Search This Blog

Saturday 7 January 2012

Re: [Yaadein_Meri] " " Aankhoun Me " "

 

Assalamalaekum,
 
Na Janey Dhondtey Ho Kya Meri Viraan Ankhaon May
Chupa Rakhey Hain Hamne To Kai Toofan Ankhaon May
 
Kahan Wo Shokhiyan Pahle Si! Ab Kuch Bhi Nahi Baqhi
Chaley Aaey Ho Tum Kya Khojney Be-Jaan Ankhaon May
 
Kisi Ka Haath Lekar Haath May Jab Wo Miley Ham Se
To Kaesey Toot Ke Bikhra Tha Mera Maan Ankhaon May
 
Na Samjho Chup Hain Ham To Us Se Koi Shikwah Nahi
Ham Apney Dard Ki Rakhtey Nahi Pahechan Ankhaon May...
 
Please reorganise your below ghazal and repost it - nichey ki lines upar aur upar ki lines nichey huwi hain aur aapka maqhta waley sher ka wazan thoda durust kijiye...
 
Sahi aur achey ki tareef Dost kartey hian, jabke Ghalat aur kharab ki tareef Dushman...
 
Ghazal May Bandish-e-Alfaaz Hi Nahi Kaafi
Jigar Ka Khoon Bhi Kuch Cahiye Asar Ke Liye.
 
 
Khuda Khair Karay - RAMEEZ
Remember, one day you will appear before Allah and answer for your deeds.

From: Rubina Yasmeen <rubina_yas@yahoo.com>
To: Rubina_Yas@yahoo.com
Sent: Saturday, January 7, 2012 3:20 AM
Subject: [Yaadein_Meri] " " Aankhoun Me " "
 

 Aankhoun  Me 

 
 Chupi  Hoti  Hai  Har  Insaan  Ki  Pechan Aankhoun  Me
Kitab-E-Zindagi  Ka  Dhoonde  Unwaan Aankhoun Me ,
 
Peelaya Zaher Aisa Maghribi Tehzeeb Ne Aakar
Sharf  Ho  Jaye Hasil  Dil  Ko  Uski Mezbaani  Ka ,
 
Agar  Aajaye  Chupke  Se  Koi  Mehmaan Aankhoun  Me
Nazar  Bhar  Kar  Jise  Dekhein  Bana  Deti Hai  Deewana ,
 
Naa Jaane Kounsa Jaadoo Hai Unn Anjaan Aankhoun Me
Jise Ahl-E-Suqan  Kehte Hain  Kuch Tazaa Ghazal  Aksar
 
Chupa Rakha Hai Ussne Meer  Ka  Deewan Aankhoun  Me
iLaahi  Apni  Qudrat  Se Tu Beenai  Ataa Karde
 
Nazar Kuch Bhi Nahi Aata Hai Jin Veeran Aankhoun Me
Agar Ruby Tum Aankhoun Me Dil Ki Aankhoun Se Dekho
Nazar Aayegi KHUDA  Ki Shaan Aankhoun Me
 
Thanks & Best Regards
Mrs Rubina Yasmeen  
 
 
 
 
 
 
 
 
 

__._,_.___
Recent Activity:
MARKETPLACE

Stay on top of your group activity without leaving the page you're on - Get the Yahoo! Toolbar now.

.

__,_._,___

No comments:

Post a Comment