Search This Blog

Tuesday, 3 April 2012

Re: Fwd: [Yaadein_Meri] TUWHEED

kafir ka bhi kehna hai k
main khadi poojta hoon
aur tum padi poojte ho (jo qabr mein leti hui hai)
aur main murti per saree aur chadar udhahata hoon
aur tum log qabr per chadar dalte ho
aur main kum kum laga ta hoon
aur tum agar bati ki raakh lagate ho
aur hum phool chadhate hain
aur tum bhi phool chadhate ho
aur qabr per matha tek te ho
aur main bhi matha tekta hoon
aur aap log narial (coconut) phodte ho
aur main bhi narial phodta hoon
aur tum log bhi qabr ka atraaf chakkar lagate ho
aur main bhi madir k atraaf chakkar lagata hoon
aur qabr k pass ek admi khada hota hai jo paisa leta hai
aur mandir per bhi ek khadda rehta hai woh bhi paisa leta hai
aur qabr per bhi qwaali hoti hai
aur mandir men bhajan hota hai
aur tum log sajjade k pair per matha rakte ho
aur hum poojar k pair per matha rakte hain
aur wahan aurat bhi jati hai
aur yahan bhi aurat ati hai
aur hum bhi bhagwan ooper asman per hai kehte hain
aur tum bhi allah ooper hai kehte hain
aur hum is devi devta ke taraf se mangte hain
aur tum is qabr ki taraf se mangte hain
aur hum log ram janam manate hain
aur tum log bhi milad manate ho
aur hum log her saal gnesh ka moc up banate hain nachte hain
aur tum log milaad mein nachte shore sharaba karte ho
hum log kehte hain bhagwan ek hai
tum log bhi kehte hain allah ek hai
to hum dono mein ferq kahan hai sirf rang dhang alag hai
Han agar hum Tauheed ki taraf ate hain to phir bahut farq padhta hai

isi liye mere bhai Tauheed chahiye nake qabr parsti
han qabr ka ehtram karo aur un ki tauheen na karo
aur qabr ki ziyrat (visit) karo nake sajda  aur tawaaf karo
aur qabr ki ziyarat se akhirat dikhayee deti hai nake dunyadari
aur achchi kushnuma mazar per to jate ho magar wahan per sir duniyadari he dikhai deti hai
aur allah k Rasool Akram SAWS fermate hain k Qabroun Ibadatgah aur Sajdahga na banao

Aap logoun ki merzi
Allah Khair kre Ameen


From: Naveed Ahmed <naveedahm44@yahoo.com>
To: Yaadein <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>
Sent: Tuesday, April 3, 2012 4:18 PM
Subject: Re: Fwd: [Yaadein_Meri] TUWHEED

Meri group owner say khasosan or tamam readers say 

 guzarish hai ke kia tuwheed ke bat kerna us ki

ishaat kerna logon ko us ke bary main agahi daina 

galat hai ????is mail main kia aitraz laga hai ke is per

itna ahemkana jawab dia gia hai ??? kia main ne yeh 

dawat di hai kisi ko ke ALLAH ke siwa kisi or ko bhi 

pukaroo ??? hamain her hal main RAB ko pukaran hai 

ager yeh galat hai tu main qabool kerta hoon ke main 

ne galat kia hai wagrna is tarah say jwab dar jawab her

insan ko ata hai ,,lakin is taraha say dosray logon ko 

muka milta hai ke wo isalm per aitraz ker sakain ke 

kaisay musalmaan hain yeh log jo aps main hi kis aik 

bat per mutafik nahi hai , hamin sochna chahiay lakin 

aik bat main zaroor kahoon ga ke kia ham dawa ker 

saktay hain ke ham waki sahi rah per hain ?? ham

main say shaid hi koi aisa kahay ga  ke main sahi hoo 

kia aisa mumkin hai ke sab hi hidayat per hoon ??? 

ager aisa hi hai tu phir jahgra kis bat per hai ,,, main 

nihayat ajzi say arz karoon ga ke ALLAH ke wasty 

sirf aisi bat karoo jis say kisi ko takleef na hoo or ap 

ka maksab bhi hal ho jay,,, hikamat ke sath ,,,

or deen hikmat or danai say hi pehlta hai na ke zore zaberdasti say ....mera ishara kisi khas tabka e fikaer 

ki taraf nahi hai or deen seekhny acha hai is keliay 

ham sab ko chahiay ke ham deen ko samjhain ke is ka 

takaza kia hai main ne kabi nahi kaha ke buzurgoon ki 

tazeem na kraoo un ke izat na karoo sirf yeh kaha he 

ke un ko itna na barhaoo ke had say guzar jaoo ,, 



wallah hu alamu 


From: Fahad Ashrafi <fahad_yamin@hotmail.com>
To: Yaadein_Meri@yahoogroups.com; Naveed Ahmed <naveedahm44@yahoo.com>; Khaksar <mahvishakram@hotmail.com>
Sent: Tuesday, April 3, 2012 4:19 AM
Subject: Fwd: [Yaadein_Meri] TUWHEED



-------- Original Message --------
Subject: [Yaadein_Meri] TUWHEED
Date: Tue, 3 Apr 2012 01:11:57 -0700 (PDT)
From: Naveed Ahmed <naveedahm44@yahoo.com>
Reply-To: Yaadein_Meri@yahoogroups.com
To: Yaadein <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>


 
 
   




No comments:

Post a Comment