Assalamalaekum,
Rameez Bhai app ne meri aik ghalti ki nishan dahi ki main us ke liy app ka shukar guzar hoon baat karney se pahley Salaam kiya kijiye
aur sachi baat ye hai ke app ki akhri mail parh kar bohat acha laga kiun ke app ne larai khatam karne ki koshish ki hamain aise hi muhabat se rehna chahiy lekin brother aik baat ko main samajh nahi paiya is liy app ki help ki zarorat paish aiy hai plz zara is ki tashreh to kar dain
4) (har gunahgaar jannat may jaega) - hamen Allah se behtar se behtar ki tawaqhu karni cahiye, agar wo cahey to gunahgaar, zinakaar, sharibi, kababi, choor uchakka, jahel-e-mutlaq ya bakbak kisi ko bhi apney raham-o-karam se jannat nawaaz de...
ALLAH ki rehmat se kisi ko inkar nahi ho sakta lekin ALLAH ne hum se aik muahida kia hai ke is raste par chalo ge to JANNAT mile gi Aur is raste per chalo ge to JAHANAM
Aur ALLAH QURAN Main kehta hai ke us din har kisi ko us ke aamal ke mutabiq mile ga to kia (NAUZUBILA) ALLAH ke qaol-o-faeel main faraq ho sakta hai ke ALLAH kahe Kuch Aur Kare Kuch
Second kia hum aisi baat se ALLAH ko (NAUZUBILA) beinsaf sabit karne ki jasarat to nahi karte ke kisi ko to wo us ki ghalti per JAHANAM de de ga Aur kisi ko Muaf kar de ga jub ke QIAMAT ke din har aik ke AAMAL toly jaein ge aur har koi deakh le ga jo us ne kia ho ga
plz explain this mere liy aur mere jaisy baki kam illam bhai behno ke liy jo deen ko samajhna chahte hain
From:
Tanveer Awan
From: Rameez Bakbak <bakbak.rameez@yahoo.com>
To: "Yaadein_Meri@yahoogroups.com" <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>
Sent: Tuesday, October 18, 2011 1:31 AM
Subject: Re: [Yaadein_Meri] (MAA,BAAP)
Assalamalaekum,
Mail bahot muqhtasar likhonga - aur inshaAllah is maozon pe ye mera aqhri mail hoga... kyonkey shuru main ne kiya tha aur chup bhi mujhey hi hona padega - ab khush!!!
1) (aapka ghussa) - Kahtey hain sachi baat kadwi lagti hai...
2) (mera apney aapko kamtar zaher karna) - Jo ped/tree phal se lada hota hai wo jhuka huwa hota hai - aur khali bartan hi ziyada shoor kartey hain...
3) (group moderator ke mail) - mujhey kisi ke mail se koi problem nahi - bas problem hai to sirf meri tang khinchney walon se...
4) (har gunahgaar jannat may jaega) - hamen Allah se behtar se behtar ki tawaqhu karni cahiye, agar wo cahey to gunahgaar, zinakaar, sharibi, kababi, choor uchakka, jahel-e-mutlaq ya bakbak kisi ko bhi apney raham-o-karam se jannat nawaaz de...
5) (aapki sixth sense) - very good aapney theek kaha ke mera e-mail id farzi hai, mera asli naam ye nahi hai balkey kuch aur hai... aur aapki italla ke liye - main apney asli naam se bhi in groups ka already member hoon... ab dhondney mat lag jana, ye kaam itna aasan nahi...
Badi khushi ki baat hai ke aap apney walidain ka ehteraam kartey hain, aur aap ye nahi jantey ke inhi ki duaen hai jo aap engineer ban chukey - so ab aapki asli zindagi shuru hogi - so just focus on it... aapka ghussa kuch kam ho ek joke sunata hoon...
Hospital may ek naujawan mareez se doctor kaheraha tha ke tumhen dono may se ek cheez chodni hogi (i) sharaab ya (ii) shabaab... wahin hospital may baethey ek aqhalmand mareez ne us patient ko mashwera diya ke 'miyan sharaab choddo isey to budhapey may bhi pi saktey ho'...
