Search This Blog

Saturday 5 November 2011

Re: [Yaadein_Meri] Hazrat-e-Shaitaan

 

Great......

--- On Sat, 11/5/11, ساجد احمد شیخ Sajid <amrsajid@gmail.com> wrote:

From: ساجد احمد شیخ Sajid <amrsajid@gmail.com>
Subject: [Yaadein_Meri] Hazrat-e-Shaitaan
To: "ساجد احمد شیخ Sajid" <amrsajid@gmail.com>
Date: Saturday, November 5, 2011, 3:35 PM

 

Hazrat-e-Shaitaan

 

A poem Written  by Mohammed Adnan Qamaruddin

 

Ek Din Mile to Poocha Hazrat-e-Shaitaan se,

Kis Liye Ukta gaye ho Aap Hindustaan se?

Ek Arsa hua Mere Watan aaye nahi,

Zameen Par Meri Naya Fitna Laaye nahi!

 

 

Ye Sunkar Hazrat-e-Shaitaan ke Aansu Nikalgaye,

Aur Wo Ek Mom ki Tarha Rote rote Pighal gaye,

Sar Apna Jhuka kar Mujhse Yun Kehne lage Adnaaan,

Ab Mera Wahan nahi hai Kuch b karne ko bacha Kaam!

 

 

Bhatkaun kisko koi leta nahi wahan Allaah ka naam?

Subah hoti hai Allaah ke Bghair aur Hoti hai waise hi Shaam!

Mera Maqsad Insaan ko Allaah se door karna hai,

Log khud Jab door hon to Mera wahan kya karna hai?

 

 

Jab Katrina Film me karti hai Apna khulkar Singaar!

Mujhko khud chadjaata hai 105 degree ka Bukhaar!

Koi Shahruk par marta hai to koi Salman par,

Kya karun wahan Jab bacha nahi koi Eiman par?

 

 

Auratoun ke pass gaya mai karne Unko Islam se Door,

Unko Parwah kuch nahi kyunke Unke paas hai Ekta Kapoor!

Dekhkar Qur'an ki Haalat aansun Nikalgaye Zaar-o-qataar!

Samajh nahi aaya ke Roun ya Khush Houn Baar baar!

 

 

Aajki Maa Daraati hai bacche ko Batakar Mera naam,

Mai to Kaampa karta hun Sunkar Inke Rabb ka naam!

Darrta hai Koi Mujhse to Koi Apne Bade Peer se,

ye Log to Allaah ko Bhula baithe hain Apne Zameer se!

 

 

Mere Dushman Insan aur ye saari Insaniyat!

Mai wahan par kya karun jab wahan Bhari Haiwaniyat?

Mai Jahannumi hun lekin Mera bhi kuch Muqaam hai,

Log Yahan to Mujhse bhi zyada Bade Nafarmaan hai,

 

 

Kya Bataun Tumko Mera Haal to Behaal hai,

Mujhko Khud Sharm aaye waisi wahan Par Chaal hai,

Na hai Wahan Parwarish na hai Wahan Aulad Sahi,

Math Bulao Mujhe Wahan Mera Wahan Kuch kaam nahi!

 

 

Itne Me Hazrath-e-Shaitan Apne Haath Jod diye,

Aur Kaha Hindustan se Saare Rishte Humne Tod diye,

Hum wahan Thairkar Apne Khaum ka Ghum Ningal gaye!

Rote Rote Hazrat-e-Shaitan bhi Wahan se Nikalgaye!

 

 

...Adnan Qamar

__._,_.___
Recent Activity:
MARKETPLACE

Stay on top of your group activity without leaving the page you're on - Get the Yahoo! Toolbar now.

.

__,_._,___

No comments:

Post a Comment