo apkailiay namahram he aor group moderator he.
From: Rubina Yasmeen <rubina_yas@yahoo.com>
To: yaadein_meri@yahoogroups.com
Sent: Saturday, May 26, 2012 4:26 PM
Subject: Afzal Hussain Bhai.......Ki Maafi Ka Mail
 
Assalam Alaikum Afzal Bhai
 
Aap kabhi Likh Rahe Hain Ki Aapse Ghalti Hui
 
Kabhi Likh Rahe Hain Ke Gusse Me Aisa Kiya Aap Ne ???????
 
 Afzal Bhai Sahab Mujh Pe Gussa ?????
 
Kis Baat Par Gussa Aaya Aapko ??
 
Afzal Bhai Mails Sab Apne Apne Hisaab Se Likhte Hain...Hum Kisi Ko Majboor Nahi Karte Ki Ye Likho Ya Aisa Likho...
 
Sahi Hai Ya Ghalat iss Baat Ko Padhne Waloun Ko Samjhna Aur Lena Chahiye
 
Aapko Ya Mujhe Ya Kisi Aur Ko Koi Baat Ghalat Lagti Hai Toh Usko ignore Kar Dete Hain Koi Baat Sahi Lagti Hai Toh Uske Baare Me Sochte Hain
 
Koi Chota Bache Ya Nasamjh Bache Nahi Hai Group Me jo Ghalt Ka Asar Bhi Ho Unnpar Sab Samjhdar aur Deendar Log Hai..Ghalat Kya Hai Sahi Kya Hai Achi Tarah Se Jaante Hain Sab Members 
 
Aapko Kisi Ka Mail Sahi Nahi Lagta Toh Aap Naa Padhein Unke Mail .......Ya Mere Mail Delete Kar Dijiye Bina Padhe Hi Mere Mails Ko Jiske Mails Aapko Ache Lagte Hain Woh Padhiye
 
iss Me Gussa Jatane Ya Gussa Karne Wali Kya Baat Hai...Ya Kisi Ko Jo Dilme Aaya Likhna Achi Baat Nahi Hai
 
Aapko Kisi Ne Koi Zabardasti Toh Nahi Ki Aapke Napasand Mails Padhne Keliye
 
Mein Samjhti Thi Ki Aap Ek Suljhe Hue insaan Ho Laikin Aapki Ye Harkat...............
 
Qair Aapne Maafi Maangli Hai Toh Koi Baat Nahi Hai....Laikin Aapne Ye Mail Group Me Kyun Nahi Di ????? Aapka Dil Saaf Hai Toh Ye Mere Sirf Mujhe Send Karne Ke Bajaye Aap Isko Group Me Send Karte........................
 
Aayenda Se Aap Aisa Naa Kijiyega Kisi Ke Sath Bhi
 
Aapne Ye Bhi Likha Hai Ki 1 Month Pehle Unsubscribe Kiya Gaya ??? Kis Id Ya Kis Member Ki Baat Kar Rahe Ho Aap ????
 
Aur Kisi Aur Ko Unsubscribe Kiya Gaya Aur Aapko Gussa Aaya ?????? Ye Kya Baat Hui
Aur 1 Month Pehle Ya 2month Pehle Kisi Ko Bhi iss Group Se Unsubscribe Nahi Kiya Gaya Hai
 
Aap Kaise Aur Kis Buniyad Pe Keh Rahe Ho Ki Unsubscribe Kiya gaya ????????
 
Ye Wahi Baat Hui Afzal Bhai....Albert Pinto Ko Gussa Kyun Aaya ????
 
Aapko Gussa Kyun Aaya ???
 
Aap Ne Padha Nahi islam Me Gussa Karne Keliye Mana Kiya Gaya Hai
 
Group Me Hi Kitni Baar Gusse Ke Baare Me Ahadees Aachuki Hai..............iska Matlab Ye Bhi Hua Ki Aap Par Kisi Ahadees Ka Bhi Koi Asar Nahi Hua Ab Tak......
 