So abhi abhi engineering complete huwi hai - itna time net pe barbaad mat karo - net to baad may bhi use kar saktey ho...
Aapko merey is mail ke alfaaz may koi mirchi na miley, main ne is ka pura ehtemaam kiya hai, kyonkey aapney likha hai ke aap apney walidain ka ehteraam bahot kartey hain - aur main unka ehteraam karta hoon jo walidain ka ehteraam kartey hain... Allah khair karey.
Khuda Khair Kare - RAMEEZ
Forget about mistakes that you can't change now, but don't forget the lessons that you've learned...
From: Syed Hussein <syedhussein28@yahoo.com>
To: "Yaadein_Meri@yahoogroups.com" <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>
Sent: Monday, October 17, 2011 7:29 PM
Subject: Re: [Yaadein_Meri] (MAA,BAAP)
To: "Yaadein_Meri@yahoogroups.com" <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>
Sent: Monday, October 17, 2011 7:29 PM
Subject: Re: [Yaadein_Meri] (MAA,BAAP)
Assalam Alaicum
Tum dheen aur dunia ke bato ko mix kar rahe ho. Aap baat shuru kare har baat ko Quran aur Hadess se na napa tola karo. Maine jo function ka misaal deya hein wo bee Naap aur Tol se Taluq hein. Laykin aap meri society aur merea utna baetna per ungli dikaye.
Esiliye mera sabar ka intehaa khatam ho gaya. aur aisa likna padra.
Zara meri first line per aik bar fir nazar dalo. maine kal kaha:::! Kal marey dost ke ghar aik function tha uske aik rishtedaar ne. Agar wo log mere dost hote tho mujse bahes nai karte. wo log mere dost ke dost be nai hein, wo dost ke rishtedar hein, kisi aur shaher se uske ghar may function attend karne ke liye aaye. Wo logo ki tarha aap ko bee ayatho ki samaj nai, aap ko urdu zubaan bee samajne ki zaheniyat kamzor hein.
Aap he bataado Jo log mere dost ke rishtedar hein kisi aur shaher ke hein, tho wo meri society kaisa huvi???????
- Agar mein kahoo Jaisa tumara tribe ka naam waisi bak bak, fir tho bilkul wazay hoga, aisa mein sirf akele nai kaheta, Tanoli group mein Asaan Deen bhai sahib bee iska zikar kar chuke hein..
- Bewakoof tho tum ho, Aisa mein nai tumne khud Tanoli group mein lika hein.
- Tume Islamic bato ki samaj nai hein, aisa mein nai tumne khud lika hein.
- Aik din pahele khud kahete ho aap ko auro ko samjhane layak islamic ilim nai hein, aaj kahete ho ilim hein,
- Waha Tanoli group mein kahete ho seekhne aaya hoo. aur waha bee khud iqraar kar chuke ho ke aap bak bak karte hein,
- Aisa lag raha hein seekna kam Zabardusti man-vaana ka zimma uthaya hein aapne , aur consequently khud he kahete ho aap Bak Bak bee karte hein.
- Waha Tanoli group mein Aik Hasi khushi mazak se share kare wali salaam ke topic ko aapne aik Sansani fasaad bana diya. Wahake members ko Apna bee maante ho, aur kahete ho unki bato ka bura nai maante, agar bura nai maante tho aap ka jawab lal mirchi ki tara waha per bhi Tez kyon aaraha Hein? Aaj aap ki waja se Aap se bahetar Ilim wale "Syed Ahemd" aur Asaan Deen ki bahes shuru ho gayi.
Aur meri society ke bare mein ungli uthane waale tum hote koun? Apna Mashwara apne pass rakho. Tumne khud maana hein tum Ilim wale nai agar Ilim wale hote shayad mein tumari baato ki Izzat kartha. Tum kya jaano Quran maine kitne bar khatam kia hein, padte padte Ginti tho mai khud bee nai jaanta.
