Search This Blog

Sunday, 27 May 2012

Re: [Yaadein_Meri] Re: Afzal Hussain Bhai.......Ki Maafi Ka Mail

 

ye Dhamki samjhoon ya mashwara janab aur maafi mangna koi buri baat nahi aur na samjhoun kiya malum. aur maine already keh diya hai is group rakhen ya na rakhe mujhe koi farq pardhne wala nahi samjhe janab. kiyoun k aap logoun ki asaliyat jan chuka hoon aap logoun ko siwae hujjat aur tohumat ke alawa aur kuch nahi malum.
 
Afzal Hussain


From: Imran Rana <reehabimran@yahoo.com>
To: "Yaadein_Meri@yahoogroups.com" <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>
Sent: Sunday, May 27, 2012 9:36 AM
Subject: Re: [Yaadein_Meri] Re: Afzal Hussain Bhai.......Ki Maafi Ka Mail

 
deir aied drust aied jinab ne maafi mang le. beshaq un ke qolo fail me tazad tha
magar maaf karna achi bat he . ainda esa kare to baned kar dijye shukriya


From: Mian Faiz <mfaiz_chishti1@yahoo.com>
To: "Yaadein_Meri@yahoogroups.com" <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>
Sent: Saturday, May 26, 2012 4:45 PM
Subject: [Yaadein_Meri] Re: Afzal Hussain Bhai.......Ki Maafi Ka Mail

 
Afzal sb ki mail perhi lagta he unhi ki he mail approve honi chaheay baqi sab bad aqeeda loog hain yahi aik he aqeedayt wala he. Aik jaggah ferma rahay hain ghalti hogae he dosri jagah ferma rahay hain gussay main tha kisi ki ager ID block ki gae he to woh janay aor moderator apko kis nain authority de he keh sirf apki merzi chalni chaheay. Ap jitnay aqeeday walay hain sab ko patta he baherhall achay buray ka sab nain apna apna hisab daina he apko kisi aor ki jaggah hisab nahin daina. Bahen Rubina theke kaha he jo mail apko achi nahi lagti usko ignore karain bat khatam group per tamasha kernay ki kia zarorat he woh bhi aik aurat jo apkailiay namahram he aor group moderator he.

From: Rubina Yasmeen <rubina_yas@yahoo.com>
To: yaadein_meri@yahoogroups.com
Sent: Saturday, May 26, 2012 4:26 PM
Subject: Afzal Hussain Bhai.......Ki Maafi Ka Mail
 
Assalam Alaikum Afzal Bhai
 
Aap kabhi Likh Rahe Hain Ki Aapse Ghalti Hui
 
Kabhi Likh Rahe Hain Ke Gusse Me Aisa Kiya Aap Ne ???????
 
 Afzal Bhai Sahab Mujh Pe Gussa ?????
 
Kis Baat Par Gussa Aaya Aapko ??
 
Afzal Bhai Mails Sab Apne Apne Hisaab Se Likhte Hain...Hum Kisi Ko Majboor Nahi Karte Ki Ye Likho Ya Aisa Likho...
 
Sahi Hai Ya Ghalat iss Baat Ko Padhne Waloun Ko Samjhna Aur Lena Chahiye
 
Aapko Ya Mujhe Ya Kisi Aur Ko Koi Baat Ghalat Lagti Hai Toh Usko ignore Kar Dete Hain Koi Baat Sahi Lagti Hai Toh Uske Baare Me Sochte Hain
 
Koi Chota Bache Ya Nasamjh Bache Nahi Hai Group Me jo Ghalt Ka Asar Bhi Ho Unnpar Sab Samjhdar aur Deendar Log Hai..Ghalat Kya Hai Sahi Kya Hai Achi Tarah Se Jaante Hain Sab Members 
 
Aapko Kisi Ka Mail Sahi Nahi Lagta Toh Aap Naa Padhein Unke Mail .......Ya Mere Mail Delete Kar Dijiye Bina Padhe Hi Mere Mails Ko Jiske Mails Aapko Ache Lagte Hain Woh Padhiye
 
iss Me Gussa Jatane Ya Gussa Karne Wali Kya Baat Hai...Ya Kisi Ko Jo Dilme Aaya Likhna Achi Baat Nahi Hai
 
Aapko Kisi Ne Koi Zabardasti Toh Nahi Ki Aapke Napasand Mails Padhne Keliye
 
Mein Samjhti Thi Ki Aap Ek Suljhe Hue insaan Ho Laikin Aapki Ye Harkat...............
 
