Search This Blog

Wednesday, 11 April 2012

Re: [Yaadein_Meri] GUNHAA

 

fully agreed !!


From: Musarat Jehan <musarat_jehan@hotmail.com>
To: "yaadein_meri @yahoogroups.com" <yaadein_meri@yahoogroups.com>
Cc: naveedahm44@yahoo.com
Sent: Wednesday, April 11, 2012 11:02 AM
Subject: RE: [Yaadein_Meri] GUNHAA

 
BADNAZREE , KHATMA KUFAR PER HONA , BURAY LOG ACHAY BAN GAYE OR ACHAY BURAY BAN GAYE (MUST READ , THINK AND FORWARD TO OTHER)
AGAR AP ALLAH SAY MOHABBAT KERTAY HAY OR ALLAH KAY LIYAY AP KAY PASS THORA SA BHEE TIME HAY TO ZAROOR PERHIYAY GA


 بھائی نوید السلام علیکم و رحمتہ اللہ وبراکتہ۔۔آپ کی تحریر میں اصل بات یہ ہے جسکو میں نے سرخ کردیا ہے۔ کیونکہ اگر کوئی کفر پر مرے اور اسکے کھاتے میں وہ تمام گناہ بھی ہون جنکا ذکر جناب نے فرمایا ہے تو وہ گناہ کرنا یا نہ کرنا برابر ہے کیونکہ کافر کو اسکے صرف ایک ہی گنا یعنی کفر کی سزا ملیگی باقی تمام گناہوں کی سزا اُس بڑی سزا میں ضم ہو جائینگی۔۔۔ کیا یہ غلط ہے۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔??????
اور اگر کوئی گناہ گار ہے چاہے اُسنے بہت سارے گناہ بھی کیئے ہوں لیکن ہو مواحد تو اس بات کا یقین رکھیئے کہ وہ ضرور بہ ضرور بخش دیا جائے گا چاہے اللہ تعالیٰ اپنی مشیعت کے تحت اسکو بقدر گناہ سزا دیکر بخش دے (مواحد گناہ گار کو جب جہنم میں جلایا جائے گا تو اُسکو کوئلہ بنا دیا جائے گیا پھر اسکو نہر میں ڈال کر زندہ کیا جائے گا اور جنت میں داخل کر دیا جائے گا اس کا وہاں نام ہوگا "جہنمی" ) یا چاہے تو بغیر سزا کے اسکی توحید کے صدقے میں اسکو بخش دے، اس معنی کی کئی احادیث کُتب احادیث میں موجود ہیں۔
میری اپ سے گزارش ہے کہ جب تک شرک اور بدعت باقی ہیں کسی گناہ سے روکنا بے معنی بات لگتی ہے اس لئے صرف اور صرف توحید کی تبلیغ ہی اصل ہے، کیونیہ "توحید سب سے پہلے ائے داعیان اسلام " شکریہ


To: Yaadein_Meri@yahoogroups.com
CC: naveedahm44@yahoo.com
From: coolraz4u@yahoo.com
Date: Tue, 10 Apr 2012 05:34:13 -0700
Subject: Re: [Yaadein_Meri] GUNHAA

 
BISMILLAH HIR RAHMAN NIR RAHIM
 
Assalam u alaikum Wa Rehmatullahi Wa Barakatuhu
 
Naveed Bhai, ALLAH SWT aap ko behad ajar de aur aap ki aur hum sab ki JAYAZ khwahishaat ki takmeel kare... Aameen...
 
Jis tarha aap ne bold alfaaz may likha hai ki aaj kal ke nojawan jo har buri aadat par fakr karte hai us par hum poora poora ittefaq karte hai..... Aap ne bilkul theek likha hai.... aaj ke daur (period) ki generation par ALLAH SWT rehem kare.... TV, INTERNET, MOBILE PHONES, FACEBOOK & ALL SOCIAL NETWORKING SITES yeh sab cheezon ne musalmaan ladko aur ladkiyon ki sharm, haya, imaan, izzat ko tabah kar diya hai....
 