Is group ke malik ke mutaliq aap key kya rai hein, wo bee tho Deen ki mails pahela thi hein. Kya us amal ko bee aap Himaqat kahenge?
Group mein Jo jitna Islam jaante hein uthna likte hein aur apni galatio ko durust karte hein,
- Appne kaha.........kuch sikne aaye hein,
- yaha Internet per, aur groups mein koi Alim nai milega tho aap Kya sikne aaye? Kis sey sikte?
- Waha Tanoli group mein aik ke mails ko karamati mails aur dusre ke mail ko ilim mein izzafa hone wali mails likne ko mashwara dethay ho.
- Dusri taraf internet per waqt sarf mat karo kahete ho.
- wo log tho Alim nai hein fir unko Internet per waqt sarf karne ka mashwara kyon de rahe ho.
- Aapke mutabik Internet per email forward ke haqdaar kon kon hein
- Agar Koi kahede har gunehegaar jannath mein jayega tho Hadees quran se Nap tol karna munasib hein ya nai?
Khiar mera Ilim kitna hein kisi aur din zikar karenge.Aap ko khush karne ke liye Chalo maan liya mei aapke mutabik thoda bohut padha likha hoo. Esiliye jitna padha hein uthna he logo ko bol raha hoo, Quran Hadees ki pakad mein rahekar ye na karo wo na karo, ye aesa karo wo aesa karo Nasihat karne ki ejazat bee hein Islam mein. Agar nai hein tho yaha groups mein ejazat kis ko hein? Nasihat tho group ki owner sahiba bee karti hein. unke bare mein aapka kya khayal hein? Yeh group ke alawa wo ehessa world ke group ki bee moderator hein? tho zahir baat hein internet per unka waqt zyada saraf hotha hein? Unke es amal ke bare mein aap kya tawakku rakte hein?
Owner Sahiba.
Mera Sixth sense strongly nai yakeen ke saath kaheta hein Rameez Bak Bak ye aik banawati email hein. Bak Bak kisi ka sur name nai hosakta. Yeh saheb kuch iccha dhari maqsad rakthe hein, maqsad pura nai hora esiliye ye har mail mein yaha aur waha tanoli par chid rahe hein. aap khud deko jab se aaye hein dono group mein ginthi ke pure dus email nai aaye laykin fasaad he fasaad macha raki hein.
Jo shaqs sikne aatha hein uski batein mein itne saare aitraaf
Inke bato mein ithni Tez mirchi kyun nazar aarahe hein.
sikne waala ki zahaniat hamesha mitaaz bhari hoti hein.
Inka khud ka statement inke khilaaf aik counter file bun raha hein.
Is shaq ka zaheniyat insaan ko laykar bar bar kyon badal rahi hein.
Itna tez mirchi bhara andaaz tho mere dost ke rishtedar ka bee nai tha.
Khud ki parwarish tho Islaam se dur hein. aur meri parwarish ki baat karte hein.
Islamic taleem ho ya Dunia ve taleem, mei apna sabak agar muqamal tarike se jab yaad nai kartha, hamare walid sahab Zanjeer se jhaad ko baand kar rakha hein, aaj meri engineering padai khatam hogai apni khud ki dukaan hein khud ke pairo per khada ho chuka hoo, laykin Ounchi awaaz mein jawab dena tho dur kabi aaj tak une tej nazaro se dekne ka khayal tak dimaag mein nai aaya.
Jiske paas Islamic taleem nai hain wo shaq apne maa baap ke saat theek theek rahega kya guarentee? aur sahab nikal gaye Walid ke Huqooq samjhane.
Walid ke mutalik Quran e karim ki aayate zubani padke suna tum mein. Ye sahib tho mere baare mein aise lik rahe hein jaise mere ku personally jaante hein.
Taajub ki baat hein mere tokne per mere dost ke rishtedar ko be itna gussa nai aaya. fir inko kyon gussa aara.