Allah Hum Sabko Neik Toufeeq Aata Farmaye
 
Allah hafiz
Mrs Rubina Yasmeen
 
--- On Sat, 26/5/12, Afzal Hussain <afzalhussain42@yahoo.com> wrote:

From: Afzal Hussain <afzalhussain42@yahoo.com>
Subject: Re: [Yaadein_Meri] Afzal Hussain Bhai......." " Dukhoun Aur Rogon Keliye Munfarid Ilaaj - دکھوں اور روگوں کیلئے منفردعلاج " "
To: "Rubina Yasmeen" <rubina_yas@yahoo.com>
Date: Saturday, 26 May, 2012, 3:54 PM

    Assalam Alaikum
    Aap mujhe ghalat na samjhe kiyoun k main ne itni baar aap ka ID likha shayed mujh se ghalati hui hai aur is k liye main maafi  chahta hoon aur rahi doori baat ye k aap ne 1 mehna pehle ektarfa judgement kiya aur us email ID ko aap ne unsubscribe kiya kiyoun kiya nahi dekh rahi hain aap doosroun k email main kiya kiya nahi likh rahe hain. aur main ne kai martaba dekha k gumrahioun ki he jeet hui hai aur mujhe bahut dukh hua isiliye aap ka ID double double likha gaya aur main ne aap ko isse pehle bhi kai martaba likha tha k Gumrahi jaise emails na bhejen jaisa ka yeh mail aya hai. Khair Faisla aap per hai chahe mujhe is group mein rakhen ya na rakhen. aur main specially Aurtoun ki bahut izzat karta hoon chahe woh koi bhi aurat ho. aur main Aurtoun se nazar milakar bhi baat nahi karta.shayed aap mujhe ghalat samajh rahi hongi lakin aisa hargiz nahi aur aap se guzarish hai k sahih Ahadeeth mail karen take musalman gumrahi bachen..
aur main phir se ek baar is ghalati k liye maafi chahta hoon kiyun k main ne ghusse mein aisa kiya ..................................................................................................Beshak Allah maaf karne wala hai.
 
Afzal Hussain
From: Mian Faiz <mfaiz_chishti1@yahoo.com>
To: "Yaadein_Meri@yahoogroups.com" <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>
Sent: Saturday, May 26, 2012 8:16 AM
Subject: Re: [Yaadein_Meri] Afzal Hussain Bhai......." " Dukhoun Aur Rogon Keliye Munfarid Ilaaj - دکھوں اور روگوں کیلئے منفردعلاج " "
 
Group main rah ker kam kernay ke kuch ethics hotay hain. Khasosan khowateen se jab bhi batke jae usmain adabo ihtaram malhoze khater rehna chaheay. Jab bhi kisi ko likhain apnay zahin main yeh rahay keh mairi man bhi he bahen bhi aor baiti bhi phir insan ko kisi ko mukhatib kerna asan hojata he. Baher hall yeh ghalti nahin shararat lagti he is se ap kia hasil kierna chahtay hain sab group member ko sharminda kerdia. Iss liay to koi kisi per aitbar nahin kerta very sad.
From: Zubair Khan <khanzubair_pcw@yahoo.com>
To: "Yaadein_Meri@yahoogroups.com" <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>
Sent: Friday, May 25, 2012 9:24 AM
Subject: Re: [Yaadein_Meri] Afzal Hussain Bhai......." " Dukhoun Aur Rogon Keliye Munfarid Ilaaj - دکھوں اور روگوں کیلئے منفردعلاج " "
 
Ek baat kahoon , bahut acha bheja hai aapne , Jazzak Allah. take care
 
With Best Regards Zubair Khan
From: Rubina Yasmeen <rubina_yas@yahoo.com>
To: yaadein_meri@yahoogroups.com
Sent: Friday, May 25, 2012 8:12 PM
Subject: [Yaadein_Meri] Afzal Hussain Bhai......." " Dukhoun Aur Rogon Keliye Munfarid Ilaaj - دکھوں اور روگوں کیلئے منفردعلاج " "
 
 
Afzal hussain bhai Sahab Aap ye ek mail ko 20 time kyun bheje meri Id Pe Whts the reason ???
 
group me aapne ek time likh diya kya woh kafi nahi tha jo aapne meri id pe itne saare Cc rakhe hue hain
 
ye mail mujhe total 20 aayi hai kyunnn ???
 
kya iski wajhe mein jaan sakti hoon ye harkat kyun ki aapne ????
aisa kisi doosre member ne nahi kiya aaj tak
naa aisi Ghalti hui naa hi jaanbojhkar kisi ne aisa kya...........
 
Aap pehle bhi bht baar group me sharr paidah karne ki koshih kar chuke hain..laikin mein har baar nazar andaz karti rahi
 
ab iski wajhe dijiye aap ??
 
