Search This Blog

Saturday 14 July 2012

Re: [Yaadein_Meri] Hadith : Dono qabron ke murdon par azab ho raha hai……..

 

asa,
meray bhayo zara ghour karo.
kia kisi banday ke ye maloom hay wo khud jannati hay ya dozkhi?
phir woh kisi aur ke baray mei kaise faisla karsakta hay woh wali hay ya kuch aur or uski ibadat qabool hui hain ya nahi, jannati hay ya??
therefore, her dunya se janay wala qabar mein kis haal mein hay kisi ko nahi maloom.
jo hadees neechay quote ki gae hay to samjhnay ke baat hay ke wo ek
rasool rehmatul lil alameen ka act tha, jo ke unhon pata chala ke qabar mein azab horaha hay, hum kahan is qabil ke ye janain or uske azab
se usko bachanay ke leay dua ka alawah kuch bhi karsakain.
teesri ehem baat yeh hai ke is hadees ke nateeja mein to azab door karne ke khatir tehnian lagai gai theen, ab agar mazaron ke qabbor per
bhi azaab door karne ka khial ho to chalo manlia, magar ek taraf to ap unko pak saaf jannati, wali aulia whatever kia kia khitab dete ho doosri
taraf unke uper azab door karne ke phoolon ke chadar bhi chrhatay ho,
phir sabit kia hua ke unpe azab hay ya wo jannti hain. socho.
wallaho wali ul taufiq.

 
Sharifuddin Kazi,
Jeddah, Saudi Arabia.
Mobile  0564137039
other emails:


From: Mian Faiz Chishti <mianfaizmuhammad_chishti@hotmail.com>
To: Yaadein_Meri@yahoogroups.com
Sent: Saturday, July 14, 2012 6:40 PM
Subject: Re: [Yaadein_Meri] Hadith : Dono qabron ke murdon par azab ho raha hai……..

 
Asslamu Alaikum,
 
Neechay Hadees mubarka hazer he jismain Hazoor Pak Sallallaho Alaihi Waslam ne Qaber walaon ke azab ke mutaliq bata rahain hain. Ab ap bataien azazb zinda ko hota he ya murda ko?
Itni se bat ki bhi tum logon ko samjh nahin ham to Quran Majeed aor Ahadees mubarka paish ker ker thak gaey laikin tumhara pernala wahin ka wahin he.
 
Sent: Saturday, July 14, 2012 2:39 PM
To: undisclosed recipients:
Subject: [Yaadein_Meri] Hadith : Dono qabron ke murdon par azab ho raha hai……..
 
 

 
Bismillah-Hirrahman-Nirrahim

Hadith : Dono qabron ke murdon par azab ho raha hai……..

Ibn Abbas Radi Allahu Anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam do Qabron ke pass se guzrey aur farmaya ki in dono qabron ke murdon par azab ho raha hai aur ye kisi badey gunaah ki wajah se azab mein giraftar nahi hain bulki ismein se ek peshaab ke cheenton se nahi bachta tha aur ye (dus...ra) chugalkhor (backbiter) tha phir aapney ek hari shaakh mangwayee aur usey Do tukdon mein faad kar dono qabron par laga di iskey bad farmaya ki jab tak ye shaakhein sukh na jayegi us waqt tak shayad in dono ka azab halka rahey.
Sahih Bukhari, 6052

-------------------------------------------------------------------------
English Translation:
Narrated Ibn 'Abbas Radi Allahu Anhuma: Allah's Apostle Sallallahu Alaihi wasallam passed by two graves and said, "Both of them (persons in the grave) are being tortured, and they are not being tortured for a major sin. This one used not to save himself from being soiled with his urine, and the other used to go about with calumnies ( backbiting). The Prophet then asked for a green leaf of a date-palm tree, split it into two pieces and planted one on each grave and said, "It is hoped that their punishment may be abated till those two pieces of the leaf get dried.
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 78:




__._,_.___
Recent Activity:
.

__,_._,___

No comments:

Post a Comment