Inke Maa Baap ko Rameez nai Batameez rakna chahiye tha. In-hone parwarish he kuch aisi paaee jo kuch be likte hein wo sirf inhe accha lagta hein. Esiliye batameezi ke saare hadhe paar karte hein. Khair naam Rameez ho ya Batameez, hein tho ye banawati mail id, leykin yeh banawati mail id jo koyi bee hein zyada pada lika nai malum padta hein, laykin apne aapko bohath hushiyar samajte. khair yeh banawati mail id ka maqsad kya hein inke aur aagay aane wale mails per nazar rakhe tho araam se malum ho jaata.
ilim walay aur jo ilim nai rakta, dono aik jaise nahi hotay, eske mutalik Allah ne aik aayat nazil kia hein, Ab jisko niche liki paanch aayata samaj nai ayee yeh 6th aayath kya samaj aayega. Ab aap deko maine kuch aisi fitting kia hein apna next mail mein apni asliyat khud kaise muzahera karega.
From: Rameez Bakbak <bakbak.rameez@yahoo.com>
To: "Yaadein_Meri@yahoogroups.com" <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>
Sent: Sunday, October 16, 2011 7:52 PM
Subject: Re: [Yaadein_Meri] (MAA,BAAP)
To: "Yaadein_Meri@yahoogroups.com" <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>
Sent: Sunday, October 16, 2011 7:52 PM
Subject: Re: [Yaadein_Meri] (MAA,BAAP)
Assalamalaekum,
Kahtey hain kisi ko ek ungli dikhao to bakhi ki teen ungliyan khud ki taraf ishara karti hain... ab aapney apney is mail ke zariye ye to batadiya ke aapka uthna baethna kaese logon ke beech hai - khair ab is may aapka kya khusoor hai jab society hi aesi ho to kya kiya jaey... choden...
Bahot se log Quran ko ehteraman kapdey main lapet kar kahin upar rakhdetey hain, ke agar nichey rahegi to behurmati hogi aur gunah hoga... theek isi tarha kai log biddat ke dar se jo jaez kaam hain usey bhi nahi kartey - becharey karen bhi to kya! parwarish hi kuch aesi society may hoti hai, jahan koi thoda bahot padh likh ley to wo apney aapko 'Andhaon May Kana Raja' samajhney lagta hai aur bilawajhey logon ko samjhaney lagta hai ke ye na karo wo na karo, ye aesa karo wo aesa karo - jabkey haqiqat may khud ko hi pata nahi hota ke kya sahi hai aur kya ghalat - do chaar baar Quran padhney aur kuch Hadeeson ka mutaliya karleney se aalim nahi ban jatey... zindagi ka ek hissa lagta hai ilm hasil karney ke liye...
Kahtey hain jitney mun utni baten - par yahan mamla thoda sa alag hai ke jitni aqhal utni baten... khair - Allah khair karey...
Allah ka laakh laakh ehsaan hai ke main bahot kuch janta hoon - par kisi ko samjhaney ki himaqat nahi karta... kahtey hain bachey kitney bhi badey hojaen Maa Baap ke liye wo bachey hi hotey hain, aur theek aesey hi ham kitni hi himaqat ki baten karen - kisi 'SACHEY' aalim ya maolwi ke samney bachey hi hain... pahley ilm hasil karen 'SACHA ILM' - (chor murshadon wala nahi) jo aaj kal har gali nukkad par miljatey hain...
Akhir may aapko ek mashwera donga ke apni society badlo, achey logon may uthna baethna rahega to sab theek hojaega.
Jaesey main ne apney Maa Baap se kuch sikha hai aap bhi apney walidain se kuch seekh lain kyonkey Walid ka martaba 'Jannat ke darwazon may beech ke darwaze jitna hota hai - aur Maa ka martaba itna hai ke maa ke khadmon taley jannat ko bataya jaata hai'.