Qair Aapne Maafi Maangli Hai Toh Koi Baat Nahi Hai....Laikin Aapne Ye Mail Group Me Kyun Nahi Di ????? Aapka Dil Saaf Hai Toh Ye Mere Sirf Mujhe Send Karne Ke Bajaye Aap Isko Group Me Send Karte........................
 
Aayenda Se Aap Aisa Naa Kijiyega Kisi Ke Sath Bhi
 
Aapne Ye Bhi Likha Hai Ki 1 Month Pehle Unsubscribe Kiya Gaya ??? Kis Id Ya Kis Member Ki Baat Kar Rahe Ho Aap ????
 
Aur Kisi Aur Ko Unsubscribe Kiya Gaya Aur Aapko Gussa Aaya ?????? Ye Kya Baat Hui
Aur 1 Month Pehle Ya 2month Pehle Kisi Ko Bhi iss Group Se Unsubscribe Nahi Kiya Gaya Hai
 
Aap Kaise Aur Kis Buniyad Pe Keh Rahe Ho Ki Unsubscribe Kiya gaya ????????
 
Ye Wahi Baat Hui Afzal Bhai....Albert Pinto Ko Gussa Kyun Aaya ????
 
Aapko Gussa Kyun Aaya ???
 
Aap Ne Padha Nahi islam Me Gussa Karne Keliye Mana Kiya Gaya Hai
 
Group Me Hi Kitni Baar Gusse Ke Baare Me Ahadees Aachuki Hai..............iska Matlab Ye Bhi Hua Ki Aap Par Kisi Ahadees Ka Bhi Koi Asar Nahi Hua Ab Tak......
 
Allah Hum Sabko Neik Toufeeq Aata Farmaye
 
Allah hafiz
Mrs Rubina Yasmeen
 
--- On Sat, 26/5/12, Afzal Hussain <afzalhussain42@yahoo.com> wrote:

From: Afzal Hussain <afzalhussain42@yahoo.com>
Subject: Re: [Yaadein_Meri] Afzal Hussain Bhai......." " Dukhoun Aur Rogon Keliye Munfarid Ilaaj - دکھوں اور روگوں کیلئے منفردعلاج " "
To: "Rubina Yasmeen" <rubina_yas@yahoo.com>
Date: Saturday, 26 May, 2012, 3:54 PM

    Assalam Alaikum
    Aap mujhe ghalat na samjhe kiyoun k main ne itni baar aap ka ID likha shayed mujh se ghalati hui hai aur is k liye main maafi  chahta hoon aur rahi doori baat ye k aap ne 1 mehna pehle ektarfa judgement kiya aur us email ID ko aap ne unsubscribe kiya kiyoun kiya nahi dekh rahi hain aap doosroun k email main kiya kiya nahi likh rahe hain. aur main ne kai martaba dekha k gumrahioun ki he jeet hui hai aur mujhe bahut dukh hua isiliye aap ka ID double double likha gaya aur main ne aap ko isse pehle bhi kai martaba likha tha k Gumrahi jaise emails na bhejen jaisa ka yeh mail aya hai. Khair Faisla aap per hai chahe mujhe is group mein rakhen ya na rakhen. aur main specially Aurtoun ki bahut izzat karta hoon chahe woh koi bhi aurat ho. aur main Aurtoun se nazar milakar bhi baat nahi karta.shayed aap mujhe ghalat samajh rahi hongi lakin aisa hargiz nahi aur aap se guzarish hai k sahih Ahadeeth mail karen take musalman gumrahi bachen..
aur main phir se ek baar is ghalati k liye maafi chahta hoon kiyun k main ne ghusse mein aisa kiya ..................................................................................................Beshak Allah maaf karne wala hai.
 
