UNQUOTE : MR. SHEIKH , TUMAHARY KEHNAY YA NA KEHNAY SAY KYA HOTA HAI... KYA TUMHARI BAAT ISLAM MAIN HUJJAT HAI ???
-------- Original Message --------
Subject: | Re: [sadqayyarasolallah] Re: [Yaadein_Meri] Re: ~:: Ghous-e-Azam Kehna Jaiz Hay ::~ |
---|---|
Date: | Wed, 7 Mar 2012 14:01:52 +0300 |
From: | Asan Deen <khshaikh1999@gmail.com> |
To: | sadqayyarasolallah@yahoogroups.com |
CC: | Yaadein_Meri@yahoogroups.com, "khmahmood@se.com.sa" <khMahmood@se.com.sa>, mshoaibtanoli@googlegroups.com, Fahad Ashrafi <fahad_ashrafi@hotmail.com>, Makkah Madina <makkahmadina@hotmail.com>, Madina Way <madinaway@yahoogroups.com>, Kaukab Siddique <butshikana@gmail.com>, discuss_islam_the_religion@yahoogroups.com, Naveed <aaqib98@yahoo.com>, Ghulam-e-Murshid <qaseem39us@yahoo.com>, Fahad Ashrafi <fahad_yamin@hotmail.com>, rizwanahmed53@hotmail.com, Muhammad Latif Chaudhery <latif.m.chaudhery@gmail.com>, Hannan Fawad <Fawad..Hannan@saipem.eni.it>, Humayun Rasheed <humayunhere@yahoo.com>, khaleq_hyd@yahoo.co.uk, "Mohammed Y. Hamza" <myhamza@se.com.sa>, "K.M.Iradat Ullah Siddiqui" <iradat123@gmail.com> |
BisMillah-ir-Rahmaan-Nir-Raheem
AsSalamo Alaikum wra
Dear Khaksaar
Aap ki Shirk ki definition bhee aap ki Quran fehmi ki tara darust nahen ha, Bara-e-Karam sar-e-dast Neechay dee gaen Ayah ko baghore parhen,, aap ki samajh maen Dars-e-touhid aa jaeay ga, Insha Allah.
Surah Al-Ahqaf 46:4-6
قُلْ أَرَأَيْتُمْ مَّا تَدْعُونَ مِن دُونِ اللَّهِ أَرُونِى مَاذَا خَلَقُواْ مِنَ الاٌّرْضِ أَمْ لَهُمْ شِرْكٌ فِى السَّمَـوَتِ ائْتُونِى بِكِتَـبٍ مِّن قَبْلِ هَـذَآ أَوْ أَثَـرَةٍ مِّنْ عِلْمٍ إِن كُنتُمْ صَـدِقِينَ وَمَنْ أَضَلُّ مِمَّن يَدْعُو مِن دُونِ اللَّهِ مَن لاَّ يَسْتَجِيبُ لَهُ إِلَى يَوْمِ الْقِيَـمَةِ وَهُمْ عَن دُعَآئِهِمْ غَـفِلُونَ وَإِذَا حُشِرَ النَّاسُ كَانُواْ لَهُمْ أَعْدَآءً وَكَانُواْ بِعِبَادَتِهِمْ كَـفِرِينَ ﴾
(4. Say: "Think you about all that you invoke besides Allah Show me what have they created of the earth Or have they a share in (the creation of) the heavens Bring me a scripture prior to this or some trace of knowledge, if you are truthful!'') (5. And who is more astray than those who invoke besides Allah others who will not answer them until the Day of Resurrection, and who are unaware of their invocations to them) (6. And when mankind are gathered, they (false deities) will become their enemies and will deny their worship.)
Baqi jo ayah aur explanation apnay aqeeday kay saboot maen aap Jaa-alHaq by Ahmed Yaar Khan Naeemi Gujrati (ra)say paish ker rahay haen, aisay hee ultay mafoom aap kay Mufti Sb. Bhi aur aap bhee lay rahay haen,,, jaisay maen nay pahli mail maen zinkar kiya tha. Iss ka to tafseeli analysis banta ha,,, magar maen aap ko issi tahreer say kutch point out karta hoon,,,, maanana to khair aap nay nahen,,, aor apnay Mufti Sb. Ki baat aap kay nazdeek authenticated he ho gi,,,,, magar phir bhee agar aap khulay dill say iss per ghore gharen gay, to aap ko samaj aa jaey gi, Insha Allah.