Apna khayal rakhye aur Walidain ka ehteram kijiye... bekar ke jhamelon may waqt zaey na kijiye aur jo waqt mil jaey usey ghanimat janiye aur Allah ki ibadat may sarf kijiye ke kuch to akhirat sanwar jae.
Khuda Khair Kare - RAMEEZ
Forget about mistakes that you can't change now, but don't forget the lessons that you've learned...
From: Syed Hussein syedhussein28@yahoo.com
To: "Yaadein_Meri@yahoogroups.com" <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>
Cc: Foung Danny <goldenangel79@ymail.com>; Irfan Kazi <irfankazi21@yahoo.com>; "afsarkhanraza@yahoo.com" <afsarkhanraza@yahoo.com>
Sent: Sunday, October 16, 2011 12:34 PM
Subject: Re: [Yaadein_Meri] (MAA,BAAP)
To: "Yaadein_Meri@yahoogroups.com" <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>
Cc: Foung Danny <goldenangel79@ymail.com>; Irfan Kazi <irfankazi21@yahoo.com>; "afsarkhanraza@yahoo.com" <afsarkhanraza@yahoo.com>
Sent: Sunday, October 16, 2011 12:34 PM
Subject: Re: [Yaadein_Meri] (MAA,BAAP)
Assalam Alaicum
Kal marey dost ke ghar aik function tha uske aik rishtedaar ne Bismillah kahe kar cigarette jala ra tha, my aitraaz kara tho puchney laga Kya burayi hain agar Allah ka naam ley kar cigrate jala liya. Ulta kahne laga jo bee kaam shuru karo Allah ka naam ley kar shuro karo, sawaab milega. My usko Quran aur Hadees key roshni may samjane ki kosish kara tho kahne laga har baath ko hadees se na napa tola karo. phir Mein usku pucha fajar ke dho rakaat farz hain, tho paanch kyon nahi padte, zaida sawab milega na. agar umra karne jaao tho Tawaaf saath baar kyon Aaath 8 yha 9 chakkar kyon nahi karte. tho kahene laga sawaab kam ho ya zyada hame uth-nahe kaam karna chaiye jitna Huzur salellahualaehiwasallam ka tariqa hein.
Ramzaan ke maheine ke alawa baaqi dino may nawafil roza rahena sawaab ka kaam hain. lekin wahi roza eid ke din rahe tho kya sawaab milega? abi ulta haraam hogaya.
Finally wo kahene mujhey itna ilm nahi ke tum ko islam ke barey mein bata sakon. Eidhar aik taraf mein samjarum dusri tarf aik aur shaqs Bismillah kahe kar Ghutka khara. mein phir aitraaz kara tho kahene laga cigarette tho peene ki cheez hein lekin Ghutka tho khane ki cheez hein na kahe kar deen ki bato ko na samaj kar mera mazaak udana shuru kare. Nichey ke aayat ko samajne ki tameez tak nai thi unlogo mein,lekin shukar hai Rameez ko Ilim nahi tho kya huva Allah ka shukar hai ke Rameez ke maa baap ki parwarish/tarbiyat ka asar hai - kisi padosi ka nahi...
Ab koi samje ya nai Hamare Rameez bhai niche ke aayato ko billkull samjhenge.
Har wo kaam jo Hadees aur Quraan ke pakad ke bahar wo Bidaath hein. aur bidaath gumrahi ka sabbab ban saktha hein, aisa Masjido Maine aalimo se Kayi baar suna hein.
Bina Ilim ke bahes karne walo ko munthaqab karte huve Allah se aisi aaayt nazil huvi.
