Yeh Koi Larny ki baat tou nahi hai brothers..........
From: aadi khan <keep.connect@gmail.com>
To: Yaadein_Meri@yahoogroups.com
Sent: Monday, 5 March 2012 11:42 AM
Subject: Re: [Yaadein_Meri] " " DEATH Of Prophet PBUH " "
Wa'alaikum as Salam....
Rameez bhai.... bht bht ma'azrat.... shayad aap ko bura laga... mera maqsad yahan ap ka dil dukhana nahi tha.... actually main firqa warayat pr ab baat krny sy katrata hun (skip krta hun)..... lakin jo batein awam un naas k samny aani chahiye woh btana bhi farz samajhta hun....
guzishta mail main koi ghalat baat nhi ki gai thi... actually english aur urdu main farq hota hai... aap khud dekh lijiye urdu main tu, tum aur aap hota hai... but english main sirf you hota hia..... same as urdu main parda farmana, inteqal, rehlat, mout aur bht sy istelahaat hian.... but english main death hi hai......
umeed hai aap samajh gae hongy... mera maqsad aap ko taunt krna nahi tha... sirf samjhana tha....
Allah hum sab ko deen pr qayam rehny ki aur deen pr marny ki taufeeq naseeb farmae.....
Assalam o Alaikum
--
On Fri, Mar 2, 2012 at 12:40 AM, Rameez Bakbak <bakbak.rameez@yahoo.com> wrote:
Assalamalaekum,Aadi sahab main aapkey mails padhta hoon, aur aapke mails se kuch seekhta bhi hoon, lehaza merey dil may aapki izzat hai...Rubina ji ke mails saalon se lagataar paata aur padhta hoon, aur Rubina ji ki izzat dil se karta hoon...Bas apnon ki baat kabhi kuch ajeeb lagey to batadena cahiye, aur isi wajhey se main ne wo reply kiya tha,,, tanqeed wali koi baat nahi...Allah ham sab ki kotahiyon ko maaf karey aameen...Ab main is maozun par mazeed koi reply nahi karonga, so please aap bhi mat likhye,,, baat badhegi to dosrey mun bhi khulengey aur phir jitney mun utni baten hongi...Allah Khair Karay - RAMEEZRemember, one day you will appear before Allah and answer for your deeds.Sent: Thursday, March 1, 2012 3:54 PM
Subject: Re: [Yaadein_Meri] " " DEATH Of Prophet PBUH " "Acha bha acha....PArda farmany ki english bta dijiye bhaiOn Thu, Mar 1, 2012 at 2:31 PM, Rameez Bakbak <bakbak.rameez@yahoo.com> wrote:muhtaram jahan tak mumkin ho achey lafz istemaal karne cahiye...aur ye himaqhat ke ham sab kuch jantey hain bewakhufi ki sab se pahli alamat hai...Jinka noor sab se pahley paeda kiya gaya ho unki shaan ka kya kahena,,, aur jinka naam Allah ke naam ke saath juda ho unkey martabey ka kya kahena... so ihteraam lazim hai...ghar aaey aam mehmaan ko rooz marrah istemaal ki crockery may khana sarf kiya jata hai,,, aur koi special ho to usko andar se khaas crockery set kyon nikalta hai??? bartan bartan hi hain ismay kya farq!!! farq hai, personality ke hisab se farq padta hai... lafz inteqhal ham jaesey aam insanon ke liye hai - bas.Allah Khair Karay - RAMEEZRemember, one day you will appear before Allah and answer for your deeds.Sent: Thursday, March 1, 2012 9:06 AM
Subject: Re: [Yaadein_Meri] " " DEATH Of Prophet PBUH " "Muhatram Janab Rameez Sahib.... Arbi Parhny jaty thy aap???????pehly urdu parhlyty tou behtar tha tha.....Death Means Inteqal...Inteqal means ik jagah sy dusri jagah muntaqil hona.....Nabi e karim ny parda poshi ikhteyar ki... is ka matlab inteqal hi hai bhai....Wo alag matter hai k Nabi e karim sallahu alaihi wasallam apni qabar e mubarak main apny jisim k sath hayat hian................On Wed, Feb 29, 2012 at 3:37 PM, Kausar M <mkausar17@yahoo.com> wrote:Dear Moderator,السلام عليكم ورحمة الله وبركاته،I too agree with Rameez bhaiShukran JaziranFrom: Rameez Bakbak <bakbak.rameez@yahoo.com>
To: "Yaadein_Meri@yahoogroups.com" <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>
Sent: Wednesday, February 29, 2012 9:21 AM
Subject: Re: [Yaadein_Meri] " " DEATH Of Prophet PBUH " "Assalamalaekum,Bachpan may arabi padhney jab masjid jaya karta tha to Maulwisahab cheekh cheekh ke padhatey they... kePyare Nabi Aanhazrat Mohammad Mustafa Salellahualaehiwasallam Ne 12 Rabbil-Awwal Ko Is Duniya Se Parda Poshi Ki...Aur aaj????????Behtar hoga agar Maot/Death ke lafz ki jagha 'Is Duniya Se Parda Farmae' istemaal kiya jae to...Khuda Khair Karay - RAMEEZRemember, one day you will appear before Allah and answer for your deeds.From: Rubina Yasmeen <rubina_yas@yahoo.com>
To: Rubina_Yas@yahoo.com
Sent: Tuesday, February 28, 2012 11:01 PM
Subject: [Yaadein_Meri] " " DEATH Of Prophet PBUH " "
Bismillahir Rahmanir RaheemAssalam Alaikum Wa Rahmath Ullahi Wa Barkatahu**********.DEATH Of Prophet PBUH
12th Rabbi-Ul-Awwal 11 hijrah, 23 Nabvi, 8th June, 632 A.D,At The Time Of Chast (after sun rise)
In Madina Munawarah In The House Of Bibi Ayesha R.A.Burried in The House Of BiBi Aysha R.A
Grave Exactly Where Died in The Room********************************Aapki Dua Ki TalibMrs Rubina Yasmeen********************************
__._,_.___
.
__,_._,___
No comments:
Post a Comment