Pahlay eiteraz kay jawab maen "Wa Iyyaka Nastaeen" hawala day ker aap kay mufti sb. Zinday aur murday ka faraq hee mitta rahay haen,, kayun ke iss ayah maen aisa koi faraq nahen,,, magar bhool gaey ke yeh Dua banda apni her namaz maen apnay Allah (Subhana Wa Ta'alla) say direct karta ha,,, kissi murda kay samany aisa kalimah koi kafir hee keh sakta ha,,, aik Musalman aisi jur'rat nahen karay ga.. To goya aap kay Mufti Sb. Shirk ko he nahen samjhay, jo Zinda ur Murda dononn ko bararbar aik hee line maen kharay ker rahay haen. Kaya aisi samajdani aur explanation of yahan jawaz bhee kutch banta ha,,, ya apnay aqeeday ko sabit karna ha,, chaeay Quran ki ayah ka mafoom hee ghalat ho jaey???
Maira aap say sawal ha,, ke aap ham ko 50 namazen parhnay ka mashwara daitay haen,,, to kaya aap 5 namazen Musa (Ele IsSalam) ki istamdad kay tore per parhtay haen,, ye Nabi ((Sallal Allaho Elaehe Wa Aalae Wa Sallam)) ki sunnat aur tareeqa ya hukam samaj ker parhtay haen?????
Surah Al-Baqara 2: 154 ka jo tarjuma kiya ha,aur mafoom liya ha ,, woh bhee sahih nahen aur bay-aqli ki daleel ha aur dandi maari ha. Kissi kaam kay honay ya nah honay aur karnay ya nah karnay maen barha faraq hota ha ha…
Yahan aap kay Mufti sb. Naen "Wala Kinn La Tashoroon" ka tarjma kiya ha,,, "Tum Ahsaas nahen Kartay" jab ke iss ka seedha seedha tarjma ha " Aur tum ko iss ka sha'oor nahen" yahni Idraak nahen.
Pahli baat to aap yeh bataen, ke iss maen zindoon say Istamdad kahan say aa gai, jo aap nay yeh saboot maen pesh ki ha??? Aur Iss say kahan Istamdad jaez sabit hota ha????
Doosri baat aap yeh bataen, ke Shuoda ki yeh Zindgi Dunyawi ha, ya Barzakhi??? Ya Unn ki zindgi Dunya ki zindgi ki tara ha aur unn ki roohaen iss waqat kahan haen jo aap unn say madad kay talab haen???
Eiteraz No. 10 kay jawab maen aap kay Mufti Sb. Ka Aoulia Allah say Istamdad kay silsilay maen kahtay haen, ""ke yeh tamam kamzorian iss jisam khaki per iss liyay taari hoti haen, ke iss ka ta'allaq Ruh ha, kamzore ho gaya, Ruh maen koi kamzori nahen, balkeh bahd mout aur zayada qawwi ho jati ha,,,, aur Istamdad Wali ki Ruh say ha nah ki Jisam-e-ansari say……""
To Janab ya Mohtarma,,, kaya Mufti Sb. Ki yeh explanation aap ki bhee samaj maen aaee ya nahen????
Pahla sawal,, Jo Bazurg ya Allah ka banda apnay barhaapay maen Jismani tore per to kamzore hooa,,, magar baqole Mufti Sb. Kay Ruh to uss waqat bhee kamzore nahen thee,,, magar phir bhee woh apni madad aap nah kar saka cheh jaeka doosroon ki madad per qadar hota,,, aur phir bhee aisay waqat maen kissi Wali Allah say madad ka talib hona,,, to nirra hee bhooday pan ka izhaar ha.
Doosra zulam Mufti sb. Yeh kartay haen, ke inn hee kay baqole, Ruh to uss waqat bhee kamzore nahen thee, jab ke woh bazurag zinda thay jismani tore per, magar phir bhee woh nah apni madad aap kar sakay nah doosroon ki,,,,,,,,,to yeh Mufti Sb. Ussi Ruh ko marnay kay bahd mazeed Qawwi honay ka dawa ker unn say Istamdaad kay talib haen,,,, Aray bhai/behn kutch to aqal say kam lo.
Phir mazeed kahtay haen, Istamdad Wali ki Ruh say ha,, nah ke Jisam-e-ansari say,,,,,, to sawal phir wohee ha,,, ke jab woh Wali Zinda thay,,, to aap nay unn say Istamdad kayun nah ki jab ke unn ki Ruh bhee zinda aur Taqatwar thee,,, unn kay marnay kay bahd kayun unn ki madad kay talib haen???
Aik aur sawal uthta ha, ke jiss Wali Allah ki Ruh Jannat kay baghoon maen urhti phirti aur rizak diyay jaati ha,,, Allah (Subhana Wa Ta'alla) ki itni bay shumaar na'emtoon ko chore ker woh tumhari madad karnay iss dunya maen phir kayun aaeay gi??????