وَمِنَ النَّاسِ مَن يُجَادِلُ فِي اللَّهِ بِغَيْرِ عِلْمٍ وَيَتَّبِعُ كُلَّ شَيْطَانٍ مَّرِيدٍ
اور کچھ لوگ (ایسے) ہیں جو اﷲ کے بارے میں بغیر علم و دانش کے جھگڑا کرتے ہیں اور ہر سرکش شیطان کی پیروی کرتے ہیں
22/3:And there are some people who dispute about Allah without any knowledge and understanding and follow every disobedient Satan,
جب تم اپنی زبانوں سے اس کا ایک دوسرے سے ذکر کرتے تھے اور اپنے منہ سے ایسی بات کہتے تھے جس کا تم کو کچھ علم نہ تھا اور تم اسے ایک ہلکی بات سمجھتے تھے اور اللہ کے نزدیک وہ بڑی بات تھی 24/15
When you were propagating it with your tongues, and uttering with your mouths that whereof you had no knowledge, you counted it a little thing, while it was most serious in the sight of Allah. [24/15]
From: Rameez Bakbak <bakbak.rameez@yahoo.com>
To: "Yaadein_Meri@yahoogroups.com" <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>
Sent: Friday, October 14, 2011 7:41 PM
Subject: Re: [Yaadein_Meri] (MAA,BAAP)
To: "Yaadein_Meri@yahoogroups.com" <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>
Sent: Friday, October 14, 2011 7:41 PM
Subject: Re: [Yaadein_Meri] (MAA,BAAP)
Assalamalaekum,
Sach kahon to mujhey itna ilm nahi ke kisi ko islam ke barey mein bata sakon - bas itna janta hoon ke Allah aur Allah ke rasool salellahualehiwasallam 'Lailaha Illallahu MuhammadurRasolAllah' nahi hai koi mabood siwaey Allah ke, aur Mohammed mustafa salellahualaehiwasallam Allah ke rasol hain.
Rasol akram salellahualaehiwasallam ziyada sawalaat karney ko pasand nahi farmatey they - ab hadees ka hawala na puchen - agar pata ho to batadihiye...
Aur main kahechuka hoon ke mujhey itna ilm nahi ke main kisi ko samjha sakon... is liye aap hi nichey kiye gaey sawal ka jawab dedijiye meherbahi hogi...
Aur haan baat karney se pahley Salaam kiya kijiye - ye hadees hai aur aap bhi isey jantey hain...
Ab main is topic par mazeed koi mail nahi karonga Inshaallah.
Khuda Khair Kare - RAMEEZ
Forget about mistakes that you can't change now, but don't forget the lessons that you've learned...
From: Foung Danny <goldenangel79@ymail.com>
To: "Yaadein_Meri@yahoogroups.com" <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>
Sent: Friday, October 14, 2011 4:12 PM
Subject: Re: [Yaadein_Meri] (MAA,BAAP)
To: "Yaadein_Meri@yahoogroups.com" <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>
Sent: Friday, October 14, 2011 4:12 PM
Subject: Re: [Yaadein_Meri] (MAA,BAAP)
rameez bhai ALLAh ne app ko itna illm dia hai to kindly namaz se pehly aur baad darood wali jo misal app ne di hai us per zara roshani dalte hoy bidat kia hai aur ye keise phelti hai is per bhi zara roshani dal dain aur plz main ye baat sirf illam hasil karne ke liy poch raha hoon kisi ko nicha dikhane ke liy nahi aur plz ye bhi bataiy ga ke mazhab ki baat karte hoy kisi ki pedaish per baat karna aur gali dena kia hai plz ye maat kahiy ga ke dosre bhi ye kaam kar rahe hain kiun ke ager 100 main se 99 sharab pena shurou kar dain ya zina karin to wo 100 vein ke liy jaiz nahi ho jata aur jin ke hum umati hai unhoon ne to pather kha kar bhi kisi ko bura nahi kaha
From:
Tanveer Awan
From: Rameez Bakbak <bakbak.rameez@yahoo.com>
To: "Yaadein_Meri@yahoogroups.com" <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>
Sent: Thursday, October 13, 2011 9:04 PM
Subject: Re: [Yaadein_Meri] (MAA,BAAP)
To: "Yaadein_Meri@yahoogroups.com" <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>
Sent: Thursday, October 13, 2011 9:04 PM
Subject: Re: [Yaadein_Meri] (MAA,BAAP)
Salamalaekum,
Allah ka shukar hai ke mujh may apney maa baap ki parwarish/tarbiyat ka asar hai - kisi padosi ka nahi... khair choden - baat nikleygi to phir dooor talak jaaegi......
