Search This Blog

Tuesday 15 January 2013

[Yaadein_Meri] Mafhum-e-Hadith: Hazrat umar ko dekhkar Shaitan raasta badal deta tha

 

 
Bismillah Walhamdulillah Was Salaatu Was Salaam 'ala Rasulillah.

Assalamualaikum Wa Rahmatullahi Wa Barakatuhu..

Bismillah-Hirrahman-Nirrahim 

Mafhum-e-Hadith: Hazrat umar ko dekhkar Shaitan raasta badal deta tha

Saad Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki hazrat Umar Radi-Allahu-Anhu ne Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam se andar aaney ki ejazat maangi aur aapkey pass us waqt Quraish ki aurtein baithi thi aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam se baatein kar rahi thi aur bahut bakwas kar rahi thi aur unki aawazin buland thi aur jaisey hi hazrat umar ne aawaz di wo uth kar bhag gayee jhupney ke liye , Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne hazrat umar ko ejazat de di (andar aaney ki) aur Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam hans rahey they Hazrat umar Radi-Allahu-Anhu ne kaha ki Ya Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam Allah aapko hansta hua rakhey , Aap Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya mujhe taajjub hua un aurton par jo mere pass baithi thi aur tumhari aawaz suntey hi pardey mein bhag gayee , hazrat umar ne farmaya Ya Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam aapsey unko ziyada darna chahiye tha , phir un aurton se hazrat umar ne kaha ki eh apni jaan ki dushmano tum mujhse darti ho Allah ke Rasool Sallallahu-Alaihi-Wasallam se nahi darti , un aurton ne kaha tum sakht aur gussey waley ho banisbat Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ke. Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya qasam hai uski jiskey qabzey mein meri jaan hai (Eh umar) shaitan jab tumko kisi raah mein chalta hua milta hai to us raah ko jismein tum chaltey ho usey chorh deta hai aur dusri raah mein chala jata hai.
Sahih Bukhari, Vol 6, 6202

------------------------------------------
English Translation:
Sa'd b. Waqqas reported that Umar sought permission from Allah's Messenger (may peace be upon him) to visit him when some women of the Quraish were busy in talking with him and raising their voices above his Voiee. When'Umar sought permission they stood up and went hurriedly behind the curtain. Allah's Messenger (may peace be upon him) gave him permission smilingly. Thereupon Umar Radi-Allahu-Anhu said: Allah's Messenger Sallallahu-Alaihi-Wasallam may Allah keep you happy all your life. Then Allah's Messenger peace be upon him said: I wonder at these women who were with me and no sooner did they hear your voice, they immediately went behind the curtain. Thereupon 'Umar said: Allah's Messenger, you have more right that they should fear you. Then Umar (addressing the women) said: O ye enemies of yourselves, do you fear me and fear not the Messenger of Allah peace be upon him ? They said: Yes, you are harsh and strict as compared to the Messenger of Allah peace be upon him . Thereupon, Allah's Messenger Sallallahu-Alaihi-Wasallam said: By Him in Whose Hand is my life, if satan would encounter you in the way he would certainly take a different way from that of yours.
Sahih Muslim, Book 031, Number 5899:

__._,_.___
Reply via web post Reply to sender Reply to group Start a New Topic Messages in this topic (1)
Recent Activity:
.

__,_._,___

No comments:

Post a Comment