Kaya Aoulia Allah ki Ruhaen,,,(Astaghfirullah) tumhari haath bandhi Ghulam haen,, ke jab bhee unn ko pukaro,,, woh tumhari madad ko aan pohnchaen gi???
Maira khayal ha,,, itni zayada tafseel aap kay liyay kafi ha,,, wagarna aqalmand kay liyay to ishara hee kafi hota ha.
Aap loge apnay gunn chakroon say baher niklaen aur apnay Muftian-e-Kiram ki tahiroon ko aankhaen band ker kay nahen, balke apni aqal-o-hosh say parkhaen aur Quran o Hadith ka Ilm kissi achchay Alim-e-Deen say hasal Karen, ta ke aap ko Touhid o sunnat ki sahih pehchan ho.
Allah (Subhana Wa Ta'alla) aap ka aur hamara haami o nasar ho. Amin.
(and Allah (Subhana Wa Ta'alla knows best)
Wama Elaena Illal Balaagh
Ma-AsSalamah
KhShaikh
@Asan Deen: Copy Paste is lia kiya ha taka mara waqat bach jay our Orignal words app tak pohanch jain. App jasa akida rakhna wala our buhat milta han. .
App thori si zahmat karan our wo definition send kardan jis ka mutabik fout shuda sa madad mangna Shirk ho. Refrence buhat zarori ha. Our 1 chiz jo buhat aham ha, Shirk tu ha Allah Ta'ala ki zat ka kisi ko hisa jan'na. Our yah app hi ho sakta han ka jo fout shuda ko Allah TA'ala ki zaat ka hisa bana raha han.
Umeed ha kuch na kuch afaka tu zaror ho ga. Agar na hu tu .......... Kuch kiya ja sakta nahi ha.
From: Asan DeenSent: Tuesday, March 06, 2012 12:22 PMCc: khmahmood@se.com.sa ; mshoaibtanoli@googlegroups.com ; Fahad Ashrafi ; sadqay yarasool ; Makkah Madina ; madina ; Kaukab Siddique ; discuss_islam_the_religion@yahoogroups.com ; Naveed ; Ghulam-e-Murshid ; Fahad Ashrafi ; rizwanahmed53@hotmail.comSubject: Re: [Yaadein_Meri] Re: ~:: Ghous-e-Azam Kehna Jaiz Hay ::~
BisMillah-ir-Rahmaan-Nir-Raheem
Khaksar (Mahwishakram) nay apni Khaksari ka izhaar khoob kiya ha,,, aur bala sochay samjhay,, wohee kutch Copy/paste ker diya ha,, jiss say yeh sabit hee nahen hota ka, Aoulia Allah aur Anbiya Kiram (Ele EsSalam) say madad maanga jaez ha,, jab ke woh iss dunya say rukhsat ho chukay hoon... Yahan baat Zinda ki ki jaa rahee ha, nah ki fout shuda ki,, jab ke yeh,, ayateen Unn Fout shuda Anbiya Kiram aur Aoulia Allah per chaspaan karnay ki koshish kartay haen....
Yahee to jahalat ha,,,, ke Quran ki ayah ko apnay aqeeday per fit kartay haen,,, aur apnay Aqeeday ko Quran o Hadith kay mutabiq fit nahen kartay.
Allah Hidayat Day. Amin.
Regards
KhShaikh
2012/3/5 Khaksar <mahvishakram@hotmail.com>
Maloom nahi app konsi Anak laga kar ghor karta raha han. Our app na tu aik baat karna ka kaha tha. Our itni sari batan kardi han, our kisi bi baat ka sath reference nahi ha. Sirf stories hi han.App ka kuch sawalat ka jawab tu dia jati hun. Agar koi rah gaya ho tu phir sa poch lijiya ga.
App na is ka jawab main jo bi baat karni ha dalil mukamil our mukamal hawala ka sath ho.
