Assalamalaekum,
Guzarish hai ke kabhi apni dwaon may hamen bhi yaad karliya kijiye ke Allah hamen nek taufeeq aata karey... aameen.
Waesey jab bhi hamarey sajdey hongey inshaallah aapki yaad bhi zaroor hogi...
Ek request hai aapsey aur sabhi members se ke, nichey attached photo jaesi photo mustaqbil may use na kijiye... kyonkey mera observation hai ke kaafi logon ka focus ab Makkatulmukarrama ki bajaey ye taweel clock tower bana huwa hai... mazey ki baat ek aur hai ke agar saudi walon se kahen ke main Madinamunawwara ki ziyarat par gaya tha to wo log chutey hi sawal karengey ke kya wahan par "Albake khaey" - Allah raham karey aur hamen Albek aur Clock tower se bachey - in dinon jo bhi Makkamukarrama jaaraha hai wapas aaney ke baad maximum tazkera clock tower ka hi kar raha hai - aur had to ye hogai hai ke photos may bhi Makkamukarama ko nazar andaaz kiya jaraha hai... ab nichey ki tasweer ko hi len!!!
Jistarha baitulmuqaddas ki bajaey lag bhag waesi hi dosri tasweer bataya jaata hai aur likhtey hain ke baitulmuqaddas - waesey hi naozbillah ye goron ka hi suggestion raha hoga ke Makkamukarama ke paas ek badi imarat banai jaey - aur ye saudi chotey bachon ki tarha unhi ki ungli pakad kar chalney may apni khaeriyat samajhtey hain.
Qhayamat ke khareeb aasman ko choleney wali imarten banengi aur wo ban rahi hain 'maximum arab countries may'
Allah hamen wo pahley wala muttaqi parheezgaar musalmaan banadey ya hamen gharat kardey aameen...
Khuda Khair Kare - RAMEEZ
Forget about mistakes that you can't change now, but don't forget the lessons that you've learned...
From: Rubina Yasmeen <rubina_yas@yahoo.com>
To: Rubina_Yas@yahoo.com
Sent: Wednesday, October 19, 2011 8:31 PM
Subject: [Yaadein_Meri] " " Sajde Me Kasrat Se Dua Kiya Karo " "
BISMILLAHIR RAHMANIR Raheem ASSALAM ALAIKUM WA RAHMATH ULLAHI WA BARKATAHU The Prophet said, " Convey (My Teachings) To The People Even if it Were A Single Sentence" (Bukhari: 667) Aapki dua ki talib Mrs RUBINA YASMEEN ====================================================== Join My Group |
No comments:
Post a Comment