Humari zindagi mein Waseelay Ki Ehmiyaat ka andaza aik misaal se lagaya ja sakta hai jo k kuch youn hai......
Agar aik room mein kuch log baithay hoon aur wahan pe baithay log aik doosray ko daikh saktay hoon tou iss ka matlab hai k woh tamam log binaayi se mehroom nahin hain aur un tamam logon ki Quwat-e-Basarat bilkul theek hai.
Agar hum uss room mein lights off kar dein tou tamam logon ko kuch bhi dikhayi nahin de ga, Tou kiya iss ka matlab yeh hai k tamam log Andhay ho chukay hain ? Yaqeenan nahin balukay jo roshani un tamam logon ko har cheez dikha rahi thi sirf woh roshani khatam ho chuki hai.
Issi tarhan se har muslman kalma gou k dill mein Emaan ki roshani jagmaga rahi hoti hai, Ab uss roshani ko itna mazboot banana k uss se sara Alam chumkay, tou aisa karnay k liye humesha kisi Mard-e-Haq ki talash mein rehna chahiye, Jo k Seerat-e-Nabi, Ahadeeth, Aur Islam ki amali tasweer ho.
Tareekh se main bus Iqbal, Khussrow, Saadi, Qudi, Jami aur Haali ki hi misaali de sakta hoon. Aur Moulana Roomi ki misaal ko koun nahin janta k jab woh apnay students ko parha rahe thay tou Hazrat Shams Taberaizi (Reh Mul Allah) ne aa kar poocha yeh sab kitaabien kiya hain? Moulana Roomi ne kaha k yeh mera Elam hai, Tou Hazrat Shams Tabraizi (Reh Mul Allah) ne tamam kitaabein Houz Mein phaikh dien, Jab Moulana Roomi K Students unhein marnay k liye aagay barhay tou Hazrat Shams Taberaizi (Reh Mul Allah) Ne haath barhaya tou tamam kitaabein wapis un k haath mein aa gayein. Moulana Roomi Ne poocha k yeh kiya hai? Tou Hazrat Shams Taberaizi ne kaha k yeh mera ilam hai.
Phir Moulana Roomi Rotay huway Hazrat Shams Taberaizi (R.A) K Peechay Peechay Kayi Saal Tak Chaltay Rehay.
Hazrat Shams Taberaizi (Reh Mul Allah) Ka guzar jab multan se huwa tou unhein bataya gaya k yahan k log bohat sakhat dill ho chukay hain. Unhon ne farmya acha yeh baat hai.
Hazrat ne aik seekh k ooper gosht ka tukra lagaya aur Multan k har ghar pe dastak di aur kaha k main pardesi hoon mujhe khana pakanay k liye aag chahiye, Har ghar ne unhein aag denay se inkaar kar diya.
Aakhir Kaar Jalaal mein aa kar unhon ne suraj ki taraf daikha aur farmaya """ Ab Tu Bhi Shams Hai Aur Main Bhi, Ya Tou Issay Nazdeek Aa Kar Pakka De Ya Phir Mujhe Bhooka Daikhta Reh""
Kaha jata hai k achanak garmi itni barhi k goshat bhun kar reh gaya aur woh din aaj ka din Multan mein garmi ki shidat barqarar hai.
__._,_.___
.
__,_._,___
No comments:
Post a Comment