Search This Blog

Sunday, 11 September 2011

Fwd: EK GHALAT FEHMI PER ROSHNI Fwd: [Yaadein_Meri] Worship Allah Alone‏...............Afsar Bhai..................

MR RUBINA AP K TABSARAY KA SHUKRIYA.. MY REPLY IS IN YELLOW HIGHLIGHTED BELOW....



-------- Original Message --------
Subject: EK GHALAT FEHMI PER ROSHNI Fwd: [Yaadein_Meri] Worship Allah Alone‏...............Afsar Bhai..................
Date: Sun, 11 Sep 2011 16:20:58 -0700 (PDT)
From: Rubina Yasmeen <rubina_yas@yahoo.com>
To: Yaadein_Meri@yahoogroups.com
CC: Jhilmil_Taray@yahoogroups.com




--- On Sun, 11/9/11, Fahad Ashrafi <fahad_yamin@hotmail.com> wrote:

From: Fahad Ashrafi <fahad_yamin@hotmail.com>
Subject: EK GHALAT FEHMI PER ROSHNI Fwd: [Yaadein_Meri] Worship Allah Alone‏...............Afsar Bhai..................
To: "Rubina Yasmeen" <rubina_yas@yahoo.com>, Yaadein_Meri@yahoogroups.com, Jhilmil_Taray@yahoogroups.com
Date: Sunday, 11 September, 2011, 8:10 PM

RUBINA BEHEN... YE EK BOHT BARI GHALAT FEHMI HAI K LOG JISAY SHIRK KEHTAY HAIN WO HAQEEQAT MAIN SHIRK HI NAHI HOTA... AB AGAR KOI APPLE KO MANGO KEHTA RAHAY TO USS K KEHNAY SAY APPLE MANGO NAHI BAN JAYE GA...
Rubina----Fahad Bhai.... Hum Kisi par Bhi Mushrik Hone Ka ilzam Nahi Desakte...Haan Uska Kiya Gaya Amal Ghalat Hai Ussko Ache Tareqe Se Samjhana Chahiye....
 
Allah Subha Wa Talah Usko Toufeeq Dega Toh Woh Zaroor Ghalat Ko Ghalat Maan Lega,.....
 
Agar Naa Maanta Hai Toh Uske Amal Ka Woh Khud Jawabdeh Aur Zimmedar Hai...Hum Nahi.....
 
Hum Uskeliye Dua Kar sakte Hain ki Allah Uss Insaan Ko Sahi Samajh Bojh Se..
 
Aur Hidayat Dene Wali Sirf Aur Sirf Allah Ki Zaat Hai

MAIN AP KI BAAT SAY MUTAFIQ HON ..OR DUA HAI K ALLAH UN LOGON KO HADAYAT DAY JO KUFR O SHIRK K FATWON KI MACHINE LIYE SAB AHLESUNNAT WA JUMMAT KO MUSHRIK TEHRATAY HAIN..


JO LOG MIZARON PER SAR KO ZAMEEN PER RAKHAY NAZAR AA RAHAY HOTAY HAIN... KYA AP UN MUSALMANO SAY YE BADGUMANI KER SAKTI HAIN K WO SAJDA HI KER RAHAY HAIN... YA KABHI AP NAY UN SAY KHUD POCHA HAI K KYA BHAI TUM NAY SAJDA KIYA HAI ??? MAIN 100 % WASOOQ SAY KEHTA HON K KABHI AP AISA KERNAY WALAY SAY POCH LIJIYE GA WO AP KO YAHI KAHAY GA K BEHEN MAIN NAY TO USS ZAMEEN KO TAZEEMAN BOSA DIYA HAI JIS PER ALLAH K WALI KA KABHI QADAM PERHNA THA... YE BHI MOHABBAT O ISHQ KI EK KAIFYAT HAI K AHLE NAZAR WALON K LIYE WO JAGA BHI MUTABARAK HO JATI HAI K JAHAN SALEHEEN NAY KABHI QIYAAM KIYA HO.....
Rubina -----
 
Fahad Bhai....Yahan Ek Ghalti Hai...
Sajda Sirf Allah ko Hi Kiya Jaaye ...Taazimi Nahi................
 
Allah Waloun Ki Guzar Ki Jagah Bhi Sajda Karna Ghalat hai..............
 