From: S. a. NayerSent: Monday, March 05, 2012 8:07 PMSubject: [Yaadein_Meri] Re: ~:: Ghous-e-Azam Kehna Jaiz Hay ::~
SIRF AIK HI BAT LIKHNA CHAH RAHA HUN, MEREY BEHEN BHA'AIYO......OR WOH YE KE ...... IS MOZU PER JAB KIYA KAFI GHOR O FIKAR OR PARH HA AAP SUB KI RA'AEY KO TO AIK HI BAAT AAEE SAMAJH KEH KIYON NA HUM LAIN IK HULKA PHULKA SA JA'AIZAH, IN TAMAM AUMBIYAA E IKRAAM, SAHABA E IKRAM, AULIYA ALLAH JIN KO ALLAH NE APNEY BASHER KE TOR PER KIYA PAIDAH OR JIN KE TAWASSUT SE DI AALAM E INSANIYAT KO HIDAYAT, IN MAGHFOR O MARHOOM HUSTIYON NE AAKHIR KIS SE MAANGI MADAD APNI HER MUSHKIL MAIN, KIYA KABHI AAKHIRI NABI (PBUH) NE MADAD TALAB KI HAZRAT IBRAHIM (A.S) SE, KIYA KABHI HAZRAT ALI NE MADAD MANGI HAZRAT MUHAMMAD MUSTAFA (PBUH)SE, KIYA KABHI KHUWAJA MUEEN UDDIN CHISHTI NE MANGI MADAD HAZRAT ALI KARAM ALLAH WAJHU SE ............APNEY RUB KO CHORH KER ?????? YA SIRF OR SIRF APNEY RUB HI SE KIYA SAWAL APNI HER ZAROORAT KE POORA KERNE MAIN CHAHEY THI WOH ZAROORAT DEEN KE LIEY YA PHIR DUNYA KE LIEY, AAP DAIKHAIN GAY KE AIK BHI SINGLE MISAL MOJOOD NAHI IN HAZARAT SE QOLAN OR AMALAN AIK MERTABAH BHI SABIT NAHI KE UNHON NE KABHI APNI HI JESI MAKHLOOQ SE CHAHI HO KISI BHI QISIM KI MADAD KIYON KE MAKHLOOQ AJIZ HE KISI KI BHI MADAD KERNEY SE, OR SIRF KHALIQ HI KA HEY YE MERTABAH KE WOH KAREY APNI MAKHLOOQ KI MADAD, TO PHIR YE BEHES KESI, HUM KIYON NA KARAIN TALAB MADAD US KI JIS SE MANGI MADAD HAMAISHA TAMAM AUMBIYA NE, SAHABA E IKRAM NE, SHOHODA E AFZAAL NE "MUSHKIL KUSHA" NE, GHOSE AAZAM NE............TO DEKHO KITNA AASAN HE JAWAB IS KA "ALLAH" HE SIRF OR SIRF OR US KE SIWA KOEE NAHI JO KER SAKEY MADAD KISI KI *** WALLAH O AALAM BISSAWAB ***
--- In mailto:Yaadein_Meri%40yahoogroups.com, Fahad Ashrafi <fahad_yamin@...> wrote:
>
> ???? ???? .. ????
>
>
>
>
> -------- Original Message --------
> Subject: Re: [Yaadein_Meri] ~:: Ghous-e-Azam Kehna Jaiz Hay ::~
> Date: Sun, 4 Mar 2012 21:01:54 +0500
> From: Khaksar <mahvishakram@...>
> Reply-To: mailto:Yaadein_Meri%40yahoogroups.com> *To:* mailto:Yaadein_Meri%40yahoogroups.com <mailto:mailto:Yaadein_Meri%40yahoogroups.com>
> To: <mailto:Yaadein_Meri%40yahoogroups.com>
>
>
>
> Definition
>
> Shar
>
> *From:* Afzal Hussain <mailto:afzalhussain42@...>
> *Sent:* Saturday, March 03, 2012 9:30 PM
> *To:* "mailto:Yaadein_Meri%40yahoogroups.com" <mailto:Yaadein_Meri%40yahoogroups.com>
> *Subject:* Re: [Yaadein_Meri] ~:: Ghous-e-Azam Kehna Jaiz Hay ::~
> Assalam Alaikum
>
> Beshak naveed bhai ne theek likha hai aur sirf aur sirf allah he se
> madad mangna hai
> aur sahaba karam auliya karam ka ehteraam karna chahiye na k poojna chahiye.