Merey mail se aapko ghussa aagaya - aur mujhe bhi theek isi tarha se aapke 'tanqeedi' mail se ghussa aagaya tha - bhai main samajhta hoon ke agar kisi baat ko follow karkey kisi ka bhala hota hai to us baat ki khaal khinchna nahi cahiye... Eg.: agar koi kahey ke har namaaz se pahley aur baad may 21 baar darood padhna afzal hai - to ab ya na pucho ke kis hadees se sabit hota hai - kyonkey is amal se banda sawaab hi kamaega, is amal se sawab hi hoga koi gunah nahi... so please aesi baton par criticize mat kijie jiskey karney se sawab ho azab na ho...
Waesey aap samajhdaar ho... (ghussa haram hai phir bhi hamen aa hi jaata hai Allah khair karey).
Khuda Khair Kare - RAMEEZ
Forget about mistakes that you can't change now, but don't forget the lessons that you've learned...
From: Syed Hussein <syedhussein28@yahoo.com>
To: "Yaadein_Meri@yahoogroups.com" <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>
Sent: Wednesday, October 12, 2011 8:14 PM
Subject: Re: [Yaadein_Meri] (MAA,BAAP)
To: "Yaadein_Meri@yahoogroups.com" <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>
Sent: Wednesday, October 12, 2011 8:14 PM
Subject: Re: [Yaadein_Meri] (MAA,BAAP)
Internet use karne wala mei akela tho nai.... tumara shar bharaa andaaz mein parvarish aur tarbiat malum hoti hein. aik muslim ali bhai ke sat pahale bee gaali bak chuke ho. agar hawala puchna galt dika IsLah karne ka aik accha andaaz bee eiktiyar nai kare tum. batameezi kei aik had hoti hein. bakna gali dena tumara pesha hamesha hein jaisa tumara tribe ka naam waisa lika hein. aik bar kisi ALHajj buzurg se salaam dua chating huwa wo bole tum pagal ho, mei galat tha une bura bala kaha dala. ajj apni galti ka ahesaas huva wo bilkul sai bole. sab Maa Baap ka parvarish ka natija hein.
From: Rameez Bakbak <bakbak.rameez@yahoo.com>
To: "Yaadein_Meri@yahoogroups.com" <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>
Sent: Tuesday, October 11, 2011 6:39 PM
Subject: Re: [Yaadein_Meri] (MAA,BAAP)
To: "Yaadein_Meri@yahoogroups.com" <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>
Sent: Tuesday, October 11, 2011 6:39 PM
Subject: Re: [Yaadein_Meri] (MAA,BAAP)
har baat ko hadees se na napa tola karo...
bahot si baten (achi baten) mahsoos karney ki bhi hoti hain...
tum kahetey ho ke tum apney walidain ki aulaad ho - ab agar koi tumsey sawal karey ke sabit karo ke tum inhi ki aulaad ho???
so apni akhal jo tumharey ghutnaon may hai usey chod kar sar wali aqhal (agar hai to) usey istemal karo...
ab ye batao ke kaonsi hadees hai jo NET use karney ko kaheti hai??? par tum kartey ho...
tum gud khatey ho aur gulgulon se parheez kartey ho...
Khuda Khair Kare - RAMEEZ
Forget about mistakes that you can't change now, but don't forget the lessons that you've learned...
