Search This Blog

Saturday, 28 January 2012

Re:: [Yaadein_Meri] very important question for muslim every body have to ans

 


Bht sarey differnces hai..
(1) wo jiska gol chakkr lagate hain usey apna khuda mante hain, jb ke musalman jska tawaf krte hain usey khuda nhi balkey "khuda ka ghar" mante hain. Khuda ka na koi jism hai na koi mujassama, uska koi aakar (design) nhi, wo niraakar hai accordng to hinduism also, mujassama ka ek prticular akaar hota hai.
(2) hinduism ka pata nhi par islam me kaabe ka tawaf krna Hamare Nabi sallallaho alaihe wasallam ka farman hai jiski taamil krna ek muslim ke liye zaruri hai
(3) hinduism me khuda ki pehchan ka mere khyal se koi salika nhi shayd isliye wo log creator ko pane me nakami k sabab se uske creations ki ibadat krte hain, apne mahapurusho ki khidmat aqidat krte krte ibadat krne lge bad me unke mujassamo ki..

Aur gol chakkar lagana kahan nhi hai nizame kainat me suraj zamin k, prwana shama ke, hawao ka jhund zamin k, blood jism me, inshort electron proton k chakkr laga raha hai, jo life ka sbse akhri ya pehla part hai. Insan bhi lgayega na kisi na kisi ke chakkr. To kyun kaha jata hai ke muslim hindu ki tarah kr raha hai, nhi ! Dono lagayenge chakkr wo murti ke muslim kaabey ke.

Hindu kisi insani shakl dekar mitti ki ibadat krta hai, yani murti ki banawat k liye insan ka guzarna marna zaruri hai. To uski shakl ki murti banegi.
Ab dekho Hazrat Adam a.s. Ke pehle koi insan guzra hi nhi to sidhi si bat hai unhone murti bnayi nhi, to zarur unhone gol chakr murti k nhi blke kisi aur ke lagaye honge, kyuke uswaqt to unke alawa koi insan bhi na tha..beshak wo kaabey ka tawaf kia krte the.
To muslim jo tawaf krte hain wo hinduon ka tariqa nhi hai, blke mazhabe aadmiyat o insaniyat yani khud islami tariqa hai. . .

"Aapki kya raay hai" ?

------------------------------
On Sat 28 Jan, 2012 3:21 PM IST Mohammed wrote:

>asak every muslim perform umrah & tawaaf by circulating around the kaaba where as in hinduism its the same people makin rounds around there idols so what do u think is the difference between these 2 religions????
>

__._,_.___
Recent Activity:
.

__,_._,___

No comments:

Post a Comment