Agar Aisa Hota Toh Sabse Pehle Huzoor Sallalahu Alaihe Wassalam Ki Mazaar-E-Mubarak Par Sajda Karne Waloun Ka Ek Alag Hi Hujoom Hota................
 
Allah ke Baad Uske Rasool ki Pairwi Matlab Sunnat Ki Piarwi Karna Likha Hai Quraan Me Kayi Jagah
 
phir ye kyun nahi likha kisi bhi jagah Quran me Ki Rasool Allah ko Bhi Sajda Karo Allah ke Sath ???????????
 
Sajda Toh Durr Ki Baat Hai koi Taziman Bhi Jhuk Nahi Sakta Madinah Munawarah me ..
Naa Hi Rouze Ki Jaal
Ko hath Lagane Ka Hukum Hai
 
Agar Waliyoun ki Guzar Ki Jagah Ko Sajda karna Jayez Hota Toh madinah Shaher Makkah Shaher
Abaad Hi Naa Hota Sab Kuch Khula Maidaan Hota
Taaki  Saare Madinah ki galiyoun Me Sab Log Sajda Karte Rahein.......................
 
MS. RUBINA AP NAY MERI BAAT KO GHALAT UNDERSTAND KIYA HAI.. MAIN NAY YE KAHA HI NAHI K TAZIMI SAJDA JAIZ HAI.. MAIN NAY TAZEEMAN BOSSA (CHOMNAY) K BAAT KI HAI.. PLZ READ MY WORDS AGAIN.. SHUKRIYA

RAHI BAAT YE K FARZ KERAIN K AGAR SAJDA KERNAY WALAY KI 100% HAQEEQAT OR NIYAAT ASHQAR HO JAYE K WAQI USS NAY SAJDA HI KIYA HAI... TAB BHI HUM USS PER KUFR KA FATWA NAHI LAGA SAKTAY... ISS LIYE K SAJDA BHI 2 QISM KA HOTA HAI

1- SAJDA E IBADAT
 
Rubina ----- Ye Sahi Hai SajdaE Ibadat jo ki sirf aur sirf Allah keliye kiya jaaye
 
2- SAJDA E TAZEEMI
 
Rubina ----- Ye Sahi Nahi Hai Tazeemi Sajda ????? iska matlab yahi hua ki humne kisi ko Allah ke sajde ke sath Shareek Kiya
Aur Ye Sajda Shirk me Shukar Hojata Hai....
 
haa kisi ke tazeem me sar ko jhukana ya khud jhukna thoda sa ye theek hai laikin ..sajde keliye Sar Ko Zameen Par Tika Dena Ye Ghalat Hai
 
Allah talah ne Khud Farmaye Hai Ki Agar Mere Baad Kisi  INSAAN Ko Sajda Karne Ka Hukum Deta Mein Toh Woh Har Aurat Ko Apne Shouhar Ko Sajda karne Ka Hukum Deta...iss se hatkar kisi Sajde ka koi zikr nahi

MS RUBINA AHLESUNNAT WA JUMMAT KA YAHI AQEEDA HAI K SAJDA E TAZIMI SHARIYAT E MOHAMMADI (SALLALAHO ALYHE WAALYHE WASULLUM) MAIN SAKHT HARAM HAI... LIKIN AP NAY YAHAN EK GHALTI KI HAI OR KAHA HAI K YE SAJDA SHIRK MAIN SHUMAR HOJATA HAI... TO AISA NAHI HAI.. AGAR SHIRK MAIN SHUMAR HOTA TAB YE KUFR HOTA HARAM NAHI... KINDLY ASK ANY AHLESUNNAT ALIM E DEEN ... JAZAKALLAH..

YE UPER PINK TEXT MAIN JO AP NAY LIKHA HAI YE HADEES E MUBARIKA KA MAFHOOM HAI..DARUSTAGI FERMA LAIN...

AB KUFR K FATWAY SAY PEHLAY YE JANNA BOHT ZAROORI HAI K USS NAY SAJDA E IBADAT KIYA YA SAJDA E TAZEEMI ....
 
Rubina ----- jaise ki Aapne Likha hai Ye Sajda Koun karega Aur Koun Qabool Karega ???????
Maanti Hoon Ki Auliya Ikraam ka Rutba Ek Aam Insaan Se Bohut Badh Kar hai
 
Magar Ye Toh Yahi Baat Hui Ke Ek Insaan Doosre Insaan Ko Sajda kare............?????
 
