Jazzak Allah Brother,
Allah ham sabko gunaah se bachchne ki taufiq aata kare aur hamari maut nek kaam aur ibaadat ke haalat mein aaye.
Ya Allah hamari aur apne tamam nek bandon ki dua qubul karle
- Ameen Ya Rabbul Alameen
Thanks & Regards
Zubair
Zubair
From: Aap Ka Dost <s4_1234@yahoo.com>
To:
Sent: Tuesday, May 28, 2013 2:01 PM
Subject: [Yaadein_Meri] Hadith: Zina karney wala Zina kartey waqt , Sharaab Peeney wala Sharab Peetey waqt Momeen nahi rahta
Bismillah Walhamdulillah Was Salaatu Was Salaam 'ala Rasulillah.
Assalamualaikum Wa RahmatullahiWa Barakatuhu
Bismillah hir-Rahman nir-Rahim
Hadith: Zina karney wala Zina kartey waqt , Sharaab Peeney wala Sharab Peetey waqt Momeen nahi rahta
Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Zina karney wala Zina kartey waqt Momeen nahi rahta, Shraab Peeney wala Sharab Peetey waqt Momeen nahi rahta,Chori karney wala chori kartey waqt Momeen nahi rahta, Jab koi lootney wala loot ta hai aur log usey dekhtey hain us waqt wo bhi momeen nahi rahta
Sahih Bukhari, Vol 8, 6772
Jabir radi allahu anhu se rivayat hai ki mainey suna Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam se Sallallahu Alaihi wasallam aap farmatey they har banda Qayamat ke din usi halat par uthega jis halat mein mara tha.
Sahih Muslim, Vol 6, 7232
Note: ibrat ki baat hai zara gaur karey is Allah na karey aisey gunah kartey huye kisi ko maut aa jaye to uska kya banega kyunki wo us waqt momeen nahi rahta , Allah ham sabkey gunah maaf farmaye aur khair aur Imaan wali maut ata farmaye
----------------------------------------------
Hadith: When an adulterer commits illegal sexual intercourse, then he is not a believer that time….
Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "When an adulterer commits illegal sexual intercourse, then he is not a believer at the time he is doing it; and when somebody drinks an alcoholic drink, then he is not believer at the time of drinking, and when a thief steals, he is not a believer at the time when he is stealing; and when a robber robs and the people look at him, then he is not a believer at the time of doing it." Abu Huraira in another narration, narrated the same from the Prophet with the exclusion of robbery.
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 81, Number 763
Jabir Radi allahu anhu reported: I heard Allah's Apostle (may peace be upon him) as saying. Every servant would be raised (in the same very state) in which he dies.
Sahih Muslim, Book 040, Number 6878:
__._,_.___
Reply via web post | Reply to sender | Reply to group | Start a New Topic | Messages in this topic (2) |
.
__,_._,___
No comments:
Post a Comment