Jis tarha ALLAH SWT ne Quran may farmaya ki logo ko unke gunaah itne haseen kar ke dikhaya jayega  ki woh gunaah ko gunaah hi nahi samjhenge (Unfortunately, I dont have the reference for this right now, but will provide you the reference very shortly, INSHALLAH). Aaj nudity itni commin ho gayi hai ki its a part of people's lifestyle. Log is nangepan ko bura nahi samajh rahe.... logon ki ghairat marr gayi hai.... jis tarha log aurton aur ladkiyon ko gandi nazar se dekhte hain uno ke yeh zahen may rakhna chahiye ki dusre log bhi unki maa aur bahen ko gandi nazar se dekhte hain..... agar hum logon may zari bhi sharm/haya/ghayrat hoti toh na hum gandi nazar se kisi ko dekhte aur na hi yeh bardasht karte ki koi gandi nazron se hamari maa aur bahen ko dekhe.....
 
Aaj har gunaah ka kaam itna asaan ho gaya ki insaan ko deen par qayam rehna bahot mushkil ho gaya hai.... 
 
hum apne atraaf nazar dauda kar dekhte hain to har buri cheez bahot bahot aasaani se dastiyaab hai.... cigrette, sharaab, aurat, juwa.... you name it, you get it.
 
Yeh sab hum jaante hai ki hamare aas pass itni burai hai... lekin iss ki islaah ke liye hum kya kar rahe hai??? 
 
Hum ko chahiye ki sab se pehle 5 waqt ki namaz qayam karein.... aur sab se asaan tareeka hai ki koshish kare har waqt subah uthne se lekar raat sone tak wazu se rahe.... taki jab bhi namaz ka waqt ho, shaitaan humein susti may na daal de....
 
Jab hum khud namaz padhenge to in buraayion se ALLAH SWT hamari hifazat karenge.... aur jab hum khud har namaz pabandi se masjid may padhenge to dusro ko bhi namaz ki daawat de sakenge..... agar hum khud namaz nahi padhte to hum ko koi haq nahi kisi dusre se bhalayi ki umeed rakhein..... 
 
Maine apne pichle email may likha tha ki:
 
Brother, the trend has changed now. People want meterialistic things. People love to see glittering things rather than knowing its genuine value. 
 
If someone is residing in USA/UK/AUSTRALIA/CANADA/IRELAND he/she is in such a nice country/place.... it doesnt matter if he work on a gas station.... or in a bar... or in a super market where even beer is sold... or in a restaurant where alchohol is served.... or he/she is just a cab driver.... ITS OK... he/she is in USA... do you know what does it mean to be in USA/UK/AUSTRALIA....?? People just know that he/she is in western country thats fair enough.... we dont care what they do?? how do they earn money.... what they eat/drink.... with whom they hang out....??
 
Whereas how can anyone live in a country like Saudi Arabia where women is respected.... where she wears strict burqa/abaya when she step out of her home.... how can anyone live without looking at BEAUTIFUL people of this world.... moreover... if i am on a white collar job in western country... I can give tax of 35-40% of my salary.... and that tax can be used to provide aide to Israel, to kill my brothers/sisters in Palestine, Iraq, Afghanistan, Syria, Lebanon... etc etc... Thats OK... I am not a part of this war..... I am just living in USA....
 
Today's comman muslim thinks like this...
If any one offer Salah for 5 times a day (Today's common muslim irrespective of sex thinks "so whats the big deal if you offer namaz 5 times a day??..... you are not doing any favor to me.... you are doing it for yourself....etc etc")
 
If any one reading Quran every day (Today's common muslim irrespective of sex thinks "what a wastage of time.... you dont understand what you are reading so whats the benefit of reading it like a lame person...?? He/She will NEVER EVER think to read the correct translation OR to find out what does it actually means.....)
 
