Search This Blog

Tuesday 16 August 2011

Re: [Yaadein_Meri] " " Iblees Ka Aiteraaf " "

 

Waleykum Assalam Wa Rahmath Ullahi Wa Barkatahu



Nice.......................


From: Rubina Yasmeen <rubina_yas@yahoo.com>
To: Rubina_Yas@yahoo.com
Sent: Mon, 15 August, 2011 11:42:48 PM
Subject: [Yaadein_Meri] " " Iblees Ka Aiteraaf " "

 

 

Assalam Alaikum Wa Rahmath Ullahi Wa Barkatahu

 

" Iblees Ka Aiteraaf "

 

 

Tu Ne Jis Waqt Ye Insaan Banaya Ya Rabb

Uss Ghadi Mujhko Toh Ek Aankh Naa Bahaya Ya Rabb

 

Iss Liye Sar Apna Naa Jhukaya Yaa Rabb

Laikin Ab Palti Hai Kuch Aisi Kayaa Yaa Rabb

 

Aqqalmandi Hai Issi Me Ki Mein Touba Karloun

Sochta Hoon Ki Ab Insaan Ko Sajda Karloun

 

Ibteda Thi Bohut Narm Tabiyat Iski

Qalb Wa Jaan Paak The Shaffaf Thi Tabiyat Iski

 

Phir Badtareej Badalane Lagi Qaslat Iski

Ab Toh Khud Mussalat Hai Sharat Iski

 

Iss Se Pehle Ki Mein Apna Hi Tamasha Karloun

Sochta Hoon Ke Mein Ab Insaan Ko Sajda Karloun

 

Bhar Diya Tu Ne Bhala Kounsa Fitna Issme

Pakta Rehta Hai Hamesha Koi Lawa Issme


 

 

 Ek Ek Saans Hai Shoula Fitrat Issme

Aag Moujood Thi Kya Mujh Se Zyada Issme

 

Apna Aatishkadaa Zaat Hi Thanda Karloun

Sochta Hoon Ki Ab Insaan Ko Sajda Karloun

 

Ab Toh Yeh Khoon Ke Rishtoun Se Bhi Akad Jata Hai

Baap Se Bahi Se Bete Se Bhi Ladd Jata Hai

 

Jab Kabhi Taish Me Hatte Se Uthad Jata Hai

Khud Mere Sharr Ka Bhi Tawazunn Bigad Jata Hai

 

Ab Toh Laazim Hai Ki Mein Khud Ko Hi Seedha Karloun

Sochta Hoon Ke Mein insaan Ko Sajda Karloun


 

 

  Kuch Jhijakta Hai Hai Na Darta Hai Na Sharmata

Nit Nayi Fitnagiri Roz Hi Dikhlata Hai

 

Ab Yeh Zalim Mere Behkawe Me Kab Aata Hai

Mein Bura Sochta Rehta Hoon Ye Karjata Hai

 

Kya Abhi Iski Mureedi Ka irada Karloun

Sochta Hoon Ki Ab Insaan Ko Sajda Karloun

 

 

Thanks & Regards

Mrs Rubina Yasmeen

Join My Group

http://groups.yahoo.com/group/yaadein_meri

 

 

 

__._,_.___
Recent Activity:
MARKETPLACE
A better credit score can save you thousands. See yours at freecreditscore.com.
.

__,_._,___

No comments:

Post a Comment