Walaikum salam Wa Rehmat Ullahi Wa Barakatuhu, Dear Zaiba ! Masha ALLAH aap ne aik achhay silsilay ka aaghaz kiya hai. Ham aap k is kam ki hosla afzaii karty hain. ALLAH PAk aap k aur ham sab k elm mei aur amal mei azafa farmaey. AAMEEN Wesay tu Quran Pak ki har surat, har aayat hi pasandidah hai. Is ka har lafz hi khubsoorat aur pur taseer hai. Bas zarurat Dil ki narmi ki hai. Imaan ki roshni ki hai. Aap ne Surah Baqrah se mutalliq pochha hai; Tu bayshak sari surat pasandidah hai lekin is ki sab se aakhri aayat ( Aayat no. 286) mujhay sab se ziada pasand hai. Is mei Irshad e Rab'bani hai; " ALLAH kisi jaan par bojh nahi dalta magar is ki taqat bhar " Subhan ALLAH, is se barh kar ALLAH TA'ALA ki apnay banday se muhabbat aur kia ho gi aur is se barh kar insaf kiya ho ga k ALLAH pak har banday ko us ki himmat se ziada aazmata nahi, us ki taqat se ziada us par bojh nahi dalta. Har takleef, har gham , har dukh, har musibat mei sabar aajata hai jab ye aayat yaad aajaey. " Jo achha kamaya is ka faida hai aur jo buraii kamai is ka nuqsan" Tu insan jab b koi bura amal karta hai, kisi k sath ziadati ho, kisi par zulm ho, kisi k sath dhoka ho, tu haqeqat mei wo apnay sath bura karta hai. Esa karny se kisi dosray ka nuqsan nahi hota, insan apna hi nuqsan karta hai. Aur kisi k sath achha karny se apna hi faida hai. phr is k bad is Aayat Kareema mei buht achhi si dua hai. " Aey Hamare RABB ! hamen na pakar agar ham bholen ya choken Aey Hamare RABB ! ham par bhari bojh na rakh jesa Tu ne ham se agloon par rakha tha Aey Hamare RABB ! ham par wo bojh na daal jisko uthanay ki ham mei taqat na ho Hamen maaf farma day aur bakhsh day Aur ham par reham kar Tu hamara Moula hai Tu kafiroon par hamen madad day."
|
__._,_.___
MARKETPLACE
.
__,_._,___
No comments:
Post a Comment