People dont have time to do all this stuff brother.... People are very much occupied in day to day activities like... Studies, school/college... work... household works (like bringing daily needed stuff, paying bills....going to hospitals, courts if required... etc etc... so we are sooo much tired now that we have right to watch TV atleast for 2 hours.... Tell me... how can I leave a series/serial which I am watching since years.... How can I leave BIG BOSS... How can I leave REALITY SHOWS/DANCE SHOWS.... its ok if I watch HALF NAKED PEOPLE DANCING AND DOING VULGAR STUFF OF TV.... ITS A PART OF BODY...  DONT YOU HAVE IT??? I DONT FEEL SHAME TO WATCH IT WITH MY MOTHER/SISTER/FATHER/BROTHER.... )
 
FACEBOOK cannot be ignored at any cost.... doesnt matter if there are pages like DRAW MOHAMMED... BURN QURAN..... ALLAH is ****.... RASOOL IS ****** ...... so what if these pages exist?? Being a muslim.... I will not visit these pages..... I will be in contact with my CLOSE friends only (He or SHE) and family member only.... so what if anyone see our pictures on FB...?? So what if any one see our family pictures in FB...?? thats ok.... I dont care if someone see my picture or my sister's pic on FB and fantasise of anything.... BUT I CANNOT LEAVE FACEBOOK @ ANY COST )
 
If a woman/girl waering burqa/viel (Today's common muslim irrespective of sex thinks ARE YOU NUTSSSS??? Why you want to make fun of yourself by wearing burqa.... we are modern muslims.... Burqa is the sign of people of olden days.... and more over... wearing burqa is too difficult for me.... I cant manage the heat...I cant manage my clothes in burqa.... what will people think if i wear burqa..... etc etc...)
 
Anyways... this is endless story brother.... please remember all our muslim brothers & sisters in your supplications.....
 
MAY ALLAH SWT BLESS EVRY MUSLIM IN THIS WORLD TO BE ON THE RIGHT PATH (SIRAT AL MUSTAQEEM) AS GUIDED BYU OUR BELOVED PROPHET MOHAMMED (SALLAL LAHU ALAIHI WA SALLAM) AND THE WAY QURAN GUIDED US.....AAMEEN.....
 
MAY ALLAH SWT BLESS EVRY MUSLIM IN THIS WORLD TO READ/UNDERSTAND/ACT ACCORDING TO QURAN AND SUNNAH..... AAMEEN YA RABBAL ALAMEEN....
 
(I HAVE ADDED RAMEEZ & RUBINA MAM JUST TO DISTRIBUTE THIS EMAIL IF THEY FIND THE CONTENTS CORRECT.... I HAVE NO INTENTION TO COMMENT ANYONE PERSONALLY..... PLZ DONT TAKE ANYTHING PERSONAL AS I DONT KNOW ANYONE OF YOU IN PERSON....)
 
JAZAK ALLAH KHAIR....
 

From: Naveed Ahmed <naveedahm44@yahoo.com>
To: Yaadein <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>
Sent: Tuesday, April 10, 2012 10:45 AM
Subject: [Yaadein_Meri] GUNHAA

