بسم اللہ الرحمٰن الرحیم السلامُ علیکم و رحمۃ اللہ و برکاتہ •» BE-NAMAZI «• ''''''''''''''' ''''''''''''' HIQAYAT:- ''''''''''''''' '' Ek Shaqs Jungal Me Guzar Raha Tha Ki Uske Sath Shaitaan Ho Liya ! Uss Shaqs Ne Na Toh Namaz-A-Fajr Padhi, Naa Zohar, Naa Asr, Naa Maghrib Aur Naa Isha Ki Namaz Padhi ! Raat Ko Jab Sone Ka Waqt Hua Toh Shaitaan Ne Usse Kaha Ki, Mein Tumse Dur Rehna Chahta Hoon ! Usne Kaha Kyun ? To Shaitaan Bola, Isliye Ki Meine Sirf Ek Sajda Na Kiya Tha ! Wo Bhi Aadam AS Ko Aur Tune Toh Din-Bhar Me Kayi Sajde Khuda Hi Ko Na Kiye Hain ! Toh Mujhe Dar Lagta Hain Ki Jab Ek Sajda Ke Naa Karne Se Mujh per Laanat Ka Azaab Bhej Diya Gaya Hai Toh Tujh Par Itne Sajde Chordne Se Khuda Ka Kya Dardnaak Azaab Naazil Ho? Jisme Main Bhi Na Maara Jaoun? (Durratun-Nasih een, Pg-289) ********************************* SABAQ :- Namaz Ka Chordna Bahut Bada Gunah Hain ! Be-Namazi Ko Shaitaan Apne Aapse Bhi Zyada Bura Samajhta Hain !
YA ALLAH Aaj Se Hum Touba Karte Hain Aaj Se Pehle Jitni Bhi Namazein Qazaa Huin Yaa Padhi Hi Nahi YA ALLAH Aaj Se Hum Koi Namaz Qazaa Nahi Karenge MOuLA Ek Baar Touba Ka Mouqa Aata Farma Aur Humari Touba Ko Qabool Farma Ameeen Ya Rabbul Alameen Tamaam Bhai Aur Bahenoun Se Guzarish Hai Meri Ki Woh Bhi Apne Aap Se Ahed, Wadaa Karlein ki Aaj Se Hum Koi Bhi Namaaz Ko Qazaa Hone Nahi Denge… Insha Allah ***************************************** Aapki Dua Ki Talib Mrs Rubina Yasmeen *************************************** Jazak Allah kHair
|
No comments:
Post a Comment