Search This Blog

Monday 4 June 2012

Re: [Yaadein_Meri] ALLAH KE BANDOO ZULM KI INTEHA TU YEH HAI KE

 

Dear Naveed;
Assalamoalaikum Warahmat Allah;
Yeh bahs barrai nazik hay, balkeh iss ka taalaq aqeedat aur jazbaat say hay. Aulia Allah ko manana ya na manana her aadmi ka zaati fail hay. Laikin inn bazurg hastion k liay toheen aamez alfaaz  ya unn ko tankeed ka nishana banana hamaray liay behtar nahin hay. khasoosan in halaat main, jab keh pakistan main kitnay firkay ban gaey hain. Sunnee,Wahabi, ahle hadees, shia etc etc.sunnee wahabee ki masjid NAMAZ nahin parhta. wahabee shia ki masjid main namaz nahin parhta. her firka doosaray ko munafik aur kaafir kehta hay. ulama ne in main itnee nafrit phelaa dee hay, keh yeh sab log aik doosaray k dushman ban gay hain. iss silselay main ab tak sankron log mmaray ja chukay hain. kitnay ghar be Aasra ho gay hain. kitni khwateen  beWaha  ho gaeen hain. kitne bachay yateem ho gay hain. in mutaassarah khandaan ka koee kafeel nahin hay. un k ghar main shaam ki roti nahin hay. laikin yeh munafirat ki AAG barhtee hi ja rahi hay. Mukhtasarn yeh keh, Allah k liay aik doosaray k jazbaat ka khial rakhtay hooay, Sirf Sirf wo taaleem aam karain jiss main ikhtilaf na ho. Aapis main ittehad paida karain. jo khandaan iss AAg say mutaasar hooay hain,unn ki zindagi ajeeran hay, kaabil e Raham hay. Allah ham sab ko ittefaaq aur ittehad ataa karay Aameeen. Summa Aameeeen.

From: Naveed Ahmed <naveedahm44@yahoo.com>
To: "Yaadein_Meri@yahoogroups.com" <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>
Sent: Monday, June 4, 2012 1:43 PM
Subject: Re: [Yaadein_Meri] ALLAH KE BANDOO ZULM KI INTEHA TU YEH HAI KE

 
waalikumasalam 
brother akhtar ap ki tanqeed ke qader kerta hoo ke ap ne sahi or achi bat pesh ki or yakeenan yeh sahi bat hai ke ITTIHAD hi main behtri hai ,,
mery qabile sad ehtaram bahi is mail main kisi ki zat ko nishana nhai banay gay , dosri bat is mail main koi fatwa nai hai or deen islam ki pehli buniaad ALLAH ki wahdaniat ka iqraar hai ,,, or ager koi bhi insan deen ko apni zaat kelilay istamaal kerta hai tu wo ziadti kerta, or ager wahadaniat ke bary main logoon ko agaha kerna galat hai tu bahi ham say pehly bhi hamry self saleheen sirk say door rehny ke talkeen kerty thy or aj bhi hamri dawat wohi hai , aaj halat yeh hai ke her kam keliay logon ne buzurgoon ko nominate kia huwa hai halankeh un naik hastioon ne kahbi yeh dars nai dia ho ga jo aj muslim ummha ker rahi hai or akhir main sir is mial main say qareen ke samny wo battain point out ker dijiay ga jo ap ko mehsoos huwa ke yeh galalt hai main apni galati ko paishgi sab readers ke samny tasleem kerta hoon or brother main nahi mufti hoon or nahi main ne kisi ke bary main fatwa dia hai sir shirk say dorr rhny

wallahu aalamu 


From: Mohammad Akhtar <mohammadakhtar52@yahoo.com>
To: "Yaadein_Meri@yahoogroups.com" <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>
Sent: Saturday, June 2, 2012 9:31 PM
Subject: Re: [Yaadein_Meri] ALLAH KE BANDOO ZULM KI INTEHA TU YEH HAI KE

 
Assalamoalaikum warahmat Allah;
 
Islam ki taaleem ko aam karna sadqa jaaria hay. laikin iss main TAFARKA na paida karo. Ikhtalaafaat wali mails say zaatiyat shoroo ho jati hain, aur aisee islamic mails say faayda ki bajoy ulta aap ki tarah her kam ilam aadmee bhe Muftee ban kar FATWAY dainaa shoroo kar daita hay.  Musalmanon ko aapas main jornay ki koshish karo (Naveed sahib). Deen e Islam ka matlab hay ITTEHAD. Allah ham sab ko mil jul kar rahnay ki tofeeq ataa farmaey.Aameen.

From: Naveed Ahmed <naveedahm44@yahoo.com>
To: Yaadein <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>; lubna nayeem <lubna_nayeem2000@yahoo.com>; Sonia Azam <adeenrocks@yahoo.com>; "sadqayyarasolallah@yahoogroups.com" <sadqayyarasolallah@yahoogroups.com>; "to_know_about_islam@yahoogroups.com" <to_know_about_islam@yahoogroups.com>; Mujeeb-ul- Hassan Majji <mujeeb_majji@yahoo.com>; "rabiyajam7@gmail.com" <rabiyajam7@gmail.com>; "dawat-e-haqq@googlegroups.com" <dawat-e-haqq@googlegroups.com>
Sent: Saturday, June 2, 2012 1:19 PM
Subject: [Yaadein_Meri] ALLAH KE BANDOO ZULM KI INTEHA TU YEH HAI KE

 
 






__._,_.___
Recent Activity:
.

__,_._,___

No comments:

Post a Comment