 
BADNAZREE , KHATMA KUFAR PER HONA , BURAY LOG ACHAY BAN GAYE OR ACHAY BURAY BAN GAYE (MUST READ , THINK AND FORWARD TO OTHER)
AGAR AP ALLAH SAY MOHABBAT KERTAY HAY OR ALLAH KAY LIYAY AP KAY PASS THORA SA BHEE TIME HAY TO  ZAROOR PERHIYAY GA
Aj kal kay nojawan badnazree ko bura samajhtay he nahee , films dekhna , ganay sun na , fahashi uryani walay ganay dekhna , filmain dekhna , lerkiyo ko dekhna ko bura nahee samajhtay , aj kal ki lerkiya lerko ko dekhnay , lerko say free honay , perda na karnay ko bura nahee samajhtee , chotay chotay kapray or bohat he bareek kapray pehn nay or bohat hi skin fitting kapray pehn nay ko bura nahee samajhtee , aj kal ka nojawan galiyan baknay , dosto may beth ker lerkiyo kay liyay gandi soch or gandi batain kernay ko , lerkiyo ko gandi nazar say dekhnay ko bura nahee samajhtay hay balkay apnay dosto may jo sab say zada gandi batay kerta hay , or ja sab say zada galiyan dayta hay or fehash batay kerta hay , or apnay saray ganday kam batata hay fakhar kay sath kay rat may nay yay kiya , rat may nay woh wali film dekhi utna he izzat dar , sharp mind , taiz , samjha jata hay , akhir kiun ? kabhee socha hay hay kay aisa kiun hay kay aj is modern dor may jo sab say burahay woh sab say zada izzat dar hota ja raha hay or ja seedha hay us kay sab say zada mazak uraya jata hay a, aisa kiun hay ?
yay sab islam say doori , deen e islam say doorie , or deen per na chalnay ki waja say hay , Allah walo kay sath na bethnay ki waja say , or agar koi un ko deen kay baray may batata hay or achai ki tararf bulata hay to us ko mazak banaker us ki bezati kerkay us ko bhaga diya jata hay . jab islam nay kehdiya hay gay nigah ko neechi rakho or apni sharam gaho ki hifazat kero to hum is bat ko kiun nahee samajhtay hay or jo sach bat hay us ko akhir hum kiun accpet nahee kertay hay , kay agar hum nay is ko accpet kerliya to her woh gunah ka kam hum jo ker rahay hay woh hamay chornay perh jaingay . islam nay jab orto , lerkiyo ko perday ka hukum diya hay , kay jab woh gher say bahar niklay to perda karay , perda her us shaks say kerna hay jo na mehram ho , yahan tak kay ap kay chaha zad , mamu zad male cousins hay un say bhe perda kerna hay , or aj kal kiya ho raha hay woh hum sab kay samnay hay , aj kal jo rape hotay hay , ya harrassment hote hay ya is tarah kay jitnay bhe cases hotay hay woh sab isi be perdage ka natija hay , jab orat ya lerki nangnay sir or bareek skin fitting or gair islami libas pehn kar bahar  niklay ge to shaitan kisi ko bhe behka sakta hay , in hi orto ki be perdage ki waja say bohat saray logo ka iman kharab ho jata hay or woh galat kam ki taraf un ka dheehan lag jata hay , orto lerkiyo ko chaiyay kay awal to gher say bahar niklay nay hamara islam bhe yahee kehta hay kay bilawaja ghar say bahar na nikla jaye or agar bahar nikalna itna he zaroori ho to perday kijyay , apnay satar ko sahee tarah say chupa ker , sharai perda kar kay bahar niklay takay logo un ko ache nazar say dekhay  or gandi nazar na dekhain or doosro ka iman kharab na ho , or agar koi mard ya orat is bat ko nahee mantee kay perda to ankh ka hona chaiyay , bas insan kay dil may sharam ho ne chaiyay bla bla to is ka matlab yay hay kay Quran majeed or islam nay jo kuch bhe bataya hay woh sab fazool hay or ap sab log hi alim fazil hay or Allah say zada behter jantay hay .
