Search This Blog

Sunday, 19 May 2013

«*» RUKHSANA«*» `Ham diivaane hain jo baal bikhere phirate hain`

 
 `Ham diivaane hain jo baal bikhere phirate hain`
chaand sitaaron se kyaa puchhuun kab din mere phirate hain
vo to bechaare Khud hain bhikaarii Dere Dere phirate hain
 
jin galiyon mein ham ne sukh kii sej pe raaten kaaTii thiin
un galiyon mein vyaakul hokar saanjh savere phirate hain
 
ruup-saruup kii jot jagaanaa is nagarii mein jokhim hai
chaaron khuunT baguule ban kar ghor andhere phirate hain
 
jin ke shaam-badan saaye mein meraa man sustaayaa thaa
ab tak aankhon ke aage vo baal ghanere phirate hain
 
ko_ii hamein bhii ye samajhaa do un par dil kyon riijh gayaa
tiikhii chitavan baankii chhab vaale bahutere phirate hain
 
is nagarii mein baaG aur ban kii yaaro liilaa nyaarii hai
panchii apane sar pe uThaakar apane basere phirate hain
 
log to daaman sii lete hain jaise ho jii lete hain
ham diivaane hain jo baal bikhere phirate hain
 `
 21valDollLOVE-Puts-the-fun 
   21valDollLOVE-is221valDollLOVE-is1
Rose!

 

No comments:

Post a Comment