Search This Blog

Saturday, 16 March 2013

[Yaadein_Meri] Hadith: Anqareeb aisa waqt aayega jab tumharey lashkar juda juda ho jayengey ek lashkar sham mein hoga to ek yaman mein to ek Iraq mein

 

Bismillah Walhamdulillah Was Salaatu Was Salaam 'ala Rasulillah.

Assalamualaikum Wa RahmatullahiWa Barakatuhu

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim 

Hadith: Anqareeb aisa waqt aayega jab tumharey lashkar juda juda ho jayengey ek lashkar sham mein hoga to ek yaman mein to ek Iraq mein

Ibn Hawalah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya anqareeb aisa waqt aayega jab tumharey lashkar juda juda ho jayengey ek lashkar sham mein hoga to ek yaman mein to ek Iraq mein , Ibn hawala ne kaha ki mainey arz kiya Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam agar main us waqt ko paa lu to kis lashkar mein jauu , Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya mulk-e-sham ko ikhtiyar karna kyunki mulk e sham Allah ki zameeno mein se behatreen mulk hai , Allah subhanahu is mulk mein apney behatreen bando ko jama farmayega aur ye manzur na ho to phir Yaman ko ikhtiyar karna aur apney hawzo ( water tanks) se pani pelaye rahna Allah subhanahu ne meri wajah se Mulk-e-Sham ko aur Ahl-e-Sham ki kifayat ki hai
Sunan Abu Dawud, Vol 2, 711 (Sahih)

(Note: is waqt Syria, Palestine, Lebanon, Jordan etc. in sabko Mulk-e-shaam kaha jata hai)
-------------------------------------

Narrated Ibn Hawalah Radi Allahu Anhu The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam said: It will turn out that you will be armed troops, one is Shaam, one in the Yemen and one in Iraq. Ibn Hawalah said: Choose for me, Messenger of Allah, if I reach that time. He replied: Go to Shaam, for it is Allah's chosen land, to which his best servants will be gathered, but if you are unwilling, go to your Yemen, and draw water from your tanks, for Allah has on my account taken special charge of Shaam and its people
Sunan Abu Dawud, Book 14, Hadith 2477 (Sahih)

(Note: Currently Shaam belong to Syria, Palestine, Lebanon, Jordan etc.)


__._,_.___
Reply via web post Reply to sender Reply to group Start a New Topic Messages in this topic (1)
Recent Activity:
.

__,_._,___

No comments:

Post a Comment