Afzal Hussain
From: Mian Faiz <mfaiz_chishti1@yahoo.com>
To: "Yaadein_Meri@yahoogroups.com" <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>
Sent: Saturday, May 26, 2012 8:16 AM
Subject: Re: [Yaadein_Meri] Afzal Hussain Bhai......." " Dukhoun Aur Rogon Keliye Munfarid Ilaaj - دکھوں اور روگوں کیلئے منفردعلاج " "
 
Group main rah ker kam kernay ke kuch ethics hotay hain. Khasosan khowateen se jab bhi batke jae usmain adabo ihtaram malhoze khater rehna chaheay. Jab bhi kisi ko likhain apnay zahin main yeh rahay keh mairi man bhi he bahen bhi aor baiti bhi phir insan ko kisi ko mukhatib kerna asan hojata he. Baher hall yeh ghalti nahin shararat lagti he is se ap kia hasil kierna chahtay hain sab group member ko sharminda kerdia. Iss liay to koi kisi per aitbar nahin kerta very sad.
From: Zubair Khan <khanzubair_pcw@yahoo.com>
To: "Yaadein_Meri@yahoogroups.com" <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>
Sent: Friday, May 25, 2012 9:24 AM
Subject: Re: [Yaadein_Meri] Afzal Hussain Bhai......." " Dukhoun Aur Rogon Keliye Munfarid Ilaaj - دکھوں اور روگوں کیلئے منفردعلاج " "
 
Ek baat kahoon , bahut acha bheja hai aapne , Jazzak Allah. take care
 
With Best Regards Zubair Khan
From: Rubina Yasmeen <rubina_yas@yahoo.com>
To: yaadein_meri@yahoogroups.com
Sent: Friday, May 25, 2012 8:12 PM
Subject: [Yaadein_Meri] Afzal Hussain Bhai......." " Dukhoun Aur Rogon Keliye Munfarid Ilaaj - دکھوں اور روگوں کیلئے منفردعلاج " "
 
 
Afzal hussain bhai Sahab Aap ye ek mail ko 20 time kyun bheje meri Id Pe Whts the reason ???
 
group me aapne ek time likh diya kya woh kafi nahi tha jo aapne meri id pe itne saare Cc rakhe hue hain
 
ye mail mujhe total 20 aayi hai kyunnn ???
 
kya iski wajhe mein jaan sakti hoon ye harkat kyun ki aapne ????
aisa kisi doosre member ne nahi kiya aaj tak
naa aisi Ghalti hui naa hi jaanbojhkar kisi ne aisa kya...........
 
Aap pehle bhi bht baar group me sharr paidah karne ki koshih kar chuke hain..laikin mein har baar nazar andaz karti rahi
 
ab iski wajhe dijiye aap ??
 
Doosre members bhi dekh sakte hain ki iss mail me kitni baar Cc me mera id daala gaya hai
 
 
--- On Fri, 25/5/12, Afzal Hussain <afzalhussain42@yahoo.com> wrote:

From: Afzal Hussain <afzalhussain42@yahoo.com>
Subject: Re: [Yaadein_Meri] " " Dukhoun Aur Rogon Keliye Munfarid Ilaaj - دکھوں اور روگوں کیلئے منفردعلاج " "
To: "Yaadein_Meri@yahoogroups.com" <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>, "sadqayyarasolallah@yahoogroups.com" <sadqayyarasolallah@yahoogroups.com>, "Naveed Ahmed" <naveedahm44@yahoo.com>
Cc: "Rubina Yasmeen" <rubina_yas@yahoo.com>, "Rubina Yasmeen" <rubina_yas@yahoo.com>, "Rubina Yasmeen" <rubina_yas@yahoo.com>, "Rubina Yasmeen" <rubina_yas@yahoo.com>, "Rubina Yasmeen" <rubina_yas@yahoo.com>, "Rubina Yasmeen" <rubina_yas@yahoo.com>, "Rubina Yasmeen" <rubina_yas@yahoo.com>, "Rubina Yasmeen" <rubina_yas@yahoo.com>, "Rubina Yasmeen" <rubina_yas@yahoo.com>, "Rubina Yasmeen" <rubina_yas@yahoo.com>, "Rubina Yasmeen" <rubina_yas@yahoo.com>, "Rubina Yasmeen" <rubina_yas@yahoo.com>
Date: Friday, 25 May, 2012, 10:01 AM