isi badnazree ya orta ki beperdage ka aik waqiya batana chaoonga kay Damishq may aik shaks tha jo aik masjid ka mozan (Azan dayna wala) tha woh shaks 40 sal tak mozan raha yahni 40 sal tak us nay azan de or logo ko namaz ki taraf bulaya us zamanay may loud speaker nahee huwa kertay thay , azan daynay kay liyay gumbad per charah jaya kerta tha or wahan per jaker azan dee jate thee , aik dafa mozan azan daynay kay liyay gumbad per chara , gumbad kay samnay aik christan ka ghar tha or us gher ki khirki may aik lerki bethe huwee thee , jo christan the or bohat he zada khubsoorat thee , jab mozan nay us ko dekha to woh us kay husan may griftar ho gaya , azan dayna waheen chori or neechay utra or us kay ghar per ja ker dastak de kay may tum say shadi kerna chata hoon or may tumharay husan ka deewana ho gaya hoon , us lerki nay kaha kay may christan hoon or tum musalman so huamarai shadi ho he nahee saktee , agar tumhay mujh say shadi kerni hay to tumhay christan hona perhay ga, mozan kiun kay us ki husan may pagal ho gaya tha foren he us nay christan ka mzhab qabool kerliya or Allah or Rasool ko naazubillah bura keh ker deen islam chordiya or un ka mazhab qabool kerliya , mozan nay kaha ab to may christan hogaya hoon ab mujhay say shadi kerlo , to lerki kehte hay abhee abba gher per nahee hay , sham ko aingay to un say mera rsihta mangna , or kaha kay agar mujhay say shadi kerni hay to sharab bhe tumhay peeni hogee , mozan itna pagal ho gaya tha us lerki kay husan may to us nay foren sharab bhe peeli , kiun kay us nay pehli dafa sharab pee thee is waja say sharab nay bohat zada asar kiya , us nay zid ki kay mujh say shadi kerlo , likin lerki nay kaha abba say bat kerna sham ko or us ko dhakay day ker gher say bahar nikal ker derwaza band kerliya , kiun kay mozan sharab kay nashay may mast tha gher say bahar nikaltay sath he kisi cheez say takraya or sir kay bal neechay gira or waheen mar gaya or us ki lash 3 din tak kachra kundi may sarti rahee or usay uthanay tak koi nahee aya (Agar is waqiyay may kami ya ziyadti hogaye ho to Allah mujhay maaf farmaye).
yay waqiya batanay ka maqsad yahee tha kay aik mozan jo 40 sal say azan day raha tha matlab 40 sal say imam kay peechay namaz per raha tha or Allah ko sajday ker raha tha or logo ko naiki ki taraf bula raha tha yani namazi prezgar tha , balkay damishq kay log us ko bohat izzat ki nigah say dekhtay thay or us ki bohat zada izzat kertay thay likin is badnazree ki waja say us ka khatma iman kay bajaye kufar may huwa or jahanum raseed huwa . 
aj kal kay dor may hum nay her cheez ko mazaq banaya huwa hay , her burai ko acha samajha ja raha hay or her achai ko buraa , jo achai ki tarfa bulata hay us ka mazaq uraya jata hay or jo burai ki taraf bulata hay us ki izzat ki jate hay , Allah hamay hidaya naseeb farmaye .
kiun lerkiyo ko dekhtay ho , kiun girls school , college or unioversity kay samnay kharay hyotay ho , kiun lerkiyo ko buri nazar say dekhtay ho kiya tumharay ghar may maa behnain nahee hay kiya , kiun lerkiyo ko us kay ghar tak chor ker atay ho , kiun her lerki ko dekh ker tumharay dil may haram kam kernay ki cha paida hoti hay , kiun un say dosti kernay or un say bat kernay un ki tawaja hasil kernay ki koshish kertay ho , kiun deen say door hotay ja rahay ho , kiun deen ko nahee seekhtay ho , kiun Allah walo kay sath nahee beth thay ho , kiun badnazree kertay ho , kiun fahashi uryani or chota chotay kapray or nangi orto ko dekhtay ho .
