*1641...Raite Par...Pak Old* Kal ajab sa saneha huwa raite par Naam tera naheen likh saka raite par Kis ki awaaz se tham gaey hain qadam Phir se kis ne mujhey di sada raite par Us ki aankhon se shole nikalte rahe Nashti rah gai kal ghata raite par Main ne jo bhi hawa se kaha,Rah geya Mitt gaya who,jo tum ne likha raite par Main tumeen chumna chahon aur abhi Us ne muj se yeh ek din kaha raite par Ab yeh sehraa hi us k muqader main hain Us ne mangi hi kion thi duaa raite par Aik sholah utha karta hai us jagah Mera aansou jahan tha gira raite par |
No comments:
Post a Comment