Beshak Allah Behtar Janta hai aur Shafaat Dene Wala Hai Aur Tamam Tareefien Allah he k liye hai

Muhatrama aap ko yeh sub kahan se milte agar aisa hota to her insan jo paise wala hai woh to bus 1 ya 2 yateem ko school mein admission kara dega to is ko koi bemari nahi ati yeh sub ghalat hai aur yeh bakwas hai aur manghadat baten hain. Allha  Subhan  O Taala her insan dukh aur sukh diya hai aur woh yeh nahi kaha k main sirf neak insan ko he sahet aur sukh donga aur badkar dukh aur bemari donga. Aur aap maloom hoga k Allah Subhan O Taala her insan ko dukh/sukh aur Sahet/Bemari aur sub nematen Allah he k taraf se hai. aur aap ko maloom hoga k bemari aur dukh jaisi cheez Paighambroun ko bhi nahi chooti hai. Agar aap achcha ilm rakte hain to achchi Sahih Ahdeesien mail kiya karen na k ye manghadaat baten na pesh kiya karen aur yeh sub bakwas hai k Koi Doctor/Hospital/Medical band hargis nahi hota kiyoun k aap ko maloom nahi hai Muhatrama k aap SAWS bhi bemar huye the yane Huzure Akaram SAWS kiya koi mazloom ko aur Yateem ko aur her insaan ko kiya help nahi kiya tha nauzbillah muhatrima aap ka aqida kuch aur tariqe ka hai aur aise manghadat batoun per Aetemaad rakti hain. Barai karam meharbani aap aisi manghat mails na karen aur logoun ko gumrahi mein nadalen.
I will tell you one real story one of my friend jo k mera ek dost hai aur us ko ne aise he koi kaha k agar aap pareshan hain to aap 16 sayed k roze (Fasting) rakho aur aaj ko 13 yrs horahe hain aur woh aj bhi 16 Sayed k Roze (fasting) rakta hai aur us ko mana karne per woh hum logoun se naraaz hota hai aur yeh 16 Sayed kiya mujhe aaj tak kuch pata he nahi mila. Islaam mein nai cheez ka ejaad karna kiya hai shayed aap ko theek maloom hoga. han agar aap ko 16 Sayed k Rozoun k bare main agar maloom ho to woh batana. Allah khair kare.
I kindly requested you so please reply me.

Thanks
 
Afzal Hussain
From: Rubina Yasmeen <rubina_yas@yahoo.com>
To: Rubina_Yas@yahoo.com
Sent: Thursday, May 24, 2012 6:38 PM
Subject: [Yaadein_Meri] " " Dukhoun Aur Rogon Keliye Munfarid Ilaaj - دکھوں اور روگوں کیلئے منفردعلاج " "
 

