Ek Aisa Ghar Khawab Mein Sajayaa Hai..
Jahaa RaM aur Rahim Ek Hi Chhat Ki Chhaya Hai..
Jahaa Suraj Ki Pehli Kiran Shankh Bajaati Hai..
Sandhya Ki Hawayein Quraan Dauraahati Hai..
Ek Aisi Thali Sochi Hai.. Jisme Ek Hi Roti Hai..
Jahaa "Tera" Aur "Mera".. Har Baaat Bohat Chhoti Hai..
In Ek Hi Maa Ke Do Beto Ko.. Koi Alag Nahi Kar Paayegaa..
Jab Jab Rahim Pukaare Koi.. Tab Tab Ram Aayegaa...
Ek Aisa Ghar Khawab Mein Sajayaa Hai..
Jahaa RaM aur Rahim Ek Hi Chhat Ki Chhaya Hai..
Jahaa Diwali Ho Yaa Id.. Roshan Har Kamra Hai...
Jahaa Mazhab Nahi.. Rishta Sabse Badaa Hai..
Jaha Koi Kisi-Se Pooche.. Konsi Kom Se Aaya Hai..
Awaaz Ek Jawaab Ek.. Ke Insaan Hume Banayaa Hai..
Ek Aisa Ghar Khawab Mein Sajayaa Hai..
Jahaa RaM aur Rahim Ek Hi Chhat Ki Chhaya Hai..
(Source: Dil @ Jutsju, 2008)
No comments:
Post a Comment