Agar Quran Me Iss Sajde Ka Zikr Hai Toh
Shayed Ab tak Meri Nazar Se nahi Guzra
baraye meharbaani Aap mujhe Surah number Aur Aayat Number Batayenge ???

MS. RUBINA MAIN NAY KUCH OR KAHA HAI OR BEHEN AP NAY USSAY FOLLOW NAHI KIYA...CHALAIN MAIN DOBARA EXPLAIN KIYE DAITA HON.. PEHLI BAAT TO YE ZEHEN MAIN RAKH LAIN K SAJDA E IBADAT KUFR HAI OR SAJDA E TAZEEMI HARAM HAI... DONO KI ISLAM MAIN KOI GUNJAYISH NAHI HAI.. LIKIN SAJDA E TAZEEMI KERNAY WALAY PER KUFR KA FATWA NAHI LAGAY GA Q K WO HARAM KA MURTAKIB HOWA NA K KUFR KA PERIOD
GO KAY HAMARAY DEEN NAY ISSAY HARAM RAKHA LIKIN PEHLI UMATON MAIN SAJDA E TAZEEMI JAIZ THA. SURAN BAQRA AYAT 58 KI TAFASIR PERHIYE GA.. ANDAZA HO JAYE GA.. JAZAKALLAH... OR ASK THIS TO ANY GOOD ALIM E DEEN...



1- SAJDA E IBADAT ALLAH K ILAWA KISI OR KO IBADAT K LAYIK SAMGH KER SAJDA KERNAY WALA KAFIR HO JAYE GA..

2- SAJDA E TAZEEMI PICHLI SHARIYATON MAIN JAIZ THA LIKIN SHARIYAT E MOHAMMADI (SALLALAHO ALYHE WAALYHE WASULLUM) MAIN HARAM HAI.. BAHARKAIF SAJDA E TAZEEMI KERNAY WALA HARAM KA MURTAKIB HO GA NA K KUFR KA.... OR USS PER KUFR KA FATWA NAHI LAGAYA JAYE GA...

LIHAZA YE MAMLA BOHT NAZUK HAI K KUFR KA FATWA LAGANAY WALA AGAR ZIMIDARI SAY KAAM NAHI LAITA OR HARAM K MURTAKIB KO KAFIR BANA DAITA HAI TO AB KEHNAY WALA USSI LAMHAY KHUD KAFIR HO JAYE GA.. HAZOOR (SALLALAH ALYHE WAALYHE WASULLUM) KI HADEES -E- PAK KA MAFHOOM HAI K KUFR LOAT KER ATA HAI...K AGAR JISAY KAFIR KAHA GAYA OR US MAIN WO KUFR MOJOOD NAHI TO KAFIR KEHNAY WALAY KHUD KAFIR HO JAYE GA... LIHAZA YE NIHAYAT DAQEEQ MASAYIL HAIN OR AWAM UN NAS KO INN SAY HAD DERJA EHTIYAAT LAZIM HAI... LIKIN AJ KAL EK TABKA AISAY HAI JO HAR CHOTI SAY CHOTI BAAT PER BHI DOSRAY KO MUSHRIK OR KAFIR KEHTAY NAHI THAKTAY.. ALLAH UN KO ILM KI DOLAT SAY NAWAZAY KER HADAYAT SAY SERFARAZ FERMAYE.. AMEEN
 
Hum Kisi Ko Mushrik Ya Kafir Nahi Kehsakte Jo Ki Namaz Padhta Ho Monin Ho............hume matlab ek momin ko apne doosre monin bhai ko mushrik ya kafir kehne ka hume kisi ne koi haq nahi diya hai...
koi ghalat amal karta hai ghalti karta hai toh hume usko samjhdar se samjhna chahiye Quraan ki Roshni me
aur uskeliye dua karni chahiye ki Allah subhana wa talah usko sahi samajh boojh aata farmaye ..siraat e mustaqeem par chalne ki toufeeq aata farmaye hum ye dua uss insaan keliye karte rahein
hum kahin doosre ki ghalti ko nikalte hue usspar saqti karte hue gali galoch karte hue kahin aisi koi ghalti hum se naa ho jaye jis se humara imaan qatre me padh jaye

No comments:

Post a Comment