السلامُ علیکم و رحمۃ اللہ و برکاتہ 

دکھوں اور روگوں کیلئے منفردعلاج
مشہور کالم نویس اور دانشور جاوید چوہدری صاحب کچھ سال قبل روزنامہ جنگ سے وابستہ تھے۔
 انہوں نے ایک حاجی صاحب کا واقعہ تحریر کیا کہ وہ کافی بیمار تھے۔
 کئی سالوں سے ہر ہفتے پیٹ سے چار بوتل پانی نکلواتے تھے
 اب ان کے گردے واش ہوتے ہوتے ختم ہوچکے تھے۔
 ایک وقت میں آدھا سلائس ان کی غذا تھی۔ سانس لینے میں بہت دشواری کا سامنا تھا۔
 نقاہت اتنی کہ بغیر سہارے کے حاجت کیلئے نہ جاسکتے تھے۔
ایک دن جاوید چوہدری صاحب ان کے ہاں تشریف لے گئے
 اور انہیں سہارے کے بغیر چلتے دیکھا تو بہت حیران ہوئے انہوں نے دور سے ہاتھ ہلا کر چوہدری صاحب کا استقبال کیا'
 چہل قدمی کرتے کرتے حاجی صاحب نے دس چکر لان میں لگائے'
 پھر مسکرا کر ان کے سامنے بیٹھ گئے'
 ان کی گردن میں صحت مند لوگوں جیسا تناؤ تھا۔
چوہدری صاحب نے ان سے پوچھا کہ یہ معجزہ کیسے ہوا؟
 کوئی دوا' کوئی دعا' کوئی پیتھی' کوئی تھراپی۔ آخر یہ کمال کس نے دکھایا۔
 حاجی صاحب نے
 فرمایا میرے ہاتھ میں ایک ایسا نسخہ آیا ہے کہ اگر دنیا کو معلوم ہوجائے تو سارے ڈاکٹر' حکیم بیروزگار ہوجائیں۔
 سارے ہسپتال بند ہوجائیں اور سارے میڈیکل سٹوروں پر تالے پڑجائیں۔
 چوہدری صاحب مزید حیران ہوئے کہ آخر ایسا کونسا نسخہ ہے جو ان کے ہاتھ آیا ہے۔
 حاجی صاحب نے فرمایا کہ میرے ملازم کی والدہ فوت ہوگئی'
 میرے بیٹوں نے عارضی طورپر ایک چھ سات سالہ بچہ میری خدمت کیلئے دیا'
 میں نے ایک دن بچے سے پوچھا کہ آخر کس مجبوری کی بنا پر تمہیں اس عمر میں میری خدمت کرنا پڑی'

 بچہ پہلے تو خاموش رہا پھر سسکیاں بھر کر بولا کہ ایک دن میں گھر سے باہر تھا'
 میری امی' ابو' بھائی' بہن سب سیلاب میں بہہ گئے

 میرے مال مویشی ڈھور ڈنگر' زمین پر رشتہ داروں نے قبضہ کرلیا۔
 اب دنیا میں میرا کوئی نہیں۔
 اب دو وقت کی روٹی اور کپڑوں کے عوض آپ کی خدمت پر مامور ہوں۔
 یہ سنتے ہی حاجی صاحب کا دل پسیج گیا اور پوچھا بیٹا کیا تم پڑھوگے بچے نے ہاں میں سرہلا دیا۔
 حاجی صاحب نے منیجر سے کہا کہ اس بچے کو شہر کے سب سے اچھے سکول میں داخل کراؤ۔
 بچے کا داخل ہونا تھا کہ اس کی دعاؤں نے اثر کیا'
 قدرت مہربان ہوگئی'
 میں نے تین سالوں کے بعد پیٹ بھر کر کھانا کھایا'
 سارے ڈاکٹر اور گھروالے حیران تھے۔

 اگلے روز اس یتیم بچے کو ہاسٹل میں داخلہ 
دلوایا اور بغیر سہارے کے ٹائلٹ تک چل کرگیا' میں نے منیجر سے کہا کہ شہر سے پانچ ایسے اور بچے ڈھونڈ کرلاؤ جن کا دنیا میں کوئی نہ ہو۔
 پھر ایسے بچے لائے گئے
 انہیں بھی اسی سکول میں داخل کرادیا گیا۔
 اللہ تعالیٰ نے فضل کیا اور آج میں بغیر سہارے کے چل رہا ہوں۔
 سیر ہوکر کھاپی رہا ہوں اور قہقہے لگارہا ہوں۔ حاجی صاحب سینہ پھلا کر گلاب کی کیاریوں کی طرف چل دئیے
 اور فرمایا میں اب نہیں گروں گا جب تک کہ یہ بچے اپنے قدموں پر کھڑے نہیں ہوجاتے۔
 حاجی صاحب گلاب کی کیاریوں کے قریب رک
گئے اور ایک عجیب فقرہ زبان پر لائے۔

۔ ''قدرت' یتیموں کو سائے دینے والے
 درختوں کے سائے لمبے کردیا کرتی ہے۔''
**************************

آپکی دعاءکیطالب
مسز روبینہ یاسمین
*******************************
اللہ ہم سب کو ہدایت عطا فرمائیں
انشاء اللہ
 




__._,_.___
Recent Activity:
.

__,_._,___

No comments:

Post a Comment