Search This Blog

Saturday 24 December 2011

Re: [Yaadein_Meri] Hadith : Nazar (Mannat) sirf Kanjus ke pass se maal (paisa) nikalti hai

 

Dear Senders,

I did not read your quoted Hadis but it seems like a contradiction with Quranic verses quoted in many places, please correct if I'm wrong  
 

Thanks & Regards,

M A Khan Raza
Saudi Arabia
 
makhanraza_sardar@ymail.com 


From: Aap Ka Dost <s4_1234@yahoo.com>
To:
Sent: Thursday, December 22, 2011 11:30 AM
Subject: [Yaadein_Meri] Hadith : Nazar (Mannat) sirf Kanjus ke pass se maal (paisa) nikalti hai

 
Bismillah irrhaman Nirrahim

Hadith : Nazar (Mannat) sirf Kanjus ke pass se maal (paisa) nikalti hai
( Vow makes a miser to spend his property )

Abdullah Ibn Umar Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Nazar (mannat) maan-ney se inkaar kiya aur farmaya ki nazar ( mannat) kisi cheez ko nahi rokti, Nazar sirf Bakhil (Kanjus) ke pass se maal (paisa) nikalti hai
Sahih Bukhari, Vol 8, 6608

Abu Hurairah Radi allaho anho se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ( Allah Subahanhu farmata hai) Nazar (Mannat) insaan ko aisee koi cheez nahi deti jo mainey uski Taqdeer mein na likhi ho, bulki wo taqdeer hi deti hai jo mainey uskey liye Muqarrar kar di hai, main uskey (mannat ke) zariye Bakhil (kanjus) ka maal nikalwa leta hu
Sahih Bukhari, Vol 8, 6609
---------------------------------------------------
English Translation:
Narrated Ibn 'Umar Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam forbade vowing and said, "In fact, vowing does not prevent anything, but it makes a miser to spend his property." 
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 77, Number 605:

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu : The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said (that Allah said), "Vowing does not bring to the son of Adam anything I have not already written in his fate, but vowing is imposed on him by way of fore ordainment. Through vowing I make a miser spend of his wealth."
Sahih Bukhari, Volume 8, Book 77, Number 606:
 

Tashreeh (Explanation) As per the book of Sahih Bukhari, 

Aksar log yu to Allah ki raah mein paisa kharch nahi kartey jab koi Museebat aa jati hai to us Waqt tarah tarah ki mannatein mantey hain , magar nazar aur mannat man ney se Taqdeer nahi palat sakti hota wohi hai jo Taqdeer mein hai . Aap Sallallahu Alalihi Wasallam ne aisee nazar se mana farmaya jismein banda ye sochey ki meri is nazar se bala tal jayegi ,lekin Agar koi ye sochkar Nazar maney ki jo Allah ne kismat mein likh diya hai wohi hoga to aisee nazar mana nahi aur iska pura karna Wajib hai.

Explanation:
Most of the people dont spend money in Allah's way but whenever any problems occur they start various kinds of vowing , but vowing does not prevent anything, What Allah has written in our dstinay it must happen. if somebody vow by thinking that Whatever in our destiny it must happen then these kind of vow is allowed and it must be fulfilled. 





__._,_.___
Recent Activity:
MARKETPLACE

Stay on top of your group activity without leaving the page you're on - Get the Yahoo! Toolbar now.

.

__,_._,___

No comments:

Post a Comment