Search This Blog

Wednesday 6 February 2013

[Yaadein_Meri] Mafhum-e-Quran: Kasam ko puri karna ya phir uska kaffara Ada karna jaruri hai

 


 Bismillah Walhamdulillah Was Salaatu Was Salaam 'ala Rasulillah.

Assalamualaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuhu..

Bismillah irrhaman Nirrahim

Mafhum-e-Quran: Kasam ko puri karna ya phir uska kaffara Ada karna jaruri hai

Allah Subahanhu tumhari be irada kasmo par tumhey naki pakadta hai lekin un kasmo par pakadta hai jinhey tum pukhta (mazbut ) kar detey ho , uska kaffara 10 Mohtajon ko awsat darjey ka khana khilana hai jo tum apney ghar walo ko khilatey ho ya 10 miskino ko kapdey dena ya Ek Ghulam Aazd karn...
a phir jo shaksh ye na kar paye to wo 3 din ke rozey rakhey ye tumhari kasmo ka kaffara hai jab tum kasam kha lo ( aur usey tod do) aur tumhey chahiye ki apni kasmo ki hifazat karo , Allah Subhanahu isi tarah tumharey liye hukm bayan karta hai taki tum Shukar karo
AL Quran, Surah Al Maeda (5), Verse 89

Hazrat Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Abu Bakr Radi Allahu Anhu kabhi bhi apni kasam nahi todtey they yahan tak ki Allah Subhanahu ne kasam ke kaffarey ki aayat nazil ki, us waqt unhoney kaha ki ab agar main koi kasam kahaunga aur uskey siwa koi cheez bhalaii ki hogi to main wohi kaam karunga jsimein bhalaii hogi aur kasam ka kaffara ada kar dunga
Sahih Bukhari, 6621

----------------------------------------------------------
English Translation:
Allah will not punish you for what is unintentional in your oaths, but He will punish you for your deliberate oaths; for its expiation feed ten Masakin (poor persons), on a scale of the average of that with which you feed your own families, or clothe them or manumit a slave. But whosoever cannot afford (that), then he should fast for three days. That is the expiation for the oaths when you have sworn . And protect your oaths (i.e. do not swear much) . Thus Allah make clear to you His Ayat (proofs, evidence, verses, lessons, signs, revelations, etc.) that you may be grateful.
AL Quran, Surah Al Maeda (5), Verse 89

Narrated 'Aisha Radi Allahu Anha: Abu Bakr As-Siddiq radi allahu anhu had never broken his oaths till Allah revealed the expiation for the oaths. Then he said, "If I take an oath to do something and later on I find something else better than the first one, then I do what is better and make expiation for my oath."
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 78, Number 618:


__._,_.___
Reply via web post Reply to sender Reply to group Start a New Topic Messages in this topic (1)
Recent Activity:
.

__,_._,___

No comments:

Post a Comment