Doosre members bhi dekh sakte hain ki iss mail me kitni baar Cc me mera id daala gaya hai
 
 
--- On Fri, 25/5/12, Afzal Hussain <afzalhussain42@yahoo.com> wrote:

From: Afzal Hussain <afzalhussain42@yahoo.com>
Subject: Re: [Yaadein_Meri] " " Dukhoun Aur Rogon Keliye Munfarid Ilaaj - دکھوں اور روگوں کیلئے منفردعلاج " "
To: "Yaadein_Meri@yahoogroups.com" <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>, "sadqayyarasolallah@yahoogroups.com" <sadqayyarasolallah@yahoogroups.com>, "Naveed Ahmed" <naveedahm44@yahoo.com>
Cc: "Rubina Yasmeen" <rubina_yas@yahoo.com>, "Rubina Yasmeen" <rubina_yas@yahoo.com>, "Rubina Yasmeen" <rubina_yas@yahoo.com>, "Rubina Yasmeen" <rubina_yas@yahoo.com>, "Rubina Yasmeen" <rubina_yas@yahoo.com>, "Rubina Yasmeen" <rubina_yas@yahoo.com>, "Rubina Yasmeen" <rubina_yas@yahoo.com>, "Rubina Yasmeen" <rubina_yas@yahoo.com>, "Rubina Yasmeen" <rubina_yas@yahoo.com>, "Rubina Yasmeen" <rubina_yas@yahoo.com>, "Rubina Yasmeen" <rubina_yas@yahoo.com>, "Rubina Yasmeen" <rubina_yas@yahoo.com>
Date: Friday, 25 May, 2012, 10:01 AM

Beshak Allah Behtar Janta hai aur Shafaat Dene Wala Hai Aur Tamam Tareefien Allah he k liye hai

Muhatrama aap ko yeh sub kahan se milte agar aisa hota to her insan jo paise wala hai woh to bus 1 ya 2 yateem ko school mein admission kara dega to is ko koi bemari nahi ati yeh sub ghalat hai aur yeh bakwas hai aur manghadat baten hain. Allha  Subhan  O Taala her insan dukh aur sukh diya hai aur woh yeh nahi kaha k main sirf neak insan ko he sahet aur sukh donga aur badkar dukh aur bemari donga. Aur aap maloom hoga k Allah Subhan O Taala her insan ko dukh/sukh aur Sahet/Bemari aur sub nematen Allah he k taraf se hai. aur aap ko maloom hoga k bemari aur dukh jaisi cheez Paighambroun ko bhi nahi chooti hai. Agar aap achcha ilm rakte hain to achchi Sahih Ahdeesien mail kiya karen na k ye manghadaat baten na pesh kiya karen aur yeh sub bakwas hai k Koi Doctor/Hospital/Medical band hargis nahi hota kiyoun k aap ko maloom nahi hai Muhatrama k aap SAWS bhi bemar huye the yane Huzure Akaram SAWS kiya koi mazloom ko aur Yateem ko aur her insaan ko kiya help nahi kiya tha nauzbillah muhatrima aap ka aqida kuch aur tariqe ka hai aur aise manghadat batoun per Aetemaad rakti hain. Barai karam meharbani aap aisi manghat mails na karen aur logoun ko gumrahi mein nadalen.
I will tell you one real story one of my friend jo k mera ek dost hai aur us ko ne aise he koi kaha k agar aap pareshan hain to aap 16 sayed k roze (Fasting) rakho aur aaj ko 13 yrs horahe hain aur woh aj bhi 16 Sayed k Roze (fasting) rakta hai aur us ko mana karne per woh hum logoun se naraaz hota hai aur yeh 16 Sayed kiya mujhe aaj tak kuch pata he nahi mila. Islaam mein nai cheez ka ejaad karna kiya hai shayed aap ko theek maloom hoga. han agar aap ko 16 Sayed k Rozoun k bare main agar maloom ho to woh batana. Allah khair kare.
I kindly requested you so please reply me.

Thanks
 
Afzal Hussain
From: Rubina Yasmeen <rubina_yas@yahoo.com>
To: Rubina_Yas@yahoo.com
Sent: Thursday, May 24, 2012 6:38 PM
Subject: [Yaadein_Meri] " " Dukhoun Aur Rogon Keliye Munfarid Ilaaj - دکھوں اور روگوں کیلئے منفردعلاج " "
 