>
> Jazak allah
> ----------------------------------------------------------
> *From:* Naveed Ahmed <naveedahm44@...>
> *To:* "mailto:Yaadein_Meri%40yahoogroups.com" <mailto:Yaadein_Meri%40yahoogroups.com>
> *Sent:* Saturday, March 3, 2012 9:21 AM
> *Subject:* Re: [Yaadein_Meri] ~:: Ghous-e-Azam Kehna Jaiz Hay ::~
> Asalamualikum warahmatullah wabrakatuh,
>
> FAHAD ASHRFI SAHAB HAMEHSHA BAZID REHY HAIN KE ALLAH RAB UL IZAT KE SIWA
> MAKHLOOK MAIN SAY KISI SAY BHI MADAD TALAB KI JA SAKTI HAI , JAB KE AP
> JAB ISLAM
> KE TAREEK KO PARAHIAN TU MUSHRAKEEN E MAKKAH BHI ISI BAT PER BAZID REHTY
> THEY
> KE HAKEEKI RAB TU WOHI ALLAH HAI , YEH JIN KO HAM MADAD KELIY PUKARTY HAIN
> HAMRI FARIYAD KO RAB TAK POHNCHA DAITY HAIN, OR DOSRI TARAF NABI KE FARMAN
> KO DAIKHTY HAIN TU WAHAN SAY FARMAN MILTA HAI KE AGER TUMHAIN JOTY KE
> TASMAY KI ZARORAT BHI HO TU BRAHE RAST RAB SAY MANGO KIA AP SAB YEH NAI
> SOCHTY KE DIRECT RAB SAY MANGNE MAIN AKHIR KON C AISI CHEEZ HAI JO HAMIN
> ROKTI , AKIR RAB SAY DIRECT MANGNEY MAIN KABAHAT HI KIA HAI ??
> HAI , RAHA SAWAL GUNHAGAR HONE KA HAM BOHAT GUNHAGAR HAIN HAMRAY AMALL
> ACHY NAI HAIN BILKUL SAHI BAT HAI LAKIN MERY PIARY BAHI TUBA GUNHAGAR
> KE LIAY
> HI HAI , OR TUBA RAB SAY HI KI JATI HAI NA KE KISI PEER WALI YA NABI KE
> TAWASUT SAY
> NAHI , ISI KI BEHTREEN MISALIN TAREEK E ISLAM MAIN MILTI HAIN TAAIF MIAN
> JAB AP KO
> PATHAR MARY GAY TU AP NE NA SIRF SABR O ISTAKLAAL KI AALA MISAL PAISH KE
> BALKE
> US MAIN AIK DARS YEH BHI THA KE US WAKAT AP KI MADAD KELIAY DO PAHROON NE
> KAHA KE AP AGER KAHIN TU IS BASTI KO PEES DAIN OR YAKEENAN WO NABI SAW
> KI BAT
> KO RAD NA KERTY LAKIN AP NE UN SAY MADAD TALAB NA KER KE YEH DARS BHI
> DIA KE
> KISI BHI HALAT MAIN RAB KO HI APNA MADAGAR SMAJHNA CHAHIAY USI KO HI
> PUKARANA CHAHIAY NA KE USI MAKHLOOK KO JO KHUD AJIZ HAI, RAB NE MAKHOOK KO
> TAKLEEK KIA HAI SIRF OR SIRF APNI IBADAT KELIAY OR SHAITAN OR US KE
> CHAILOON NE
> MAKHLOOK KE ZEHN SAY YEHI AIK BUNIADI CHEEZ NIKALNY KI THANI THI KION KE
> JAB
> BUNIAD HI MAZBOOT NA HO GI TU YEH TASWUR HI NAMUMKIN HAI KE BAKI KI
> IMRAT APNI MANZIL KO POHNCH PAY GI....
> SIRF OR SIRF ALLAH HI GOSE AZAM , DATA , DASTAGEER , MUSHKIL KUSHA ,
> HAJAZT RWA HAI YEH SAB KHOBIAN SIRF USI KE SHAN HAIN OR USI KI SIFAAT
> HAIN OR SHIRK SIRF KISI
> OR KO PUJNE KA NAM HI NAHI BALKE RAB KI SIFFAT MAIN KISI KO SHAREEK
> KARNA BHI SHIRK HAI
> ALLAH RAB UL IZAT HAMIAN HIDAYAT KI TUFEEK DAY
> *
> *
> *
> *
> *AMEEN*
> *
> *
> *
> *
> *From:*Ayaz Paracha <mhaparacha@...>
> *Sent:* Friday, March 2, 2012 8:46 AM
> *Subject:* Re: [Yaadein_Meri] ~:: Ghous-e-Azam Kehna Jaiz Hay ::~
> Bhai jan ap ko jo bhe maslaho kse olama se rabta kya kre, na k email kar
> k sab ko behas mai dal dete ho, koi kya bolta to koi kya, apne apne
> fatway log bolne lag jate hai, plz aap olama se rabta kya kre
> ----------------------------------------------------------
> *From:* Fahad Ashrafi <fahad_yamin@...>
> *To:*
> *Sent:* Sunday, February 26, 2012 4:23 PM
> *Subject:* [Yaadein_Meri] ~:: Ghous-e-Azam Kehna Jaiz Hay ::~
>
No comments:
Post a Comment