'Faiz' har ek jismani ruhani takleef se door araam o chain se rahe isliye sadqa dena start kia hai
------------------------------
On Sun 29 Jan, 2012 12:56 PM IST Aap Ka Dost wrote:
>Hadith: Insaan ke badan ke har jod (joint)par Roz sadqa wajib hai
>
>
>Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Insaan ke badan ke har jod par har us din ka sadqa wajib hai jismein suraj Tulu hota hai aur logon ke darmiyan insaaf karna bhi ek sadqa hai.
>Sahih Bukhari, 2707
>
>Abu Hurairah Radiallahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Rozana insaan ke har jod (joint) par sadqa lazim hai agar koi shaksh kisi ki sawari mein madad karey ki usko sahara dekar sawari par sawar kara de ya uska saman us par utha kar rakh de to ye bhi sadqa hai achcha aur paak lafz bhi sadqa hai har qadam jo namaz ke liye uthtaa hai wo bhi sadqa hai aur (kisi musafir ko) raasta bata dena bhi sadqa hai.
>Sahih Bukhari, 2891
>---------------------------------------
>Hadith: There is a Sadaqa to be given Daily for every joint of the human body
>
>Narrated Abu Huraira Radiallahu anhu: Allah's Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam said, "There is a Sadaqa to be given for every joint of the human body for every day on which the sun rises, there is a reward of a Sadaqa for the one who
> establishes justice among people."
>Sahih Bukhari, Vol 3, Book 49, No. 870:
Search This Blog
Sunday, 29 January 2012
Re:: [Yaadein_Meri] Hadith: Insaan ke badan ke har jod (joint)par Roz sadqa wajib hai
__._,_.___
.
__,_._,___
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment