Search This Blog

Wednesday, 1 May 2013

«*» RUKHSANA«*» `Aaj kii raat`

 
 `Aaj kii raat`
dil hai aa_iinaa-e-hairat se do-chaar aaj kii raat
Gam-e-dauraan mein hai aks-e-Gam-e-yaar aaj kii raat
 
aatish-e-gul ko daaman se havaa detii hai
diidanii hai ravish-e-mauj-e-bahaar aaj kii raat
 
aaj kii raat kaa mahamaan hai malbuus-e-hariir
is chaman-zaar mein ugate hain sharar aaj kii raat
[
main ne farahad kii aaGosh mein shiriin dekhii
main ne paravez ko dekhaa sar-e-daar aaj kii raat
 
jo chaman sarf-e-Khizaan hain vo bulaate hain mujhe
mujhe fursat nahiin ai jaan-e-bahaar aaj kii raat
 
dar-e-yazadaan pe bhii jhukatii nahiin is vaqt jabiin
mujh se aankhen na la.Daa ??? aaj kii raat
 
mashaal-e-sher kaa laayaa huun cha.Dhaavaa AAJ
jagamagaaten hain shahiidon ke mazaar aaj kii raat

 
 
 
`
 
Rose!

 

No comments:

Post a Comment