From: Syed Hussein <syedhussein28@yahoo.com>
To: "Yaadein_Meri@yahoogroups.com" <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>
Cc: Afsar Khan Raza <afsarkhanraza@yahoo.com>; Irfan Kazi <irfankazi21@yahoo.com>
Sent: Tuesday, October 11, 2011 1:36 PM
Subject: Re: [Yaadein_Meri] (MAA,BAAP)
To: "Yaadein_Meri@yahoogroups.com" <Yaadein_Meri@yahoogroups.com>
Cc: Afsar Khan Raza <afsarkhanraza@yahoo.com>; Irfan Kazi <irfankazi21@yahoo.com>
Sent: Tuesday, October 11, 2011 1:36 PM
Subject: Re: [Yaadein_Meri] (MAA,BAAP)
Assalam Alaikum Wa Rehmath Ullahi Wa Barkatahu Irfan and Afsar Khan
(MAA,BAAP)
K LIYE SUB KO CHHOR DENA,
K LIYE SUB KO CHHOR DENA,
Correct
LEKIN SUB K LIYE MAA BAAP KO MAT CHHORNA
Correct
Q,K
JAB MAA BAAP ROTY HAIN TO FARISHTON KO BHI RONA AATA HAI,
FARISHTON KO BHI RONA AATA HAI konsi Hadees may padhe tum?
Douzak ne kha.
MAA wo hsti hy jo Gunah gaar Olad ko b Dozak se bacha leti hi
Zara Socho. Maa tho sub ke liye hain. Zahir baath hai Sab ki Maa aakar Gunah gaar Olad ko bacha legi tho Koi Muslim Dozak nai jaane waala hai
Chalo ab tum mahefoos ho. Ghabrane ki zarurat nahi. Ab tum kaisa b jannat mein jaathey.
JANNAT ne kha.
MAA wo hasti hy k jo mujhko b Qdmo k nichy daba deti hy
Wrong quote: aisa konsi Hadees may lika hai
RAB ne kha.
MAA meri traf se insan k liye Qimti or nayab tohfa hy.
Tumare khawab may aake bole kya?
Wrong quote: konsi Hadees may lika hai.
اور اس سے بڑھ کر ظالم کون ہو سکتا ہے جو اﷲ پر جھوٹا بہتان باندھتا ہے، ایسے ہی لوگ اپنے رب کے سامنے پیش کئے جائیں گے اور گواہ کہیں گے: یہی وہ لوگ ہیں جنہوں نے اپنے رب پر جھوٹ بولا تھا، جان لو کہ ظالموں پر اﷲ کی لعنت ہے.
Afsar Khan sb, Maana Irfan thoda Kamzor hai lekin aap ilim wale hai, Irfan galat likha app ku malum usku khush karne ke liye aap bhi .....Jhuti Tarif par aagaye.
80. سورة عَبَسَ
34 | يَوْمَ يَفِرُّ الْمَرْءُ مِنْ أَخِيهِ |
اُس دن آدمی اپنے بھائی سے بھاگے گا | |
On that Day man will runaway from his brother, | |
35 | وَأُمِّهِ وَأَبِيهِ |
اور اپنی ماں اور اپنے باپ سے (بھی) | |
And from his mother and his father (too), | |
36 | وَصَاحِبَتِهِ وَبَنِيهِ |
اور اپنی بیوی اور اپنی اولاد سے (بھی) | |
And (even) from his wife and his children. | |
37 | لِكُلِّ امْرِئٍ مِّنْهُمْ يَوْمَئِذٍ شَأْنٌ يُغْنِيهِ |
اس دن ہر شخص کو ایسی (پریشان کن) حالت لاحق ہوگی جو اسے (ہر دوسرے سے) بے پروا کر دے گی |
From: Afsar Khan Raza <afsarkhanraza@yahoo.com>To: Yaadein_Meri@yahoogroups.comSent: Saturday, October 8, 2011 4:20 PMSubject: Re: [Yaadein_Meri] (MAA,BAAP)
jazak Allah bkhair, Very good Wish You All The Best Truly Your MUHAMMAD AFSAR KHAN RAZA Saudi Arabia: afsarkhanraza@yahoo.com --- On Sat, 10/8/11, Irfan Kazi <irfankazi21@yahoo.com> wrote:
|
__._,_.___
MARKETPLACE
.
__,_._,___
No comments:
Post a Comment