Assalamu-Alaekum,
Bahot khoob, bahot acha mazmoon hai, Allah ham sab ko nek taufeeq de ke ham ladkiyon ko zahmat nahi balke rahmat samjhen aameen.
Waese ye sirf jahalat hi hai ke beton ko bartar aur betiyon ko kamtar sajha jaaey.
Yahan main ye baat batadon ke is duniyan may kai aese bhi ghar hain jahan ladkiyon ko rahmat samjha jaata hai, hamare khandaan ki hi baat lelen ke yahan ladke aur ladki may koi farq nahi samjha jaata, balke waqt padhne par ladkiyon ko hi ahmiyat di jaati hai, ke Unhen Dosre Ghar Jaana Hai aur ye kuch hi saal hamare beech rahengi so inhen dil khool kar saraha aur caaha jaata hai aur rahi property ki baat to Baap Dada ki jaedaad hi kya agar ladkiyon ke kaam hamare jism ke aaza bhi aaen to ham hansi khushi unhen dedengey.
Allah se dua hai ke ham sab ko aurton ki khadar karna naseeb ho aameen.
KHAS KAR AURTON SE GUZARISH HAI KE GHAR AAI HUWI BAHUON KO APNI BETIYAN SAMJHEN - zamana gawah hai ke aurat par ziyada zulm Saas aur Nanand ka hi hota hai, so please Saaso mat bholo ke tumhari bitya ko bhi dosre ghar jaana hai aur Nanando soncho tum jis ghar jaaogi agar wahan tumhare saath aesa hi rawaiya eqhtiyaar huwa (jo tum apni bhawaj ke saath karti ho) to kya hoga.
No comments:
Post a Comment