Masturbution , hand practice haram hay , aj ki nojawan nasal hand practice or masterbution kerti hay or yay sab is badnazree , gandi gandi cheezain dekhana , gandi gandi film dekhna , chotay chotay kapray may nachti huwe lerkiyo ko dekhna , nangi orto ko dekhna , ganday ganday ganay sun na yay sab ini hi ki waja say yay insan ko burai ki taraf or buray kam ki taraf dawat dayte hay , isnan ki nafsani khuwasihsat ko ubharte hay or jab insan frustrated ho jata hay to woh hand practice or masterbution ker kay apnay ap ko sukoon dayta hay , yay haram hay , bohat bura kam hay , qayamat kay din her us shaks kay dono hath may (Hamal) jo orto ko hota hay bachay paida kertay waqt , woh hoga ,  baray baray dari walay bhe is cheez sya na bach sakay , jis ko aik dafa is ki lat lag gaye woh barbad ho gaya , us kay isi museebat cheez say bachna na mumkin hogaya , abhee bhe waqt hay bacho is burai say , choro gandi or fahashi uryani walia cheezay dekhna , werna apni deen o duniya dono barbad ker betho gay , na kero hand practice , na kero masterbutiom , chordo , Allah say gir gira kar apni is gunah ki maafi mango or Allah tala say dua mango kay hum kamzaor hay , hamay hamara nafs is burai ki taraf mail kerta , hum may himat  nahee hay is ko chornay ki , Ya Allah to mujhay is burai or behayai kay kam say nijat dila day , meray gunah maaf kerday , meri nazar ki hifazat farma , mujhay meray nafs kay hawalay na kerwa , mujhay is haram kam ko chornay ki hamesha hamesha kay liyay taugfeeq ata farama,agar mera is taraf ghayal ho kay may yay haram kam keroon to apni rehmat say apnay fazal say meri hifazat farma or mujhay may itni taqat day kay may apnay ap ko yay haranm kam kernay say rok sakoon .
is haram kam say bachanay kay aik to rasta yay hay kay jald az jald insan shadi kerlay or doosra yay hay kay insan kam say kam khana kahye , insan jab pait bhar ker khana kaha layta hay to us ko masti cherti hay or woh buray kam ki taraf jata hay , aisay shaks ko zada say zada rozay rakhnay chaiyay , kiun kay yay sab burai kay kam usi waqt hotay hay jab insan ya to tanhai may ho ya us ka pait bhara huwa hay , is burai say bachnay ka aik tariqa yay hay kay apna tv or apna computer or apna mobile aisi jaga per rakhay jahan per tamam ghar walay beth thay ho , jo sab kay samnay ho takay buri cheez dekhnay ka tumhay moqa hi na milay , jab buri cheez na dekho gay to khud ba khud buray kam say bachtay chalay jao gay.
yay nafs bohat hi kutti cheez hay is ko kutta he bana ker rakho , yay jab kisi burai ka taqaza karay to is ki bat na mano , berdasht kerlo , himat kero , is kay samnay ghutnay na taiko , himat kay sath is ka muqabla kero or is ko harado , kuch din is ko harao gay to yay nafs khud ba khud kamzor hota chalay jaye or agar is ki bat mano gay to yay tum per hawi hota chalay jaye ga , is nafs ki na suno , insan ko behkanay wali do cheezain hay , aik shaitan , or doosri nafs , shaitan ka business bohat bara hay usay poori duniya kay logo ko behkana hay woh temporary tor per insna per hawi hota hay or agar insan us ko ignore kerday to shaitan ka hamla zaya ho jata hay likin insan ka nafs aisa hay kay jo her waqt insan kay sath laga huwa hay , us ko harana asan kam nahee hay , us say jo lar gaya woh fatah yab ho gaya or jis nay nafs kay samnay ghutnay taikdiyay woh har gaya , apni nazro ki hifazat kero or apnay sharam gaho ki hifazat kero , mard ki sharam gha naaf kay neechay say lay ker ghutnay tak hay , us ki hifazat kero or orto ki sharam gha us kay seenay per ubhri huwee cheez or naaf say neechay ka hisa ( koi kami ya ziyadti hogaye ho to Allah maaf farmaye) mard or orat dono ko apni nazar or apna sharam gaho ki hifazat kerni chaiyay , jis nay apnay nazar or sharam gha ki hifazat ki us ka deen mehfooz ho gaya , badnazree ko hum aihmiyat nahee daytay , likin yay nazar he hay jis ki waja say saray gunah hotay hay . 
Allah hum sab ko buari say bachnay ki taufeeq ata farmaye (Ameen)

KEEP FORWARDING THIS EMAIL 





__._,_.___
Recent Activity:
.

__,_._,___

No comments:

Post a Comment