السلامُ علیکم و رحمۃ اللہ و برکاتہ 

دکھوں اور روگوں کیلئے منفردعلاج
مشہور کالم نویس اور دانشور جاوید چوہدری صاحب کچھ سال قبل روزنامہ جنگ سے وابستہ تھے۔
 انہوں نے ایک حاجی صاحب کا واقعہ تحریر کیا کہ وہ کافی بیمار تھے۔
 کئی سالوں سے ہر ہفتے پیٹ سے چار بوتل پانی نکلواتے تھے
 اب ان کے گردے واش ہوتے ہوتے ختم ہوچکے تھے۔
 ایک وقت میں آدھا سلائس ان کی غذا تھی۔ سانس لینے میں بہت دشواری کا سامنا تھا۔
 نقاہت اتنی کہ بغیر سہارے کے حاجت کیلئے نہ جاسکتے تھے۔
ایک دن جاوید چوہدری صاحب ان کے ہاں تشریف لے گئے
 اور انہیں سہارے کے بغیر چلتے دیکھا تو بہت حیران ہوئے انہوں نے دور سے ہاتھ ہلا کر چوہدری صاحب کا استقبال کیا'
 چہل قدمی کرتے کرتے حاجی صاحب نے دس چکر لان میں لگائے'
 پھر مسکرا کر ان کے سامنے بیٹھ گئے'
 ان کی گردن میں صحت مند لوگوں جیسا تناؤ تھا۔
چوہدری صاحب نے ان سے پوچھا کہ یہ معجزہ کیسے ہوا؟
 کوئی دوا' کوئی دعا' کوئی پیتھی' کوئی تھراپی۔ آخر یہ کمال کس نے دکھایا۔
 حاجی صاحب نے
 فرمایا میرے ہاتھ میں ایک ایسا نسخہ آیا ہے کہ اگر دنیا کو معلوم ہوجائے تو سارے ڈاکٹر' حکیم بیروزگار ہوجائیں۔
 سارے ہسپتال بند ہوجائیں اور سارے میڈیکل سٹوروں پر تالے پڑجائیں۔
 چوہدری صاحب مزید حیران ہوئے کہ آخر ایسا کونسا نسخہ ہے جو ان کے ہاتھ آیا ہے۔
 حاجی صاحب نے فرمایا کہ میرے ملازم کی والدہ فوت ہوگئی'
 میرے بیٹوں نے عارضی طورپر ایک چھ سات سالہ بچہ میری خدمت کیلئے دیا'
 میں نے ایک دن بچے سے پوچھا کہ آخر کس مجبوری کی بنا پر تمہیں اس عمر میں میری خدمت کرنا پڑی'

 بچہ پہلے تو خاموش رہا پھر سسکیاں بھر کر بولا کہ ایک دن میں گھر سے باہر تھا'
 میری امی' ابو' بھائی' بہن سب سیلاب میں بہہ گئے

 میرے مال مویشی ڈھور ڈنگر' زمین پر رشتہ داروں نے قبضہ کرلیا۔
 اب دنیا میں میرا کوئی نہیں۔
 اب دو وقت کی روٹی اور کپڑوں کے عوض آپ کی خدمت پر مامور ہوں۔
 یہ سنتے ہی حاجی صاحب کا دل پسیج گیا اور پوچھا بیٹا کیا تم پڑھوگے بچے نے ہاں میں سرہلا دیا۔
 حاجی صاحب نے منیجر سے کہا کہ اس بچے کو شہر کے سب سے اچھے سکول میں داخل کراؤ۔
 بچے کا داخل ہونا تھا کہ اس کی دعاؤں نے اثر کیا'
 قدرت مہربان ہوگئی'
 میں نے تین سالوں کے بعد پیٹ بھر کر کھانا کھایا'
 سارے ڈاکٹر اور گھروالے حیران تھے۔

 اگلے روز اس یتیم بچے کو ہاسٹل میں داخلہ 
دلوایا اور بغیر سہارے کے ٹائلٹ تک چل کرگیا' میں نے منیجر سے کہا کہ شہر سے پانچ ایسے اور بچے ڈھونڈ کرلاؤ جن کا دنیا میں کوئی نہ ہو۔
 پھر ایسے بچے لائے گئے
 انہیں بھی اسی سکول میں داخل کرادیا گیا۔
 اللہ تعالیٰ نے فضل کیا اور آج میں بغیر سہارے کے چل رہا ہوں۔
 سیر ہوکر کھاپی رہا ہوں اور قہقہے لگارہا ہوں۔ حاجی صاحب سینہ پھلا کر گلاب کی کیاریوں کی طرف چل دئیے
 اور فرمایا میں اب نہیں گروں گا جب تک کہ یہ بچے اپنے قدموں پر کھڑے نہیں ہوجاتے۔
 حاجی صاحب گلاب کی کیاریوں کے قریب رک
گئے اور ایک عجیب فقرہ زبان پر لائے۔

۔ ''قدرت' یتیموں کو سائے دینے والے
 درختوں کے سائے لمبے کردیا کرتی ہے۔''
**************************

آپکی دعاءکیطالب
مسز روبینہ یاسمین
*******************************
اللہ ہم سب کو ہدایت عطا فرمائیں
انشاء اللہ
 


__._,_.___
Recent Activity:
.

__,_._,___

No comments:

Post a Comment