Search This Blog

Wednesday, 28 November 2012

«*» RUKHSANA«*» Re: «*» RUKHSANA«*» Computer Mein Junk Files Ki Problem (Roman Urdu)

assalam u alaikum janab,

mene aapka mail padha thanx mujhe to iske bare me itna malum hi nahi tha ,
me aapke agle mail ka w8 karungi

thanks,
reshma


--- On Wed, 28/11/12, Umair Shaikh <omgureka@gmail.com> wrote:

From: Umair Shaikh <omgureka@gmail.com>
Subject: «*» RUKHSANA«*» Computer Mein Junk Files Ki Problem (Roman Urdu)
To: "Umair Shaikh" <omg.eureka@gmail.com>
Date: Wednesday, 28 November, 2012, 10:24 AM

 

Hi and As Salaam O Alaikum,

Kal meinay 1 introductory email bheji thi. Ap logo k possitive replies aye to issi lye aj se sabse pehlay mein computer mein kuch problems jo her ek ko hoti hai unko discuss kerna shuro ker raha ho. Sath hi mein dosray subjects like Facebook, Android wagera per bhi next articles mein baat kerta rahounga. Yeh sab depend kerta hai k ap laug mujhe kis tarah ka reply detay hai. Q k yeh sab ap logo ko samjhanay k lye hi hai. So let's begin.

 

temp file

Computer mein problems create honay ki wajah to buhat sari hoti hai.. mager kuch important baton mein yeh Junk Files ka buhat bara role bhi hota hai. Buhat saray logo ne is k baray mein suna hoga k han Temporary Files ko delete kerdena chaiye… problem create kerti hai… hard disk mein space leti hai lekin bas yahi batein hi suni hongi is k ilawa kuch bhi nahi jantay hongay.

 

Jab k kissi chiz k baray mein janay bager ap us problem ko solve hi  nahi ker saktay. To is post mein aur next post mein hum discuss kareingay k Temporary files, Temporary Internet Files, Cookies, History aur Cache Files kia hoti hoti hai, in sab mein farq kia hai, in se kia hota hai aur inka treatment caisey kerna chaiye.


What They Do

Yeh Junk files ap k computer mein automatically create hoti hai. Junk Files ki types yeh hai 
1. Temporary Files 
2. Temporary Internet Files 
3. Cache Files 
4. Cookies 

Junk Files ap k computer mein installed softwares, ap ka internet browser aur system create kertay hai aur is ki wajah buhat sari hoti hai. Baaz dafa yeh is lye create hoti hai taqay files ka backup rahay, interent ki speed ko fast kernay k lye bhi hoti hai aur kafi dafa aisey hi create ho jati hai computer ki different problems ki wajah se. Yeh junk files ap k computer mein ahista ahista space lena shuro ker deti hai aur computer ko slow kerna shuro ker deti hai. In k kuch faiday bhi hai mager disadvantages ziada hai.


The Real Fact

Lekiin baat sirf computer mein problem create honay taq nahi hai, balqay Yeh Temporary Internet Files, Cache aur Cookies ko ager waqt per treat na kia jaye to aj kal ki websites ap ka track rakhti hai aur ap k computer mein se yeh information nikal ker Marketing purpose k lye bhi use kerti hai. Jaisey k ap kitna time spend kertay hai her websites per, Kaun si websites per ziata jatay hai, Is Tarah se woh record jama kertay hai aur ap ko target kertay hai different advertisements, spam wagera se. Q k jab bhi ap net per form wagera fill kertay hai to woh information bhi hamaray computer mein save hoti hai (jis ka ziker mein future articles mein Cookies k section mein kerounga) aur baad mein ap ka address aur dosri details websites ap k computer mein se nikal ker apnay purpose k lye use kerti hai.

 

Oh My….So What i should do…

Pareshan na ho q k kissi bhi problem ka hal tabhi nikala jata hai jab us ko samjha jaye. So sab se pehlay samajhtay hai k yeh sab chizein hai kia.

 


Temporary FIles


 

Laug Temporary Internet Files aur Temporary Files ko mix ker detay hai ya phir in ko 1 hi chiz kehtay hai, jab k aisa nahi hai. Temporary Files buhat saray softwares create kertay hai aur Temporary Internet Files sirf ap ka browser create kerta hai. Temporary Files ko hum TEMP files bhi kehtay hai. aur jis file ka extension TEMP hoga woh temporary file hoti hai. 

Note: File extensions woh hoti hai jo kissi file k akhir mein likha hota hai for example MYFILE.DOC. yaha per .doc jo hai woh extension hota hai jis ka matlab hai k yeh document hai. Lekin yeh .doc ya .temp extensions hidden hota hai, apko nazer nahi ata normally.

Waisey to yeh Temp files ap k computer mein se automatically hi erase ho jani chaiye jaisey hi ap us software ko close karay jis ne yeh temporary file create ki hai for example ager mein Ms-Word mein kissi document per kaam ker raha ho to 1 temporary file bhi create hogi aur jaisey hi mein Ms-Word close kerounga to woh temporary file bhi computer mein se remove ho jayegi mager baaz dosray software aisa nahi kertay q k woh sahi se banay nahi hotay k woh aisa karay ya phir ap ka computer shutdown sahi se nahi hota ya crash ho jata hai chaltay chaltay ya hang honay ki wajah se bhi yeh temporary files ap k computer mein reh jati hai aur ahista ahista computer mein space lena shuro ker deti hai aur computer mein problems bhi create kerna shuro ker deti hai.


Last Words

Next post mein batoaunga k Temporary Internet Files kia hoti hai, Kis tarah se create hoti hai, Cookies and Cache Files kia hai and Then hum is k soluton per baat kareingay… so stay in touch till then 

Apnay Reviews aur Comments dena mat bholyega please. Mujhe reply ker k zaroor batayega k ap ko yeh sab samajh mein bhi aya k nahi.

Waiting for your replies. Till then take care.. ALLAH hafiz




Contact me: Google Talk/omgureka@gmail.com

Please consider the environment before printing this e-mail!



No comments:

Post a Comment