Bismillahir Rahmanir Raheem
Assalam Alaikum Wa Rahmath Ullahi Wa Barkatahu
Maa KI DUA
Hazrat Moosa A.S Ne Ek Dafa Allah Talah Se Pucha Ke Jannat Me Mere Sath Koun Hoga ??? Irshaad Hua Falaaa Khassab
Aap Kuch Hairan Hue Aur Uss Khassab Ki Talaash Me Chal Pade
Wahan Dekha Toh Ek Khassab Apni Dukaan Me Gosht Bechne Me Masroof Tha Apna Karobaar Khatam Karke Ussne Gosht Ka Ek Tukda Kapde Me Lapeta Aur Ghar Ki Taraf Rawanna Hogaya
Hazrat Moosa A.S Ne Uss Qasai Ke Ghar Ke Baare Me Mazeed Kuch Janne Keliye Bataur Mehmaan Ghar Chalne Ki Ijazat Chahi,
Ghar Pohench Kar Qasai Ne Gosht Pakaya Phir Roti Paka Kar Usske Tukde Shorbe Me Narm Kiye Aur Doosre Kamre Me Chala Gaya
Jahan Ek Nihayat Hi Kamzoor Budhiya Palang Par Leiti Hui Thi
Khassab Ne Bamushkil Usko Sahara Dekar Uthya Aur Ek Ek Luqma Uske Munh Me Deta Raha, jab Ussne Khana Tamaam Kiya Toh Budhiya Ka Munh Saaf Kiya, Budhiya Ne Khassab Ke Kaan Me kuch Kaha jise Sunkar Qasai Muskuraya Aur Budhiya Ko Wapas Lita Kar Bahar Aagaya
Hazrat Moosa A.S Jo Ye Sab Kuch Dekh Rahe The Aapne Khassab Se Pucha Ki Ye Aurat Koun Hai Aur Ussne Tere Kaan Me Kya Kaha Jis Se Tu Muskura Diya ?
Khassab Bola Aaye Ajnabi….Yeh Aurat Meri Maa Hai
Ghar Par Aane Ke Baad Mein Sabse Pehle Iske Kaam Karta Hoon
Ye Roz Khush Hokar Mujhe DUA Deti Hai Ke
" Allah Tujhe Jannat Me Hazrat Moosa A.S Ke Sath Rakhe
Jis Par Mein Muskura Deta Hoon Ke Bhalaa Mein Kahan
Aur Moosa Kaleemullah Kahan……………….
Our Lord !
surely we have heard a preacher calling to the faith,
saying: Believe in your Lord, so we did believe;
Our Lord !
forgive us therefore our faults,
and cover our evil deeds and make us die with the righteous.
Our Lord !
grant us good in this world and good in the hereafter,
and save us from the chastisement of the fire.
Our Lord !
Accept From Us ;
Surely Thou Art The Hearing, The Knowing
====================
aAPKI DUA KI TALIB
Mrs Rubina Yasmeen
=====================
Search This Blog
Sunday, 18 March 2012
Re: [Yaadein_Meri] " " Maa Ki Dua " "
Jazak allah Khair.
On Sun, Mar 18, 2012 at 5:56 PM, Rubina Yasmeen <rubina_yas@yahoo.com> wrote:
__._,_.___
.
__,_._,___
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment