Kabhi khurbat k lamhon me thikana bhool jate hain
Kabhi furkhat ka teri ham fasaana bhool jate hain
Sitam hai ye mohabat me tum jisko is khadar chaho
Osi ki aarzo me ham zamana bhool jate hain
Chupakar baith jaate hain naseebon ka dia zewar
Kabhi tujhko kabhi khudko dikhana bhool jate hain
Bas apni zaat me khokar apna hi ziker karna
Kisi doje ka koi gham othana bhool jate hain
Ser e mehraab jalte hon chiragh e gham andheron me
Ham apne aansowon ko phir dabana bhool jata hain
Shroo jo ho wafa k naam per hum aese rishte ko
Khatam karke wafaon ka zamana bhool jate hain
Tumhari aarzo me ham howe roswa zamane me
Ye marg e jaan se pahle batana bhool jate hain
Shaukat yaad rakhte hain ham apne dil ki halat ko
Magar apni khataon ko dikhana bhool jate hain
-{A Poetry A Day Keeps The Doctor Away}-
Naseem Banu
__._,_.___
Reply via web post | Reply to sender | Reply to group | Start a New Topic | Messages in this topic (1) |
.
__,_._,___
No comments:
Post a Comment