Search This Blog

Monday 3 June 2013

[Yaadein_Meri] Mafhum-e-Hadith: Surah Fatiha ke zariye ek maghlub-ul-hawas (pagal) shaksh ka Elaj

 

Bismillah Walhamdulillah Was Salaatu Was Salaam 'ala Rasulillah.

Assalamualaikum Wa RahmatullahiWa Barakatuhu

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim 

Mafhum-e-Hadith: Surah Fatiha ke zariye ek maghlub-ul-hawas (pagal) shaksh ka Elaj

Kharja bin Al salt apney chacha se rivayat kartey hain ki wo ek Qaum ke pass se guzrey us qaum ke log unkey pass aaye aur farmaya ki tum beshaq us aadmee ( yani Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam) ke pass se khair lekar aaye ho so hamarey is aadmee ke liye Taweez kar do phir wo ek maghlub-ul-hawas (pagal) shaksh ko jakad kar laaye to unhoney surah fatiha ke zariye un par dam kiya, 3 din tak subah aur sham jab bhi surah fatiha khatam kartey to munh mein luaab ( thook) jama karkey us aadmi par wo luaab lagatey , wo aisa ho gaya ki bandishon se chutkara pa liya, logon ne (iski Ewaz mein) unhey kuch (khaney ki) cheez di , wo sahabi Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ke pass hazir huye aur sara waqiya bata diya, Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne kaha ki isey kha le , meri Umar ki kasam koi to baatil ruqya karkey khata hai (to wo halak ho gaya) beshaq tuney to sachcha kiya hai 
Sunan Abu Dawud, Vol3, #26 (Sahih)
-----------------------------------
Kharijah bin al-Salt quoted his paternal uncle as saying that he passed by a clan (of the Arab) who came to him and said: : You have brought what is good from this man( from Propehet Peace be upon him). Then they brought a lunatic in chains. He recited Surat al-Fatihah over him three days, morning and evening. When he finished, he collected his saliva and then spat it out, (he felt relief) as if he were set free from a bond. They gave him something (as wages). He then came to the Prophet (peace_be_upon_him) and mentioned it to him. The Apostle of Allah (peace_be_upon_him) said: Accept it, for by my life, some accept it for a worthless charm, but you have done so far a genuine one. 
Sunan Abu Dawud, Book 23 , 3413 (Sahih)


__._,_.___
Reply via web post Reply to sender Reply to group Start a New Topic Messages in this topic (1)
Recent Activity:
.

__,_._,___

No comments:

Post a Comment